"Ab bologe bhi ki shaadi kyu ki dono ne...!" Maa taunted Anuseena as their silence was irritating her and Baba.
Anubhav- apni ladli se puchhiye, sab inki wajah se hua....(he said glaring Haseena).
Baba-Haseena beti, batao kya hua...(sweetly).
Haseena-woh Baba kal raat ko jab hum bahar gye toh humne suna yeh phone par kisi ko marne ki baat kar rahe the...
Maa&Baba-kyaaa....(fake surprising expression).
Haseena-haan, par hamare Hero toh shant insaan hai isliye hume laga ki yeh koi duplicate hai...kyunki hum inki car mein chhipe the toh yeh hume bhi apne sath lekar chale gye phir aadhe rashte mein....
Anubhav-hume pata chala ki hamari car mein yeh chhupi huyi hai....
8 hours ago (Anubhav's POV)
"Aapne kasam kha rakhi hai hume pareshaan karne ki..?" Anubhav asked Haseena in anger.
Haseena-nhi hum toh bas....(interrupted).
Anubhav-toh bas kya...(angrily).
Haseena-woh humne aapki baatein suni toh hume laga ki aap Hero ki copy ho par ab aapki dant sun kar lag raha hai ki aap hi original ho....(she pouted).
Anubhav-aap....(controlling his temper) khair is waqt hume avashyak karya hai isliye ghar jaiye aap...kal baat karenge aapse....(he said coldly).
Haseena-hmm....(she nodded like a obedient student).
Anubhav-aur dobara kisi musibat mein mat pad jana....
Haseena-hum jaan bujhkar thodi padte hai, problems khud humse attract ho kar chali aati hai...(she said innocently).
Anubhav-is baar bach kar rahiyega, ab jaiye....
Haseena-bye...(smilingly).
Anubhav-hmm.....
Haseena sits in an auto rickshaw and then after the auto rickshaw leaves, Anubhav leaves for his destination.
At an Isolated Place
Anubhav-batao kahan hai woh log?
Officer-sir woh rahe (he pointed at two person who was tied on a chair) yeh dono apna munh kholne ke liye taiyar hi nhi hai....
Anubhav-jara hum bhi toh dekhe kaise sach nhi nikalta unke mukh se (he pulls out his gun and aim it on them) bolo kaun sach bolega aur kaun upar jayega...
Man1- please mujhe jane do mujhe sach mein nhi maloom ki Raju bhai kahan hai...(pleading)
Anubhav-thik hai jane dete hai (unlocking his gun) upar bahut jald hi tumhe tumhare Raju bhai jald hi milenge....
Man1-nhi...nhi...dekho sahab mujhe sach mein nhi pata par is Chhagan ko pata hai ki bhai kahan hai.....
Chhagan-nhi sahab mujhe nhi pata...(eerily)
Officer-dekho tum dono decide kar lo khud ki kise pata hai ya kise nhi Kyunki sir ka dimag ghuma toh dono ko maar ke tumhari lash se sach pata kar lenge....(he said with a dangerous smile).
Chhagan-sir Raju bhai Matheran mein hai....
Anubhav-address bolo...
Chhagan-woh address nhi malum par aap udhar jakar malum karoge toh pata chal jayega...bahut naam hai unka udhar.....(he said with a smile).
YOU ARE READING
The Shooting Star ✔
Fanfic"Apni ishq ki syahi se humne likh di woh kahani, jiska pura hona mukaddar mein hi nhi tha...." "Sath hokar bhi sath rah na sake aur jab door gaye toh doori nibha na sake, mere mehboob tere ishq ki kahani toh sabne suni par mere hisse ke kahani hum k...