Part 3

831 34 4
                                    

Rishmi come back home and Rishi goes to his room whereas Lakshmi goes to the kitchen to see if there was any work to be done.
Rishi: Ye judge madam ne mujhe aise kyu bola introspect karne ke lie. But baat to hai mujhe khud ki hi feelings nai samajh aa rhi. 15 din baad final decision dengi wo. Aur unhone divorce final kar dia to.. matlab Lakshmi mujhse hamesha hamesha ke lie alag ho jaegi. Wo chali jaegi mujhe chhor ke. Nai main usse alag nai ho sakta. Mujhe nai jana usse door.
Aur Malishka, uska kya. Wo to shaadi ke sapne dekh rhi hai. But ab main usse itna chidhta kyu hoon. Sahi bol rhi thi wo bhi pehle to mujhe uske kareeb jaake acha lagta tha ab jab bhi wo mere paas aane ki koshish karti hai mujhe ajeeb kyu lagta hai. Kuch bhi feel nai hota. Infact wo pehle jaisa junoon wo jealousy wo zid kuch bhi feel nai hoti. But mom to usi se meri shaadi karwana chahti hai, bua bhi chahti hai ki wo iss ghar ki Bahu bane. Kuch samajh nai aa rha kya karna chahiye. Itna mushkil kyu hai sabkuch. Kaash kuch aisa hota ki mujhe apni hi feelings clear samajh aati..
Lakshmi comes in the room.
Lakshmi: Arre Rishi tumhe to office Jana tha na abtak yehi ho. Kya hua? Sab theek hai na?
Rishi: Haan Haan sab theek hai wo bas kuch soch rha tha. Bas nikal hi raha hoon.
With this Rishi leaves and goes down. While leaving Dadi stops him.
Dadi: Arre Rishi, sun to
Rishi: Haan dadi boliye
Dadi: Wo kal na karwa chauth hai aur Lakshmi tere lie vrat rakhegi. Pichle saal to maahol hi aisa tha ki hum kuch kar nai sakte the but iss baar tu Lakshmi ko ek acha sa pyara sa gift dena. To Jo bhi tujhe use dene ka man ho wo khareed lena.
Rishi: Arre dadi but abhi to hamari shaadi ko ek saal poora bhi nai hua to ye vrat dobara kaise aa gya.
Dadi : Arre puttar ye sab vrat tyohar na hindu calendar ke hisaab se chalte hai. Inke dates idhar udhar hote rehte hai. Tu ye sab chhor apne gift ka soch.
Rishi: Par dadi kya Lakshmi sach me mere lie ye vrat rakhegi? Mera matlab hai kuch dino me to hum alag ho jayenge na to fir iss vrat ka kya matlab.
Dadi: Puttar ye to main nai keh sakti ki kuch dino baad Lakshmi hamare saath iss ghar me hogi ya nai par main ye daave ke saath keh sakti hoon ki wo zindagi bhar tere lie ye vrat karegi. Wo bachhi bahot pyaar karti hai tujhse aur Janam janam ke lie apna saathi maanti hai tujhe. Wo teri salamati aur lambe khushaal jeevan ke lie kuch bhi karegi.
Rishi is left perplexed. And leaves from there after saying bye
Dadi : (to herself) Rishi Kaash tu samajh Jaye ki tu bhi usse utna hi pyaar karta hai jitna wo tujhse karti hai. Kaash tum dono kabhi alag na ho. Hamesha saath raho. Khush raho.
At night:
Rishi: Lakshmi tum bed pe so sakti ho. Tumhe sofe pe sone ki jaroorat nai hai.
Lakshmi: Nai Rishi. Main theek hoon yaha. Koi problem nai hai.
Rishi: Main keh rha hoon na tum yaha aa jao. Main pakka tumhe pareshan nai karoonga.
Lakshmi: Acha aur jo tum poori raat charkhe ki tarah ghoomte rehte ho, kahi mujhe chaper laga di to.
Rishi: Arre to kya tum hamesha sofe pe hi so-gi? Pati patni to same bed pe sote hai. To tum bhi mere paas so.
Lakshmi looks at him surprised.
Rishi: Mera matlab hai ki tum yaha aa jao bed pe aur aaram se so jao. Faltu waha takleef me rahogi
Lakshmi: Mujhe koi takleef nai ho rhi yaha. Ab tum so jao aur mujhe bhi sone do. Kal subah mujhe jaldi uthna hai sargi ke lie.
Rishi: Sargi... Matlab tum sach me mere lie kal vrat rakhogi?
Lakshmi : Haan obviously. Isme puchne ki kya baat hai
Rishi: Mera matlab hai ki tumhe mere lie vrat rakhne ki jaroorat nai hai. It's okay.
Lakshmi: Kyu. Last time bhi to rakha tha na Maine. Aur main to hamesha rakhungi. Tum mujhe nai rok sakte.
Rishi: Par kyu rakhna hai. Tum to jaanti ho na kuch din baad...
Lakshmi: Kuch din baad jo hoga wo hoga but iss vrat me meri aastha hai. Tumhare lie mujhe kuch bhi karna pade main karungi. Aur ye to tumhari lambi aayu ke lie hai to isse to main bilkul hi nai ignore kar sakti.
Rishi going to say something but Lakshmi's phone rings and she picks up.
Shalu (on phone): Hi di. Mujhe actually ye puchna tha tujhse ki subah kitne baje aaye hum teri sargi leke.
Lakshmi: waise to time 4 bje se hi hai but tumlog 5 bje tak aa jana. Ek ghante me mera khana ho jaega
Shalu: Theek hai di fir hum subah milte hai. Bye Goodnight
Lakshmi: Goodnight shalu aur bani ko bhi goodnight bol dena.
After cutting the call Lakshmi turns to Rishi but sees him facing the other side lying down. She assumes he has slept.
But sleep is far away from Rishi's eyes. He is still stuck in the dilemma of his feelings for his wife who clearly loves him more than anyone in the world.

What if - Rishmi FFWhere stories live. Discover now