💫Husband Wife 💫

1.1K 170 101
                                    

After Five Days.

"Maa aapse ek question puchhe?" Haseena asked maa.

Maa-kaho...

Haseena-yeh Hero kaun si company mein job karte hai jo har dusre din late aate hai?

Maa-woh kabhi kabhi overtime karta hai bas isliye late aata hai....

Haseena-hmm....waise aap dinner mein kya bana rahi hai?

Maa-matar paneer, Anu ke Baba ki favourite....

Haseena-oh...ho....Baba ki favorite, woh toh aap ho...(teasingly).

Maa-hatt....pagal ladki...(hitting HM's head gently).

Haseena-waise aapki aur Baba ki arrange marriage hai love?

Maa-arrange....waise tum kyu puchh rahi ho, koi pasand aa gya hai kya....(teasingly)

Haseena-nhi maa hum bas aise hi puchh rahe hai...

*Ding Dong*

Haseena- lagta hai Hero aa gye...(she said happily and ran towards the door of the house).

She opens the door with a warm smile, but soon her smile turns into surprise as she sees a girl around late twenties standing with a smile.

Haseena-aap...(she arched her eyebrows).

"Pehle aap bataiye, aap kaun hai aur Anu ke ghar par kya kar rahi hai?" The girl asked suspiciously.

Haseena-hum Haseena hai, ab aap batao aap kaun hai jo hamare Hero ko Anu bula rahi hai...(she asked with a grumpy face).

"Purvi...Purvi naam hai mera aur Anu mera school time se best friend hai.."

Haseena-best friend (surprisingly) woh bhi Hero ki?

Purvi-Hero kaun?

Haseena-Anubhav...woh hamare Hero hai, waise aap chahe toh andar aa sakti hai...(smilingly).

Purvi-thanks but main abhi thodi jaldi main hoon toh kya aap yeh (giving her a tiffin box) aunty ko de sakti hai, woh kya hai na isme Anu ki favourite bhindi ki sabji hai......

Haseena-bilkul de sakte hai...(smilingly).

Purvi-thank you..(she left).

Maa-kaun tha Haseena...(maa asked, coming towards her).

Haseena-koi Purvi thi, Hero ke liye unki favorite sabji dekar gyi hai....

Maa-oh Purvi, woh andar kyu nhi aayi...

Haseena-woh jaldbaazi mein thi waise maa yeh Purvi hai kaun?

Maa-Anu ki bachapan ki dost hai....

Haseena-par aapne toh kaha tha ki aap log kuch mahine pehle hi yahan shift huye hai  phir yeh yahan kaise aur ab tak thi kahan jo hume itne din mein nhi mili?

Maa-arey buddhu, Purvi hamare kanpur wale ghar ke pados mein rehti thi..Anu ke saath uska transfer bhi yahan hua hai aur woh kuch din ke kaam ke silsile mein bahar gyi thi isliye tumne abhi tak use dekha nhi tha....

Haseena-accha...waise bahut khubsurat hai...aap faltu main Hero ke liye ladkiyan dekhar kar time waste kar rahi hai, inse hi kara dijiye Hero ki shaadi...dono sath mein khush rahenge....

Maa-aisa nhi ho sakta...

Haseena-kyu?

Maa-kyuki Purvi ki Sagai ho chuki hai aur kuch mahine baad uski shaadi bhi.......(smilingly).

Haseena-Oooo.....!

Maa-accha ek kaam karo toh mera...

Haseena-hukum kariye...(smilingly).

The Shooting Star ✔Where stories live. Discover now