PART #19

599 81 22
                                    

KS: wah kitni pyari lag rhi hai meri bhabhi aaj. Sach mei bhaiya dekhain gay toh nazrain nahi hata paen gay tujh par say.

HM: Kashi sach mei mei theek lag rhi hun na?

KS: ha sach mei tu buhat Sundar lag rhi hai ab chalen bhi aaisa na ho k Anu bhaiya ka irada hi badal jaey.

HM: Kashi ek baat batao Anubhav nay mujh say shadi ka faisala khud liya hai ya Abu k kehnay par liya hai?

KS: yeh toh mei bhi nahi janti hun. Ha par bhaiya khush buhat hain aaj Kal.

HM: Kashi khush toh woh hai mei nay bhi dekha hai par Kashi maan mei ek dar bhi hai kahen agar Anubhav nay yeh decision sirf Abu ki wajah say liya hai toh mujhe koi haq nahi banta k mei us say uski khushiyan cheenun.

KS: pagal hai tu hassi tujhe kyun lagta hai k bhaiya nay baba sa ki wajah say yeh faisala liya hai. I am sure woh tujh say buhat pyar kartay hain tu bhi kuch bhi sooch layti hai hassu.

HM: par kabhi Kaha kyun nahi

KS: kuch batein kahi nahi jati sirf mehsoos ki jati hain hassi. Bhaiya tujh say aaj say nahi buhat pehlay say pyar kartay hain shaid unhain yeh ehsaas dyar say hua hai.

HM: agar yeh pyar nahi hua toh?

KS: hassu yeh sawal tu khud say kar k deekh k tujhe kyun lagta hai k woh tujh say pyar nahi kartay.. ab chal mohrat nikla ja rha hai baba sa or baqi sab guests tera intezar Kar rhy hain

HM: baqi guests? Par shadi toh sadgi say honi thi na?

KS: nahi hassu bus baba sa k kuch friends hain or humaray kuch relatives. Mushkil say 10-15 log hun gay.

HM: oh acha

KS: ab chal aaisa na ho mere bay sabray bhaiya khud tujhe laynay uppar na aa jaen. 
At the same moment he enters..

KS: dekha Kaha tha na un say sabar nahi hoga, khud aa gay.

AS: toh aur kiyà karta Kashi. Tujhe adha ghanta pehlay bheja tha haseena ko laynay tu abhi tak yahen hai.

KS: ap chalen hum aatay hain.

AS: nahi tum jao mei haseena ko lay k aata hun.

KS: theek hai.
She leaves. He looks at her and lost in her beauty.

HM: ab dyar nahi ho rhi ?

He comes out from his dream land..

AS: oh ha Chalo.. waisay buhat zayda khubsorat lag rhi ho. Mei nay socha nahi tha k tum itni bhi Sundar lag sakti ho.

HM: chalen?

AS: ek minute mujhe Kuch kehna hai hassu.

HM: abhi zaroori hai?

AS: ha bus yahi kehna hai chahta hun k pata nahi tum khush bhi ho ya nahi par mei buhat khush hun k tum meri Zindagi ka itna ehm hissa bannay ja rhi hun. I am so lucky haseena k mujhe tum jaisi life partner mil rhi hai.

HM: mei khush hun Anubhav kyun k tum khush ho. Mujhe tumhari Khushi k Siwa or kiyà chaheay. Par mujh say zayda tum lucky nahi ho saktay. Kyun k mujhe tum jaisa pati, Abu jaisay pita or Kashi jaisi behan mili hai. Mei toh jab Singh mansion aai thi koi rishta bhi mere Sath mere pass nahi tha tum sab nay mujhe apnaya itna pyar diya kisi cheez ki koi kami kabhi mehsoos nahi honay di or aaj bhi dekho na mei tumharay parivar ka atoot hissa bannay ja rhi hun.

AS: tum mano ya na mano tum Kal bhi humaray parivar ka hissa thi, aaj bhi ho or hamesha raho gi Yar. Chalo aaisa na ho dulha or dulhan bina hi shadi ho jaey.

HM: pagal dulha dulhan k bina shadi kaisay ho sakti hai.

AS: tum khud Chalo gi ya tumhain utha k lay jaun? Waisay buhat maza aaey ga mei toh hamesha say yeh chahta tha k mei kisi ko bhaga k shadi karunga sab ki marzi k khilaf. Par kiyà karun pasand tum aa gae agar tumharay Sath bhag k shadi karta toh baba sa tumhain toh maaf kar daytay par mujhe kabhi nahi kartay.

TERA SATHWhere stories live. Discover now