PART#2

755 81 6
                                    

Next morning 🌄.

RS: menakshi Anubhav Kahan hai abhi tak nashtay k liay neechay nahi aaya, usay school nahi jana kiyà?

MS: nahi us ka sir dard kar rha hai woh aaj nahi jaey ga.

RS: mena do din pehlay bhi toh us nay chutti ki thi. Is tarha toh roz uski parhai ka harj ho ga.

MS: sir dard kar rha hai woh kaisay jaey ga school. Kaun sa us nay shoq say chutti ki thi parso. Ap nay ek toh driver or sharfu ko chutti di hui hai itna bhari bag mere bachay ko uthana parta hai. Us Kay kandhon mei dard ho gaya tha. Bechara Anu.

RS: mena aaj say sharfu bacho k Sath school nahi jaey ga. Anu or Kashi baray ho gay hain woh apna boojh khud utha saktay hain. Or school bag Kaun sa itna bhari hota hai.

MS: Rakesh ji sach mei apko bachon ka zara bhi khayal nahi hai.

RS: Mena tum achi tarha janti ho mei nay Singh group of industries bananay mei kitni mehnat ki hai , din raat khoon paseena ek kar k company ko is bulandi tak pohchaya hai. Mei paison ki qadar achi tarha janta hun. Buray din bhi dekhay hain mei nay or mei nay or pita ji nay bari mehnat say yeh company khari ki hai. Mei tum logon ko is tarha isay barbad karnay nahi dunga.

MS: ufff Rakesh ji Zara sa kharach karnay say hum Kaun sa ghareeb  ho jaen gay, ap ki yahi baat mere samjh say bahir hai .

RS: tumhain kuch samjhana hi bekar hai mena. Kashi beta aa jao nashta kar lo.

KS: baba sa meri notebook khatam ho gae hai mujhe notebook chaheay.

RS: theek hai hum sham ko chalen gay apki notebook laynay. Waisay Kashi aaj apki school mei apki ek new friend aanay wali hai haseena.. ap ko woh zaroor pasand aaey gi. Ap us say friendship karo gi na.

MS: haseena naam toh buhat acha hai , status kiyà hai uska , us k father kiyà kartay hain, zaroor koi baray businessman hun gay.

RS: mena kabhi toh apni baton ko paison k tarazoo mei tolna band karo. Aanat hai woh, us k father nahi hain is duniya mei. Shelter home mei rehti hai woh.

MS: kiyà shelter home mei rehti hai aanat hai. Mujhe toh laga ap k kisi business friend ki beti hogi. Kashi koi zaroorat nahi hai us say dosti karnay ki us say dour rehna. Waisay Rakesh ji aanat hai toh us k pass school ki fees k paisay Kahan say aaen gay?

RS: uski taleem ka Sara kharcha mei nay uthaya hai.

MS: kiyà? Ek rah chalti larki mere bachon ka muqabala karay gi?? Us par kharach karnay k liay ap k pass paisay hain par mere bachon k liey nahi.

RS: mena us ghareeb ko daynay say humari dolat mei kami nahi aa jaey gi.

MS: ha manti hun nahi aaey gi kami, magar ap yeh bhi toh sochain na humaray bachon par kharach karnay say ap ghareeb bhi nahi ho jaen gay.

KS: baba sa mei us say dosti karungi. Woh kab aaey gi?

RS: beta mei tumhain school drop kar dayta hun tumhain haseena say milwa bhi dunga.

KS: ji baba sa.

RS: ap breakfast karo mei tab tak ap k bhaiya k pass Jata hun.

TERA SATHWhere stories live. Discover now