18. PRIYA'S WISH

80 5 0
                                    

"Ye kya bol rahe hain aap Rajkumar Ridham? Aap soch bhi kaise sakte hain ke Mahamanyu Rajya ki Sunbai Shastra chalaye? Sunbai Anushka ne pata nahin kaun sa jaadu kar diya hain aap par. Kuch samajhna hi nahin chahte. Bas unhi ki basha bolni hoti hain har waqt. Shastra chalana ahilao ka nahin purusho ka kaam hain. Mahilao ka kaam ghar grahsti sambhalna hain. Sunbai Anushka aapko bilkul lajja nahin aati har waqt Humare Rajkumar ko ye sab sikhate hue? Pata nahin kyun Rajkumar Ridham ne aapse vivah kiya? Aapke Rajya me mahilo ko sharam lijjah nahin hoga kintu humare Rajya me aesa kuch nahin hota. Humari ye baat aap gaath (knot) band le. Aap kabhi bhi shastra chalane nahin jayegi. Ghar grahsti sambhale, apni zimedari sambhale. Rajya ko jald se jald se pota de. Aur haan apni badi behno se kuch sikhe ve to aese nahin karti. Apni zimedari puri kare na ke ye sab kare. Aur aap Rajkumar Ridham biwi ke gulam banna chor apni zimedari par dhayan de. Apne bhaiyo se sikhe kuch." Shouted Smita in anger. Everyone flinched. Anushka's eyes was filled with tears. She was looking down. Ridham was fuming in anger.

Supriya was about shout but "Maa Anushka humari Patni hain, Rajya ki Sunbai hain. Aap aese kaise baat kar rahi hain unke sath?" asked Ridham. Anger was dripping from his voice.

"Bas kijiye. Smita maa shant ho jaye aur humari poori baat sune. Ridham aap bhi shant ho jaye. Aese krodit ho kar ladne se kuch nahin ho sakta." said Siddharth calmly. Nihar rubbed Ridham's back to calm him. Vanshika passed water to Smita to calm her as well. Sonavee console Anushka to calm her. After some minutes they both calmed.

"Maa, Surbhi maa, Smita maa hume aap se aavashyk vishay par baat karni hain?" Siddharth asked permission. Supriya nodded signaling him to continue.

"Sunbai Anushka Shastra chalane aur yudh me humare sath shaamil ho aur mahilaye bhi Rajya ki shaamil ho aesi icchaha Rajkumari Priya ki thi. Unhone humse ye manga." explained Siddharth. Everyone except Abhishek, Nihar and Ridham looked at him with shock.

"Ye aap kya keh rahe hain Maharaj Siddharth?" asked Supriya not believing on her ears.

"Yehi satya hain maa." said Abhishek. "Yudh jeetne ke baad humne Rajkumari Priya se kaha aapko jo chaye mange tab unhone ye ichccha zahir ki apni." continued Abhishek.

Flashback:

At Mahamay Rajya. After winning fight. Everyone was happy and was cheering.

"Rajkumari Priya ye aapke bhaiyo ka pehla yudh hain. Hum jeet gaye sirf hum hi nahin humare sath aap bhi. Hume vishwas nahin ho raha humari choti si behan har waqt yudh me humare sath. Aap kab itni badi ho gayi?" said Abhishek with happy tears. Priya hug him. "Chalo mango aapko kya chaye. Hum vada karte hain hum chaaro bhai mil kar aapki ichccha puri karne ki koshish karege. Aap bataye." said Siddharth joining Abhishek, caressing Priya's hair.

"Bhaiya aapko khushi hui hum yudh me aapke sath the to?" asked Priya smiling. "Khushi nahin bahut bahut khushi hui. Hume to yakeen nahin ho raha humari choti si rotlu Rajkumari itni badi ho gayi." said Nihar joining hug with Abhishek and Priya. "Agar humare yudh me ladne se, aapko sahyog karne se aapko itni khushi ho rahi hain to socho jab aapki patni ya humari bhabhi aapko yudh, vitteey karya (financial work), prashaasanik karya (administrative work) me sahyog karege. To aapko kitni khushi hogi, garv hoga. Aapko hi nahin humare Rajya ko bhi." said Priya. "Ye to sahi baat kahi aapne priya." said Ridham understanding her point. "To sab yehi humari ichccha hain ke aap Anushka bhabhi ko shashra chalane, yudh me sath le. Anushka bhabhi hi nahin humari saari bhabhi. Jaise unki ichccha ho." said Priya hoping for Yes. Abhishek, Siddharth, Nihar, Ridham looked at each other. "Theek hain. Agar yehi aapki ichccha hain to hum is vishay par sochege aur maa se charcha karege." said Siddharth with smile. "Hum jante the humare bhai sabse ache hain." she pulled Siddharth too in hug. Ridham too join them.

Flashback Ends.

"Ye Rajkumari Priya ne kaha?" asked Smita hoping for no. "Haan ye bola Rajkumari Priya ne." replied Ridham sternly. "Priya Rajya ki ek hi Rajkumari hain. Hum uski ichccha ko andekha (unattended) nahin kar sakte. Aur to aur vo apne pitashri, bhaiyo ki ladli hain. Hum iss bare me sochenge aur Surbhi behan, Smita behan se charcha karke antim nirnay (final decision) bata denge. Abhi is vishay par koi charcha nahin hogi." said Supriya dismissing the topic. Everyone nodded and had breakfast then went for respective works.

Jannat went to her room with Nihar. In Jannat's room. Nihar made her sit on bed. "Aap theek hain na? Kisi cheez ki aavashykta to nahin?" asked Nihar with concern. "Nahin hum bilkul theek hain. Par humara shishu but natkhat hain. Abhi se alag alag farmayesh hoti hain." shared Jannat. Nihar was listening with smile. "Jab aap yudh ke lie gaye the tab bhi- "Jannat was saying something but stopped in middle. "Choriye jane dijiye." said Jannat looking down. "Arey! Boliye hum jaanna chahte hain. Kya kiya humare shishu ne?" asked Nihar. "Nahin aapke shishu ne kuch nahin kiya. Jane de." said Jannat looking here and there. "Boliye Jannat." demanded Nihar. "Theek hain Parantu aap vada karie aap Tisha didi ko kuch nahin bolege." said Jannat forwarding her hand. "Tisha?" asked Nihar confused.

"Jane dijie Rajkumar Nihar." asked Jannat taking her hand back. "Acha theek vada karte hain. Aap bataiye." said Nihar holding her hand. Jannat sighed "Vo kuch din pehle hume aam khane ka bahut man kar raha tha. Tisha didi ke hath me aam the. Ve kha rahi thi. Humne unse pucha ke agar hum thora sa le sakte hain. To unhone gusse se mana kar diya aur kaha ke ye humara bacha hain. Unke liye koi maaine nahin. Ve humare bache se nafrat karti hain. Ve kabhi humare bache ko sawikaar nahin karegi aur bola ke unhone humare bache ke hone ya na hone se farak nahin padta." said Jannat with teary eyes. Nihar wiped her tears. "Aap ye sab chorue aur aaram kare." said Nihar and walked out of room.

He directly went to Tisha's room. "Tisha." shout Nihar. Tisha flinched. "Kya hua Nihar?" asked Tisha with fear. "Aap ne Jannat ke sath kaisa bartaav kiya? Aapko humara aur Jannat ka bacha sawikaar nahin humne aapse kuch nahin kaha kintu ye kya tarika hain Jannat se bartaav karne ka? Ye kya kya aapne bola hain humare shishu ke liye? Aapko thori si takleef nahin hui ye sab bolte hue? Aapke hirday me peeda nahin hui? Aap aese kaise kar sakti hain?" shouted Nihar. Tisha flinched. Her eyes were filled with tears. Before she could reply Nihar left from there in anger.

End of Chapter.

Words: 1125 counts.

PALATINE'S STRUGGLE (COMPLETED)Where stories live. Discover now