One month later
Haseena-maa...oh pyaari maa....(sweetly).
Maa-phir se kuch gadbad kiya tumne?
Haseena-nhi toh...
Maa-sach bolo...(raising her eyebrows).
Haseena-woh hum kapde iron kar rahe the aur galti se Hero ki shirt...jal gyi....(she said sadly).
Maa-hey bhagwaan main kya karu is ladki ka (hopelessly) tumhe humne mana kiya tha na phir kyu kiya....
Haseena-hum toh bas help karna chahte the par phir gadbad ho gyi....
Baba-ab kya gadbad ho gyi....(he asked, coming to them)
Haseena-Hero ki shirt jal gyi humse....(sadly).
Baba-beta tumhe mana kiya hai na ki yeh sab mat kiya karo phir kyu....
Haseena-hum toh bas sikhna chahte hai, taki maa ki help kar sake....
Maa-koi baat nhi....jo ho gya so ho gya....
Haseena-par Hero?
Baba-nhi kuch kahega tum tension mat karo....
Haseena-hmm....
A few hours later
Anubhav-apne phir kuch gadbad ki hai....(he asked Haseena).
Haseena-nhi...nhi toh...(nervously).
Anubhav-yaad hai na do din baad court ki tareekh hai....
Haseena-ji....(worriedly)
Anubhav-kya hua?
Haseena-hume dar lag raha hai, un logon ne phir se aap par hamala kara diya toh...(tensed).
Anubhav-aap bekar mein tension le rahi hai, kuch nhi hoga...
Haseena-pichhale ek mahine mein kam se kam paanch baar attack ho chuka hai woh toh allah ki raham ki aap har baar unse bach jate hai.....
"Hum nhi woh hamare hathon se bach gye hai agar case nhi hota toh kab ka unhe jail bhej chuke hote...!"
Anubhav-jab ab tak kuch nhi hua hai toh aage bhi kuch nhi hoga, aap chintit mat hoiye....
Haseena-aap nhi samjhoge Hero, agar aap kuch ho gya toh phir hamara kya hoga....
Anubhav-aapko talaak ke liye ek saal intezaar nhi karna padega....(he said with a smile).
She glared at him with angry eyes.
Haseena-hum nhi dene wale aapko talaak, hum yahin rahenge...(she said grumpily).
Anubhav-aapke bas ki baat nhi hai yahan rehna waise bhi do mahine mein aapka char kilo wajan kam ho gya hai....(he said giggling).
Haseena-aisa kuch nhi hua hai aur hum rahenge yahin...jab sab thik ho jayega uske baad bhi....
Anubhav-achha thik hai....
Haseena-Hero...(sweetly).
Anubhav-hmm...
Haseena-woh hamari friend Diya....(he interrupted her).
Anubhav- yeh nahi dost kab bani?
Haseena-two weeks pehle, aapko bataya toh tha jab aap us din apne PC mein busy the....
Anubhav-oh...toh kya hua hai use?
Haseena-toh usne hume kal apne sath dinner ke liye invite kiya hai...
YOU ARE READING
The Shooting Star ✔
Fanfiction"Apni ishq ki syahi se humne likh di woh kahani, jiska pura hona mukaddar mein hi nhi tha...." "Sath hokar bhi sath rah na sake aur jab door gaye toh doori nibha na sake, mere mehboob tere ishq ki kahani toh sabne suni par mere hisse ke kahani hum k...