Part 3

209 9 4
                                    

(Sorry for not updating for such a long time everyone. Really sorry.)

Scene continues......
Rishi(gripping Lakshmi's arms tightly): Batao.....kyun aayi ho tum yaha?
Lakshmi(teary eyed): Vo main kal.....nahi kuch nahi chodo.....tum kaise ho Rishi?
Rishi(gripping Lakshmi's arms tightly)(angrily): Itne saare zakhm dene ke baad bhi tum mujhse pooch rahi ho ki main kaisa hoon? Kya lagta hain tumhe Lakshmi?
Lakshmi was teary eyed but didn't said anything.
Rishi(gripping Lakshmi's arms tightly)(angrily): Chali jaao yaha se Lakshmi.....isse pehle ki main apna apa kho doon...chali jaao yaha se.
Lakshmi(teary eyed): Thik hain Rishi....main chali jaati hoon.
Rishi left Lakshmi's arms.
Lakshmi wiped her tears and quickly came down.
Lakshmi was about to leave when Rishab's mother stopped her.
Rishab's mother: Lakshmi....tum kaha jaa rahi ho?
Lakshmi: Vo main dhabe ke paas jaa rahi hoon.....waha jo owner hain vo aate hi honge isiliye.
Rishab's mother: Tumhe waha kaam karne ki koi zaroorat nahi hain.
Lakshmi: Kya? Kyun aunty?
Rishab's mother: Matlab yeh ki tum toh padhi likhi ho...so tumhe koi aur job karni chahiye. Aur tumhe aise footpath path par bhi nahi sona chahiye.
Lakshmi: Aunty....agar main waha kaam nahi karungi toh fir kaha? Aur agar footpath par nahi toh kaha rahungi?
Rishab's mother: Yaha.....humare ghar mein rahogi tum. Aur Rishab ki company mein job karogi.
Lakshmi: Aunty iski koi zaroorat nahi hain.
Rishab's mother: Bilkul zaroorat hain. Tum baitho yaha.
Rishab's mother made Lakshmi sit down.
Rishab: Lakshmi.....tumhe pareshaan hone ki koi zaroorat nahi hain. Tum bas ek baar vo kaam try kar lo. Agar tumhe nahi accha laga toh bhi bohot saare options hain mere paas....aur agar tum vo bhi nahi karna chahogi...toh bhi chalega. Tum apne dhabe waala kaam jaari rakhna....lekin tum please yeh ghar chod kar mat jaao.
Lakshmi: Lekin.....
Rishab's sister: Lekin vekin kuch nahi.....this is final.
Lakshmi thought something and then agreed.
Rishi saw everything. He became very much annoyed seeing this but he cannot say anything as he doesn't want to make those people upset for whom....he was at that position..for whom he is alive.

Lakshmi came up when Rishi took her aside angrily.
Rishi(angrily): Bohot khushi hui hogi na tumhe? Inn sab ko fasa kar?
Lakshmi(teary eyed): Rishi I swear....maine aisa kuch nahi kiya hain jaisa tum soch rahe ho.
Rishi(angrily): Arrey haan.....tumne sahi kaha...tumne sirf inko fasane ka plan nahi banaya hoga. Right? Waise aur kaunsa plan banaya hain tumne?
Lakshmi(teary eyed): Rishi tum mujhe galat samajh rahe ho.
Rishi(angrily): Main tumhe galat samajh nahi raha hoon. Maine tumhe galat samjha tha.....lekin iss baar main galati nahi karunga Lakshmi. Main na ab tumhare rag rag se waakif ho chuka hoon.
Lakshmi(teary eyed): Nahi Rishi.....waisa nahi hain jaisa tum samajh rahe ho. Mera iss ghar mein rehne ka maqsad Rishab aur unki family ko fasana nahi hain.
Rishi(angrily): Accha? Toh fir kisko fasane ka maqsad hain?
Lakshmi was about to speak when Rishab called out Rishi's name asking him to come down.
Rishi left Lakshmi and came down.
In the afternoon,
Everyone was having lunch when Rishab spoke.
Rishab: Lakshmi waise tumne kaunse subject se graduation kiya tha?
Lakshmi: English ownars....aur fir Phd ki hain.
Rishab: Great yaar......tum ek kaam karna tum kal mere saath office chalna.
Lakshmi nodded in yes.
After the lunch,
Lakshmi was told to rest. Lakshmi went to her room and lied down on the bed.
Lakshmi(in mind)(teary eyed): Bauji.....aapne sahi kaha tha....Rishi heera hain....sone ka dil hain uska...lekin main hi selfish hoon jo usko apne matlab ke liye chod diya uska istemal karne ke baad. I just wish ki main vo sab badal paati.
Lakshmi closed her eyes. A tear flew down her cheeks as something from her past striked in her mind.
Flashback,
Manoj: Lakshmi puttar.....tere naam maine business aur property nahi ki hain. Vo maine Rishi ke naam ki hain.
Lakshmi(angrily): Why? Kyun kiya aapne aisa? Uss anarth aur bhikhari ke naam par sab kaise kar diya aapne? Apni beti ke hote hue?
Manoj: Maine bohot soch samajh ke yeh faisal liya hain.....aur iske peeche ek wajah bhi hain.
Lakshmi(angrily): Accha? Kya wajah hain?
Manoj: Wajah yeh hain Lakshmi puttar....ki main chahta hoon ki tu Rishi se shaadi kar le.
Lakshmi became extremely angry hearing this.
Lakshmi(extremely angry): Main marr jaaungi lekin kabhi uss gawar , bhikhari, anari aur anarth se shaadi nahi karungi.
Saying this Lakshmi was about to leave when Manoj spoke.
Manoj: Agar tu ne aisa nahi kiya toh tujhe kabhi 2000 crore ki property nahi milegi.
Lakshmi(with an evil smirk): Uski chinta aap mat kijiye......mujhe acche se pata hain ki uss gawar Risi se kaise apna haq cheen na hain.
Saying this Lakshmi left.
Manoj: Lakshmi! LAKSHMI MERI BAAT SUNN.......USKE SAATH KUCH GALAT MAT KARNA.
Lakshmi didn't hear anything and left.
Manoj went near the idol of godess and spoke joining his hands.
Manoj(joining hands): Rishi bohot accha ladka hain matarani.....uska dil sone ka hain....lekin Lakshmi bohot matlabi hain matarani. Vo pyaar ki paribhasha nahi samajhti hain. Uske liye paisa hi sab kuch hain...aur vo paise ke liye kuch bhi kar sakti hain. Mujhe sach mein lagta hain matarani ki Lakshmi ko sirf Rishi hi apne pyaar se badal sakta hain...aur yahi vo karan hain jiski wajah se maine yeh property papers ka will aise rakha hain.....lekin aaj Lakshmi ka yeh aisa roop dekh kar mujhe darr lag raha hain matarani. Aap Rishi ko har buri bala se bachana....aur Lakshmi ke saazisho se bhi bachana....please matarani.
Manoj left.
To be continued.........

Guilty Love (Completed)Where stories live. Discover now