Kavin immediately carried Purvi in bridal style and came out of the storeroom followed by Pankaj.
They rushed inside the hotel. Kavin laid her on the sofa in front of reception.
Receptionist, other staffs and guests who were present there was shock.
Kavin to the staff: Bring the first aid kit quickly.
Staff rushed and brought first aid kit and gave it to them.
Kavin clean her wound then apply necessary ointment and did the dressing.
______________________________________
Underground storeroomAbhijeet: Bol kyu kiya ye sab?
Ananya sobbing: hamne ye sab srif aur srif Paiso ke liye taki ek acchi zindagi jee sake
Daya: Paiso ke liye koi insaan itna gir sakta hai. Agar tumlog ko unke paise gehne hi churane the to chura lete lekin jaan se hi maar dena. Khud acchi zindagi jeene ke sapne me kai masoomo ki zindagi khatam karna ye konsa pagalpan.
Raka: Jab vo log aapni jaan bakshne ki bhik mangte hai unke ankho me maut ka kauf, Unhe maarta hua dekhke jo khushi milti hai vo un paiso se zyada hai mere liye.
Abhijeet: Dimaag kharab hogaya hai tera Raka Naa jaane aapne iss pagalpan me kitno ko maut ke ghaat utaar diya.
Daya: Kanhoon tumlog ko kabhi maaf nhi karega, aur tumlog ko faasi ho isska dhyan mai zaroor rakhunga.
Abhijeet: Sachin Nikhil Freddy le jao inn sabko.
Sachin, Nikhil & Freddy: Yess sir.
They took them.
Shreya: Sir Purvi theek to hogi na.
Daya: Haa Shreya vo kitni kamjoor nhi hai.
______________________________________Abhijeet, Daya & Shreya came to Kavin, Purvi & Pankaj.
Pankaj: Sir un sabko le gaye?
Abhijeet: haa Pankaj unko thikane laga diya, Purvi kaisi hai?
Pankaj: Dressing kar diya hai but filhaal behosh hai.
Daya: Kavin tum aur Purvi aaj ki raat yehi hotel me ruk jao Purvi ko hosh bhi aa jayega phir kal subha check out kar lena.
Kavin nods in yes.
Kavin: Sir bhaiya aur bhabhi?
Abhijeet: vo dono dusri team ke saath dusre spot pe gaye hai.
Kavin: Kya muh dikhaoga bhabhi ko ek wada bhi pura nhi kar paya Mai.
Daya: Kavin chill, Purvi ko kuch nhi hua hai vo theek hi hai.
Shreya: Exactly, abhi ek baar hosh to aane do dekhna pehle jaise mast kudegi.
Abhijeet: Aur nhi to kya itne se ussko nhi hoga ekdam joshili hai vo.
Pankaj: Sahi kaha sir.
Kavin nods in little with face like this🥺
CID team left the hotel, after that Kavin took Purvi into their hotel room and laid her on the bed.
He sat besides her, staring at her face for sometime then got up and went to the balcony, stayed there staring at the beautiful sky full of shinning stars and the mesmerizing shining full moon.
Kavin: 7 saal ho chuke hai lekin in 7 saal me aaj tak mai iss baat pe vishwas kyu nhi kar paaya ki tumne mujhe dhokha diya tha ki tum aur tumhari baatein sab juthi thi. Kyu? Aakhir kyu mai vishwas nhi kar paa rha hu jabki tumne khud aapne hi mu se sab kaha tha. 7 saal baad tum se milne ke baad jiss chehre se nafrat karni chahiye kyu uss chehre ko dekhke vohi purani feelings aarhi hai? Kyu mera dil baar baar mujhse keh rha hai ki tumse puchu kya tumne sachme mujhe dhokha diya tha? Aur tum kaho nhi maine dhokha nhi diya tha. Aakhir kyuu?
आप पढ़ रहे हैं
Teedhi-Meedhi Kahani
FanfictionKismat... Kismat badi kutti chiz hai saali kabhi bhi palat jaati hai... Dono ne socha tha ki ab hamari mulakat kabhi nhi hogi... lekin kismat haina... Kismat ko unhe phirse milana hi tha... Saalo baad phirse Kismat ne dono ko aamne-samne khada kar...