FEELING HIS PAIN

2.4K 250 100
                                    

'Wo Aunty.... Mere baba ko na khana banana nahi....to jab bhi wo roti banate hai wo jal jati hai.... Isliye main wahi lekar aata hu... ' he said...

'Aur aapki Aai?? ' she asked...

'Aai to nahi hai... Wo bachpan me hi chor kar chali gayi... Aai hoti to mujhe bhi accha khana deti... Par baba bhi na bhut koshish karte hai ki mujhe Aai ki kami mehsoos na ho.... Par Aai to Aai hoti hai na... ' he said with slight tears in his eyes...

Sai could feel his pain.... As she also lost her Aai in such small age...

She knelt down and wiped his tears and hugged him......

'Koi baat nahi agar aap chaho to main roz aapke liye tiffin de sakti hu.. Jaise main Savi ko deti hoon...' she said..

'Haa bhaiya Aai na bhut accha khana banati hai' said Savi

'Sachhi.... ' he asked...
His eyes twinkled with happiness...

'Haa lekin abhi chalo main aap logo ko khana khila deti hoon... ' she said..

All sat on the bench....
Sai fed both of them...

'Aap sach me bhut accha khana banati ho.... ' complimented Vinayak..

'Thank you... Lekin ab mujhe der ho rahi hai.... Main chalti hu... Vinu aapke liye kal se main khana bhej  dungi ' she added...

'Bye Aai...' said Savi

'Bye Aunty... ' said Vinu....

'Bye beta.... ' said Sai and went from there...

At Night,

Virat came back....

Vinu excitedly goes to him...

'Baba ab aapko meri lunch ki tension lene ki zarurat nahi hai... ' he said...

'Kyu?? ' asked Virat keeping his watch and belt at bed...

'Kyunki koi kal se roz mere liye lunch dene wala hai... '  he said..

'Kon?? ' he asked confusingly...

'Baba  maine aapko candyfloss wali aunty ke bare me bataya tha na.... Wo hi.. ' he said...

'Vinu baba ne mana kiya tha na.... Or ye aunty aapke school me kya kar rahi....kahi wo aapko stock to nahi kar rahi na...Vinu aap unse dur rahoge... ' he said...

'Are baba shant apna IPS dimag itna mat chalaiye.....Maine ek bacchi ki madad ki thi to wo na meri behen ban gai......to aunty usse hi lunch box dene aayi thi kyunki wo apna lunch box ghar per bhul gai thi..... Aur maine usse apna lunch offer kiya tha .....Usi time per aunty a gayi to maine bataya ki mere baba bahut hi ganda khana banate hai...... To unhone mujhse kaha ki aaj se aapka lunch box mein Savi ke hath se bhej dungi bas.....itni se kahani thi.... ' he said taking a deep breath...

'Aisa kya.... par fir bhi Veenu aapko aise kisi se bhi kuch nahi le lena chaiye na.... Aur main ganda khana banata hu... ' he asked widening his eyes

'Baba please.... aunty bahut acchi hai aaj unhone mujhe apne hathon se khilaya bilkul Aai ki tarah or unke haath ka khana kha kar to mujhe aapka khana ganda hi laga... ' he said innocently

Virat became shocked listening his words...

'Veenu bas aapki Aai ki jagah koi nahi le sakta..'  he said turning his face other side...

'Baba.... Aunty Aai ki jagah le sakti hai.... Wo jab mujhe khila rahi thi na to mujhe lag raha tha ki agar meri Aai hoti to wo bhi mujhe waise hi khilati....aap na unhe hi meri Aai bana do na baba please...' he innocently requested...

'Veenu... Ye koi mazak nahi ho raha hai.... Or ab aap un aunty se nahi miloge.... ' he said angrily....

'Main jaunga unke pass... Wo bhut acchi hai.... Aapne to mujhe meri Aai ki photo bhi nahi dikhai... ' he said and tears flowed from his eyes...

'Veenu.... Abhi jao so jao... Kal subha school bhi Jana hai na... ' he said controlling his tears...

Vinayak went to his room...

Virat fell down on his knees...

'Sab meri wajah se hua hai... Tumhari Aai aaj meri wajah se tumhare paas nahi hai..... Kash maine wo sab nahi kiya hota.....lekin mujhe ye pta lagana hoga ki wo aurat kon hai jo veenu se roz mil rahi hai... ' he said... ..

At Sai's house,

Sai was helping Savi in making her assignments....

'Aai... Aap kal bhaiya ke liye kya banoge lunch me... ' asked Savi..

'Maine to poocha hi nahi ki usse khane me kya pasand hai... ' said Sai...

'Aai aap pav bhaji bana do na.... Shayad bhaiya ko pasand aaye... Aur aapka bhi to favorite hai... ' suggested Savi...

'Haa ye thik rahega....' said Sai...

Next Morning,

Sai prepares Pav bhaji for both of them...
She also make modak for him and pack it in a separate box....

'Kash Vinayak ki Aai zinda hoti... Bechara baccha kaise rehta hoga.... Mere paas to usha maushi bhi thi par uske paas to koi bhi nahi hai... Usse kaise mehsoos hota hoga akele... Main uske papa se baat kar ke usse Savi ke sath yahi le aungi... Din bhar dono yahi rahenge or raat ko uske papa usse yaha se le jayenge....' said Sai to herself..

_______________________________

I know story is going little slow... But there are many twist and turns coming in upcoming updates...

Do not forget to press the star button if you like it.

Do share your ideas and views in the comment section.

Life Without You Where stories live. Discover now