Two Days Later
Maa-yeh kya haal bana rakha hai tumne khud ka, do din huye nhi aur aankhon ke neeche kaale nishan pad gye....(she scolded Haseena, after breaking the embrace).
Haseena-maa aajkal workload jyada ho gya hai aur ab aap bhi nhi hai ki daant kar khana khila sake....
Maa-toh wapas aaja na....
Haseena-aap humse kuch karne ke liye kah dijiye hum kar denge par hum ab dobara yahan rehne ke liye nhi aa sakte....
Baba-kyun nhi aa sakti, is ghar par tumhara bhi utna hi hak hai jitna Anubhav ka...bahu ho tum is ghar ki....
Haseena-bahu toh hum tab hote jab Hero hume apni wife maante, aur jab hum aapke bete ki wife hi nhi hai toh Bahu kaise ho sakte hai....(she said with a smile).
Maa-uske kehne se thodi kuch hota hai, kanooni roop se tum uski biwi ho....
Haseena-uska kya hai kuch din mein woh bhi nhi rahenge....khair aap sab yeh sari baatein chhodiye aur yeh bataiye aap dono ki health kaisi hai, apna dhyan toh rakh hai na aap dono....
Baba-haan, tumhe toh koi problem nhi hai na...
Haseena-nhi Baba hume kya problem hogi....(smilingly).
Maa-tum baitho tab tak hum tumhare liye kuch khane ko bana kar laate hai...
Haseena-nhi maa, hum ja rahe hai waise bhi Hero ke aane ka time ho gya hai hume yahan dekh liya toh phir gussa ho jayenge...
Maa-aisa kuch nhi hoga, kyunki woh Delhi gya hai kal subah tak aayega shayad....
Haseena-sach mein?
Baba-haan...isliye aaj hamari beti apne maa Baba ke sath dinner karegi....(smiling).
Haseena-ji...
After sometime
Haseena-aisa lag raha hai ki aaj saalon baad itna tasty khana khaya hai...kuch bhi kahiye maa aapke haathon mein jadoo hai...
Maa-bas bas itni tareef bhi mat karo....
*knock Knock*
Baba-is time kaun aa sakta hai....(looking at maa and HM).
Haseena-Hero...(tensed).
Maa-ek minute hum dekhte hai....
Maa walks up to the house door and then open it.
Maa-Anu....(surprised).
Anubhav- haan maa hum hi hai aap itna hairan kyu ho rahin hai....(he said, entering into the house).
Maa-woh....
He looks at Baba and Haseena, who is constantly watching him.
Anubhav-oh isliye aap itna hairan ho rahi hai....(he said with a smile).
Haseena- hum bas ja hi rahe hai....(she said plainly).
Anubhav- nhi nhi jab ruki hai toh dinner kar hi lijiye waise bhi is ghar par abhi bhi adhikar hai aapka...(he said and about to walks up to the stairs when she speak)
Haseena-jab aap par hi hamara adhikar nhi hai toh is ghar par kaisa ho sakta hai Hero (she asked, he turned to her), jab hum guest the tab bhi hum kah sakte the ki is ghar ke mehmaan hone ke nate hamara kuch hak hai...maa Baba ne beti mana tabhi hamare paas hak tha par jab aapne hume wife banane ke baad hume is ghar se jane ke liye kah diya toh phir kaisa adhikar hua hamara is ghar par.....(she said, maintaining a intense eye lock with him).
Anubhav-hamari Patni banane ke baad bhi aap Maa Baba ke liye unki beti hi hai aur yeh ghar unka hi hai toh humse jyada unka hak ki is ghar mein kaun aayega kaun nhi....isliye hum aapko yahan aane se mana nhi kar sakte aur na yahan bhojan karne se...isliye enjoy your dinner....(he replied with a smile).
YOU ARE READING
The Shooting Star ✔
Fanfiction"Apni ishq ki syahi se humne likh di woh kahani, jiska pura hona mukaddar mein hi nhi tha...." "Sath hokar bhi sath rah na sake aur jab door gaye toh doori nibha na sake, mere mehboob tere ishq ki kahani toh sabne suni par mere hisse ke kahani hum k...