His Medical Report

1.2K 154 41
                                    

It is a humble request to all the readers that please see my message board, there is something important for you.
                             
                            •••••

Next Day

HM-kahiye sir kyu bulaya hume itni emergency mein.....(she asked Bakshi with a professional smile).

Bakshi-aap mujhse milne aayi hai yeh baat aapne Anubhav ko toh nhi bataya hai?

HM-woh ghar par nhi the par aapko usse kya karna hai...(annoyed).

Bakshi-kyunki use pata chalta toh woh aaj bhi mujhe sach batane se mana kar deta....(she looked at him in confusion).

HM-aaj bhi matlab?

Bakshi-us din jab humne aapko bulaya tha tabhi hume aapko ek baat batani thi par Anubhav ko pata chal gya isliye usne hume mana kar diya sach batane se....

HM-agar itni jaroori baat thi toh aap hume Headquarter mein bata dete, kaun sa Anubhav sun rahe the.....

Bakshi-sun hi raha tha...(he said, giving her a shock)

HM-kyaa...?

Bakshi-haan, Anubhav us waqt dusre cabin mein baitha mobile ke jariye hamari baatein sun raha tha....

HM-par woh toh (she paused), aap yeh sab chhodiye aur yeh bataiye ki baat kya hai...(tensed).

Bakshi-aap janti hai Anubhav ke dimag mein ek goli lagi hai (she hummed) woh goli koi aam bullet nhi hai balki woh ek tarah ka slow poison hai jo andar hi andar Anubhav ko weak karte ja rahi hai (her eyes widened in shock) aur agar sahi samay par antidote nhi mila toh kuch mahine ke andar hi Anubhav ma....

HM-Mr.Ajay Bakshi....(she roared angrily).

HM(angrily)-aap senior hai iska yeh matlab nhi hai ki hum aap kuch bhi bakwas karenge aur hum sunte rahenge.....

Bakshi-main aapka gussa samjhta hoon Mrs.Singh par yeh sach hai, Anubhav ke andar bahut hi dangerous poison hai jo dheere dheere use maar raha hai aur agar samay se antidote nhi mila toh uska marna (she gritted her teeth) tay hai par antidote mil jane se uski jaan bach sakti hai....

HM-hum kaise maan le ki aap jo bol rahe hai woh sab sach hai....(angrily).

Bakshi-aap Anubhav ke medical reports check kar lijiye aapko sab pata chal jayega....

HM-chaliye maan liya aapki baat sach hai par hume yeh bataiye ki jab yeh baat aapko aur Anubhav ko pata hai toh Anubhav ko antidote kyu nhi diya gya ab tak....(she asked questionably).

Bakshi-kyunki antidote Sophia ke paas hai (she gets another shock) aur uske paas se woh antidote sirf aap la sakti hai....

HM-hum? Hum kaise?

Bakshi-yeh baat toh sirf Anubhav aur hamare HOD sir bata sakte hai...

HM-hum IB ke HOD se kisi mission ke bare mein puch nhi sakte aur Anubhav hume batane se rahe toh batana toh aapko hi padega....

Bakshi-mujhe malum hota toh main aapko bata deta Mrs. Singh par Anubhav ne mission ke bare mein baat sirf HOD sir ko bataya hai baki kisi ko nhi bataya....

HM-toh aapko yeh sab kaise pata...(suspiciously).

Bakshi-main bhi IB ka ek officer hoon Mrs. Haseena Anubhav Singh....(he said with a smile).

She rolled her eyes in annoyance.

Bakshi-darsal depertment chahta tha ki Anubhav ka adhura Mission aap pura kare par Anubhav ne saaf saaf mana kar diya aur is halat mein bhi khud Mission solve karne ke liye taiyar ho gya hai.....

Anuseena-The Soulmate✔Where stories live. Discover now