Jisse hazaron baatein karta tha,
Din bhar ki thakaan usse bata kar durr karta tha,
Zindagi ki saari yaadein uske naam karta tha,
Ek jhalli thi jise mai bada pareshaan karta tha...Bina usse mile,
Din ki shuruwat nahi hoti thi,
Bina usse call kiye,
Raat nahi guzarti thi...Ek dost hai meri,
Na jaane kaha kho gayi hai...Kehne ko mai bhi uska dost tha,
Bhul jaata tha ki uske aur bhi dost the,
Kehne ko meri Best Friend thi woh,
Yaad nahi rehta tha ki aur Best Friends hai uske...Saath rehte kam the,
Haste ek dusre ke khushi me bohot the,
Par kya kare fasle bhi zaruri the,
Deeware dosti me kabhi toh aane the...Ek dost hai meri,
Na jaane kaha kho gayi hai...Yun baithe baithe kho jaata hoon,
Uski yaadon me paani ki tarah beh jaata hoon,
Kabhi kabhi sochta hoon ki laut jaoun wapas,
Fir ek sawal uth-ta hai Dil me ki akhir kis haq se...Kitni khatti meethi yaadein hai hamari,
Gusse aur ladayi ki bhi hai beshumaar kahani,
Seene me dard de jaati hai kuch baatein,
Par hum ab kaha unse hai kuch keh paate...Ek dost hai meri,
Na jaane kaha kho gayi hai...Bheed me bhi ab woh dikhti nahi hai,
Ek tasveer basi hai dil me jo ab dhundhli so hogayi hai,
Ek dost hai meri,
Na jaane kaha kho gayi hai...Ab toh khana bhi beswaad lagta hai uske bina,
Sab kuch hone ke baad bhi na kyun adhura lagta hai,
Nazrein bhi talaashti hai yaha waha,
Ek dost hai meri jo na jaane kaha kho gayi hai...Mai usse dhundhu bhi toh kaha,
Woh hai bhi toh nahi yaha,
Jo usse bata sakun mai,
Ki tumhe bohot yaad karta hoon mai...© A.K
@tashreeh.writes
आप पढ़ रहे हैं
Shayari's... (Hindi Shayari's)
कविताAs my Shayaris story has reached its max number of parts... Here I will be uploading more shayari's... Love You Doston... 🤗❤️🤝🏻 Stay tuned... Original contents...