8. LAST WISH

70 2 0
                                    

After some days. It was morning time. In palace. Abhishek, Nihar and Ridham was waiting in backyard for Siddharth. So that they can start sword fighting practice. Anushka came there with priya.

"Abhishek dada hume sikaar ke liye sath nahin le jate ho par kam se kam hume talwar baji ka abhyaas karne de. Hum bahut achi talwar baji karna jante hain. Kripya karke aap ek baar Siddharth dada se baat kariye" requested Anushka. "Abhishek dada, Anushka bhabhi ke sath hume bhi talwar baji sikhni hain. Kaise humare Rajya ke logo ko, sampuran parivaar ko garv hoga jab hum bhi aap logo ki yudh me sahayta karege or dushmano ka ceena phad (tear up their chest) dege. Humare liye aap Siddharth dada ko aap samajhaye" Priya put forth her point.

"Sunbai Anushka, Rajkumari Priya ye sambhav nahin hain. Humare Rajya ki stree (female) ki raksha karna, unhe surakshit mehsoos karana humara kartavya hain. Isliye hum aap logo ki is baat ko nahin maan sakte. Stree Mahal ke Andar ki dekh bhal karti hain. Yudh me nahin jati. Naahi aaj tak kabhi humare Rajya ki kisi stree ne aesa kuch nahin kiya hain. Hum niyamo (rules) ke khalif nahin jaa sakte. Hume kshama kare. Aur ek baat aaj tak koi bhi stree yaha humare abhyaas ke jagah nahin aayi hain. To aap dono bhi is baat ka dhayan rakhe. Mahal me jaa kar aap vishram kare." explained Abhishek. Anushka looked at Ridham with hope in her eyes that he will support her but Ridham being helpless nodded in no. With sad face Anushka and Priya went in palace.

Abhishek, Nihar and Ridham waited for more time for Siddharth but then decided to go and check on him. They three went in Palace and directly went to Siddharth's room. At entrance. They stood and saw Siddharth was lost in deep thoughts. "Hum andar aa sakte hain Siddharth?" asked Abhishek as he knocked the door. Siddharth's chain of thoughts broke. He looked at entrance and saw his brothers was standing.

"Aap andar aaiye. Ye aap hi ka kshak hain. Aapko anumati leke ki koi aavashykta nahin" said Siddharth. They three came in and all sat on bed. "Siddharth dada aap chintit lag rahe hain? Koi samsya hain kya?" asked Ridham with concern. "Siddharth dada kya aap Avneet bhabhi or Sonavee bhabhi ke jhagde ko leke pareshan hain?" asked Nihar. "Siddharth thora sa samay dijiye. Unke liye bhi ye sab itni jaldi swikaar karna mushkil hain. Thora sabar rakhe. Sab theek ho jayega" explained Abhishek in calm voice.

"Haan dada hum samajhte hain. Kintu humari pareshani ki vajah kuch or hain" said Siddharth thinking. "Kya baat hain dada?" asked Nihar worriedly. Siddharth went and took some papers from cupboard. He came back and sat on bed with his brothers. He showed papers to them. "Abhishek dada, Nihar, Ridham ye dekhe MahaMay Rajya. MahaMay Rajya aur MahaMayu Rajya dono humare dada ji ke the parantu Mahamay Rajya par Kabza kar Mahamay Rajya cheen liya gaya dada ji se. Mahamay Rajya ko vapas lena or vaha humara Rajya phir se sthapit karna aese ichccha thi pita ji. Ve apne pita ji ka Rajya vapas chahte the." shared Siddharth about his father's wish with his brothers. "Abhishek dada aur Rajkumar Ridham jab Janaya Rajya gaye the. Sumedh dada ki sahayta hetu. Tab pita ji se hume MahaMay Rajya ke bare me pata chala. Hum abhi pita ji ki aakhiri ichccha ko pura karne ka soch rahe the" said Siddharth.

"Siddharth dada aap chintit na ho. Hum aaj hi sena ka praband kar jald se jald yudh ki taiyaari ke liye abhyaas shuru karte hain. Sheegrah hi hum apne pita ji aakhiri ichccha puri karege" said Nihar. "Aesa mumkin nahin hain. Mahamay Rajya ki Sena bahut badi or takatwar hain. Hum apna Mahamanyu Rajya bhi kho dege aese to" worried Siddharth spoke. "Hume sena ko badi or takatwar banane ka praband karna hoga. To kyun na hum humare Rajya ki streeyo ko yudh ke liye tayar kare" said Ridham thinking about Anushka's wish. Siddharth and Abhishek gave him death glare. Nihar giggle.

"Yaha hum apne Rajya ko badane ka soch rahe hain. Agar aapko ye sab sochna hain to aap yaha se jaiye" said Siddharth with anger. "Hume kshama kare" apologize Ridham. "Dada shant ho jaye" Nihar tried to calm Siddharth.

Siddharth nodded and calm himself. They were thinking for few minutes. "Hum soch rahe hain. Kyun na hum Vivah gathabandhan ka soche? Humara matlab hain hum vivah karege to humari patni ke Rajya ki sena humari sahayta hetu razzi ho jayege." explained Abhishek. "Haan dada ye sahi rahega" agreed Siddharth. "Hum soch rahe hain ek baar ye baat maa se karke parvaangi le lete hain unki. Agar maa ko ye sahi laga to hum Pradan mantri, se baat kar praja me goshna (announce) karayege" suggested Ridham. "Hume lagta hain Rajkumar Ridham ka ye sujhav sahi hain" agreed Nihar. Abhishek and Siddharth also agreed. Siddharth ordered servant to arrange meeting with mothers in an hour then brothers continued discussing about it.

"Hum sab ko baithak me samajhayege hume dusra vivah nahin karna. Maa ne bhi Anushka ko swikaar kar liya hain to koi samsya nahin" though Ridham in mind.

After an hour. Brothers with their mothers gathered for meeting.

"Koi samsya hain kya? Ekaek baithak ka aayojan kiya? Rajya par koi musibat to nahin?" questioned Supriya worriedly. "Maa koi samsya nahin hain. Aap chintit nah ho. Humne ek vishay par charcha ke liye baithak ka aayojan kiya hain" replied Abhishek. "Haan to bataye kya vishay hain?" asked Surbhi. "Maa Mahamay Rajya-" Siddharth was cut off by Supriya "MahaMay Rajya aapke dada ji ka tha parantu us par Kabza zama kar hathiya liya gaya" "Haan maa. Pita ji ve Rajya vapas pana chahte the. Ye unki antim ichccha thi. To hum sab bhai mil kar unki ichccha puri karna chahte hain" explained Abhishek. "Ye to bahut hi achi baat hain. Hume tum sab par garv hain" express Supriya proudly. "Parantu Supriya maa ek samsya hain. Humare Rajya ki sena badi nahin hain or naahi hi takatwar hain yudh hetu" said Nihar. "Isliye hum soch rahe the Vivah gathabandhan rakhe Maharaj, Yuvraj or Rajkumar ka." continued Siddharth nervously.

"Ye sahi mauka hain. Rajya ke liye apne bhaiyo ko dekh humare Rajkumar Ridham bhi dusra vivah karege. Is baar hum unke liye Sundar, Sushil, Sarvagun sampan patni dhundege. Aesi Sunbai layege ke Ridham khud Anushka ko bhul jayega aur Surbhi behan or Supriya behan bhi jal jayegi" thought Smita in mind being excited.

"Maa kya soch rahi hain aap?" asked Ridham shaking Smita. "Kuch nahin." replied Smita. "Smita behan, hume aur Surbhi behan ko is faisle se koi aapti nahin. Aapka kya kehna hain?" asked Supriya with proud smile. "Hume bhi koi aapti nahin Supriya behan. Hum to bahut khush or garv mehsoos kar rahe hain humare putro par" said Smita happily.

"Hum is nirnay me aapke sath hain" announced Supriya happily. "Hum soch rahe hain humari patnio se bhi parvangi le" said Siddharth out of blue. "Ye kya murkho jaise baat kar rahe hain aap? Aap Maharaj hain. Aapko apne jeevan ke or Rajya ke nirnay lene ke liye aapki patnio ki parvangi lene ki koi aavashykta nahin hain" said Supriya firmly. "Parantu Maa Siddharth ka kehna sahi hain. Hume ek baar apni patnio se baat kar leni chaye is vishay par" requested Abhishek. "Kintu iski kya aavashykta hain? Aap ye sab chore. Hum aaj hi Maharani Avneet aur Choti Rani Vaishnavi ke Rajya sandesha bhejvate hain. Humare Rajkumar Ridham aur Rajkumari Kyaaraa ke vivah ke liye." Enthusiastic Smita spoke. "Humara vivah? Kintu hum dusri baar vivah nahin karege" shocked Ridham. "Ye kya bachkani harkat hain Ridham? Aapke bade bhai Siddharth aur Abhishek Rajya ke liye teesra vivah kar sakte hain. Rajkumar Nihar dusra vivah kar sakte hain. To aap dusra kyun nahin?" Asked Smita with anger. "Maa humne Anushka ko vachan diya hain. Hum unse prem karte hain. Hum kisi or se vivah bilkul nahin karege. Humara jeevan, humara nirnay. Ye humara aakhiri nirnay hain" said Ridham with anger. "Rajkumar Ridham ye kya bartaav hain? Aap apne Rajya ke liye itna nahin kar sakte? Aur vachan to Siddharth, Abhishek aur Nihar ne bhi diye hain apni patnio ko. Ve bhi apni patni se prem karte hain." scolded Supriya. "Vo jo bhi ho. Humara ye aakhiri nirnay hain" said Ridham sternly. "Abhishek, Siddharth, Nihar aap bhi apne apne man ki karo aur parvangi lelo apne patnio se. Ek bhai apne patni ke liye Rajya or Pita ji ka maan nahin rakh raha aur baki teen har baat apni patnio se puch kar karna chahte hain. Humare sare bete jin par hum garv karte nahin thakte. Ve ab joru ke ghulam ban gaye hain. Aese apne Rajya ki suraksha aur sahayta karna. Sab ke sab joru ke ghumal ban kar baith jao" Surpiya was so angry. With these words. She stomped out of room. Smita and Surbhi too left.

END OF CHAPTER.

How was the chapter?

Favorite Scene?

Words: 1500

PALATINE'S STRUGGLE (COMPLETED)Where stories live. Discover now