INTRODUCTION:

2.7K 75 13
                                    

"Bachpan hum sab ki zindagi ka ek buhat hi khubsorat hissa hota hai. Jab na hum har fikar say azad jeetay hain, khawahishain maa baap k dam say poori hoti hai, humari bay wajah ki zid bhi maa baap k liey un ki zaroorat say bhi zayda pyari hoti hai.. na humain sir k chat ki fikar fikar hoti hai na hi pait ki bhook ki, maa baap hi toh hotay hain Jin ka saya kisi naimat say Kam nahi hota. Par kiyà hoga jab ap say apka bachpan hi chin jaey, khilon say kheelnay ki umar mei mazdori karni paray...... Aaisi hi Kahani hai haseena mallik ki.. ek aanat bay sahara larki Jo roz do waqt ki bhook mitanay k liay apnay ghar say nikalti hai. Buhat sapnay sajaey thy us nay par Ammi Abu k guzar janay k bad us Kay saray khawab khawab ban k reh gay, uska bachpan mayusiyun ki nazar ho gaya, masoom chehrah uski bolti ankhain , silay hont, goori rangat par dil umeedon say Khali or zindagi dukh say bhari... Kiyà kabhi usay uskay hissay ki khushiyan mil paen gi. Kaun aaey ga uski zindagi mei lay k phir say ek naye subha. Ya zindagi yun hi guzar jaey gi...


Haseena Mallik:

"Zindagi say aur kiyà chaheay sab kuch toh hai mere pass, ek bachay ko kis cheez ki zaroorat hai

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

"Zindagi say aur kiyà chaheay sab kuch toh hai mere pass, ek bachay ko kis cheez ki zaroorat hai.. buhat pyar karnay walay maa baap hai. Ghar mei naukar hain Jo mere har Kam kartay hain, van ka intezar Karna ya buson k dhakay khana mere bus ki baat nahi, or kyun karun mei intezar jab ghar par 4 4 gariyan khari rehti hain mujhe or meri behan ko pick and drop Karnay.. buhat achi Zindagi hai meri kisi cheez ki fikar nahi hai... Meri khawahishain yun chukti bajatay poori ho jati hai, buhat afsoos bhi aata hai mujhe un logon par Jin k pass yeh sab kuch nahi hai, par kiyà karun har kisi ki qismat meri tarha toh nahi hoti, poor guys, sirf un logon say sympathy hai mujhe par kuch kar nahi sakta. Yeh manna hai Anubhav ka jis nay aankh kholi toh sab kuch paya, kisi cheez k liay usay koi bhi mehnat nahi karni pari, par jab apko bin mehnat k sab kuch hasil ho Jata hai toh apko uski qadar nahi hoti, jab wahi ap say dour hoti hai toh ehsaas hota hai k ap k liay kitni qeemti thi woh "

Anubhav Singh:

" Koi bhi apni marzi say buri qismat likhwa k nahi aata, acchi ya buri qismat ka faisala woh uppar wala karta hai, warna bad naseeb toh woh log bhi hotay hain Jin k pass sab kuch hotay huay bhi kuch nahi hota

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

" Koi bhi apni marzi say buri qismat likhwa k nahi aata, acchi ya buri qismat ka faisala woh uppar wala karta hai, warna bad naseeb toh woh log bhi hotay hain Jin k pass sab kuch hotay huay bhi kuch nahi hota. Ap Kay duniya k sari naimatain hain par Pyar nahi toh kuch bhi nahi...'

Hamesha say qismat sirf mehlon par raj karti aai hai, or hunar mand darbadar phirtay rhy hain. Par qismat toh unki bhi hoti hai chahay achi ho ya buri... Hum naseeb ka likha badal toh nahi saktay magar aanay wala Kal zaroor badal saktay hain... Kuch aaisay hi utar charhao say guzaray gi humari Haseena ki Zindagi... Kiyà ho agar uski qismat usay sarak say utha k mehlon ki zeenat bana day...

Aaen is Kahani k kuch aur chehron say miltay hain.. Jo haseena aur Anubhav ki zindagi ka hissa hain..

Rakesh Singh:

Business ki duniya mei ek Jana mana naam, Pura lucknow shehar jis ki tahay dil say izzat karta hai. Daulat paisay mano us k ghar ki kheti hai, par gharoor or ghamand usay choo k bhi nahi guzra hai, buhat hi sada sa naik insaan , Jo k hath kabhi bhi kisi ko daynay k liay nahi rukay, har ek ki zarooratain poori Karna uska sheva hai.

Menakshi Rakesh Singh:

Yun toh yeh khatoon  behad khubsorat hai par dil utna hi badsorat, paisay, Shan daulat in Kay liey sab kuch hain. Apnay puranay dinon ko bhula k daulat k nashay mei itni mast ho gaen hain k kisi ghareeb ka dard inhain nahi dikhta. Par yeh nahi janti daulat paisa hathon ki mail hain.. no hamesha Sath nahi rehta... Inhon nay apnay bachon ki tarbiyat bhi kuch isi tarha karni chahi.  Par Rakesh Singh k aagay inki ek nahi chalti...

Karishma Singh:

Ek buhat hi suljhi hui samjhdar larki , Jis ka saubhao buhat shant hai, jis ka dil bilkul us k baba sa jaisa naram moam sa, Jo kisi say baat karnay say pehlay na uski status dekhti hai na hi uski jaib.. haseena ki secret partner cum friend...

Anubhav Singh:

Ek neutral sa shaks jisay nay kabhi khud k Siva kisi k baray mei kabhi socha hi nahi. Maa k lad pyar nay thora sa isay bigara zaroor hai, apnay baba sa say buhat pyar
Karta hai or unki izzat bhi... Had say zayda darta hai apnay baba sa say.
Thora sa mun phat, thora shararti thora ego hai us mei.. shaid maa ki tarbiyat ka asar hai..

Story concept by:
anvisha504

Written by:
Neha asmat.

**************

This is an introductory part, later character will introduce along with story...

I hope you like this story as previous ones... I am waiting for your response...

Sorry for grammatical errors..

First part of the story will be upload soon. Depends on your responses...

TERA SATHWhere stories live. Discover now