Debattama's POV~
Birds were chirping and wind was blowing... Everything was constant and so were my expression...from past one week all I did was staring the surroundings and missing the old me.
How I wish I wouldn't have met Karan that night... Maybe my family would've searched me and they took me back here... How I wish to forget that one month from my memory lane...!!!
Mum often asks what happened in Mumbai that I came back the next day though I told them to return after two days as Karan promised me to give a whole tout of Mumbaii but then life isn't what we expects... How can I tell her that everything's ruined.
She keeps asking me but I've no answer and I just gave her blank stares.
One day Mum forced me to go out to take fresh air...listening to her I visited nearby garden where I bumped into someone I know.
Tum??
Kesi ho Deba!!
Mein jesii bhi hu tumhe usse kya??
Aise replies to mat do yrr.
To kese du...aartii utaru tumhari??
Baat karni haii mujhe tumse...
Lekin mujhe tumse baat karne mein koi interest ni Akhil!!
Deba please....it's better if we don't keep any grudges aur uske liye tumhara kuch cheezein janna zaruri haii..
After his annoying justifications I agreed to listen to him and we sat on a bench.
I know tum mujhse naraaz ho lekin us din court na aane ka reason tha Deba.
Aisi kya vajah thii jo tumne mujhe Jhoothi assurance dekar tod di Akhil?
I loved you and you didn't even showed humanity pyar to door ki baat haii.
Easy ni hota haii Deba. Ghar ka sabse layak beta banna... Saari expectations sab aapse karte hein.
Loser hona fir bhi easy haii kyuki aapse koi ummeed nahi rakhta lekin best bane rehne ka pressure bahut tough hota hai.Tumse pyar to kar liya tha ye sochke ki papa ko mana lunga lekin papa ne love marriage ke against jo bhi kaha us din usse darr gaya tha mein...samajh ni aaya kya karu lekin tumhare accident ke baad mein unse ladne ke liye bhi ready tha lekin fir kuch aisa pata chala jisse mene vaha na aana hi sahi samjha!!
Kya matlab??
Humarii court date vale din Maa ko indirectly batane ki koshish kar raha tha mein humare baare mein... Tab maa ne bataya ki karan ek ladki se shaadi karke aaya tha aur fir kaha ki uska uske saath rehne ka mann nahi.
Mujhe nahi pata tha vo ladki koun hai lekin jab maa ne poora scenario samjhaya, ladki ka naam liya then it was evident ki vo tum Ho?!
Sabkuch clear ho gaya tha mujhe lekin gharwalo ki side se unke mann mein karan ne jesa bataya tha us vajah se Tumhare liye koi gussa ni tha but Karan ne aisa kyu kiya I wanted to know.
Uske room mein pahuncha to pillow ke neeche tumharii tasveer thi...
Karann pyar karne laga tha tumse!!
Kya karta mein... Aaj tak apne bhaii ke liye kuch ni kar paya isliye socha kum se kum uska pyar use de paau!!Wowwww...dono bhaiyo ne tyag ke devta contest khela hua hai jiski bet mujhpe lagayi hui haii..
Mujhse poocha tum dono ne ki mujhe kya chahiye??
Usne kabhii mujhe dost se aage nahii samjha aur tum kehte ho vo pyar karta haii mujhse....
Tumne mujhe uske liye chhoda usne mujhe tumhare liye chhoda... What the Helll!!!Koii samaan hu mein??
Samaan hu... Jise passing the parcel bana rakha haii dono ne...
Zara si bhii humanity haii???Sabse badii musibat to ye pyar haii...
Na mein tumhe pasand karti na ye hota... Kitnii khush thi mein Ritwik se shaadi kar letii dost tha mera jhel hi leti lekin tum log....
Tamasha banake rakh diya haii mera, I bursted out with having no control on my tears.Deba I'm sorry mein janta hu I hurted you... Lekin us fin jab Karan ne bataya tumhare baare mein tab realise hua ki galat ho gaya sab... Aur aaj jab mein apni zindagi mein aage badha Anu se shadi fix huii to sabse bada guilt tumhe hurt karne ka tha....teen din baad shaadi haii Merii aur zindagii ki nayii shuruat purane rishto ke dard par nahi karna chahta tha.
Acchii baat haii apne guilt se peecha chhudwane maafi chahiye thi tumhe.. Don't worry maaf kiya mene... Jaaooo enjoy ur marriage life!!
Ek aur baat thi... Tum aur karan ek doosre se pyar karte ho mein chahta hu tum dono saath raho...
Ji Nahii aapko koi galatfehmi hui haii Sir... Unke liye mein sirf dost hu unki...
Nahiii Deba misunderstanding tumhe hui haii... Itna to samajhta hu mein Karan ko ki vo aise hi kisi ladki ki tasveer ni rakhega...kisi ke liye apne gharwalo se jhooth nahii bolega, apne bhaii se ni ladega... You're special for him Deba.
Doesn't matter... Usne pehle hi clarify kar diya sab... Ab please ye faltu baatein mt karoo... I'm done with you two jaaooo tum yaha se...
I want ki tum is shaadi mein aaoo Deba.
Really??
Kuch zyada hi modern ni ho gaya zamana??Deba deep down tum bhi janti ho Karan ne jhooth kaha haii tumse aur use realise karvane ka isse accha mouka nahii milega...
You love him he loves you... Faltu ego mat rakhoo... Pyar priority hona chahiye.
Mere tumharii shadi mein aane se use kese realise ho jayega??
Kyukii shaadi humarii haii.
Whatttt???
I've a plannnnn!!!!
Note~ Don't know why I felt like giving spoiler but since I wasn't getting any idea how to continue further... One of my friend suggested this and I'm continuing here... Hope it wasn't boringgg😪😪

YOU ARE READING
MILEY JAB HUM TUM~ DEVIR TALE💙
FanfictionWe have all the control of our lives but does this applies over the power of Destiny and Love... you never know what's planned for you and how an unexpected person you bumped into occasionally can turn your lifeline❤❤