In Mumbai:
(Everyone went to sleep except akshara who went to terrace for fresh air to clear her mind).
( She was watching the stars thinking whether her parents were present there looking at her when suddenly she was engulfed by the fragrance of brownies)Akshara: kya yaar Krish Bhai aapko kahan se pata chalta hai ki mujhe brownies khane ki craving ho rahi hai.
Krish: (smiles) kyunki tu meri buami ki beti hai. Woh bhi na jab stress mein hoti thi toh brownies hi khaati thi. Ye le ab aur kha.
Akshara: thank you Bhai.
Krish: princess kiss baat ka stress hai tujhe? Kal nahin jaana hai kya? Cancel kar de?
Akshara: nahi bhai. Aisa nahi hai. Main janti huin maine khud ko bohot strong banaya hai unhe face karne ke liye itne saalon mein. Lekin mujhe bas
Krish: Abhir ki chinta hai na.
Akshara: haan bhai. Woh abhi chota hai. Main nahi chahti ki uska bachpan bhi waise hi gujre jaise Mera gujra tha. Jo dard bachpan mein maine Saha woh main abhir ko kabhi nahi sehne dungi.
Family problems ka bacchon pe kya asar padta hai, ye main bohot acche se janti huin bhai. Bass isiliye.Krish: (side hugging her) princess hum sab haina tere saath. Toh tu kyun tension le Rahi hai. Ab chal so jaate hai kal subah jaldi uthna hai na.
Vatsal: (while coming towards them) no bhai kal hum aapke saath nahi aa sakte.
Akshara: haan bhai. Ek bohot important client ke saath humari meeting hai 4 baje. Toh hume aane mein late ho jayega.
Hum shaam ki flight se directly aa jayenge. U don't worry.Krish: theek hai. Lekin agar itni important hai toh main bhi rukta huin na.
Vatsal: please bhai pagal mat bano. Kal bhabhi ke liye itna important din hai. Aur yahan sab handle karne ke liye hum hai na. Aap chill Maro aur aaram se jao.
Ruhaan: aur akshu abhir ko main apne saath le jaunga wahan. Don't worry he will be safe with me. Trust me okay. Koi bhi usse pareshan nahi kar payega.
Akshara: i know ruhaan. I trust you with abhir.
Krish: accha ab bohot baate ho gayi. Ab so jaate hai.
Morning
Meera: akshu tu aur vasu pohoch jaoge na time par.
Akshara: haan bhabhi aap bilkul bhi tension mat lo. You don't worry at all. Hum dono waqt par pohonch jaayenge.
Abhir: ab chale. MNARH.
(mujhe neend aa rahi hai)Ruhaan: haan champ. Flight mein soo Jana thodi der ke liye. Main utha dungi tujhe.
Akshara: abhir wahaan jaake kisi ko bhi pareshaan mat karna okay. Be a good boy. Mumma shaam Tak aa jaayengi okay.
( Kissing his cheeks)
I love you baby.Abhir: ( kissing her cheeks) i love you the most jaan. Aur main toh humesha hi good boy huin.
Akshara: haan haan. School se complaints toh meri aati hai na.
Ruhaan: ab chale warna flight miss ho jayegi.
(Krish and Meera hugged akshu)
Krish: agar uss deal mein koi bhi problem Hui then just call me okay.
Meera: come soon. Mujhe award lete waqt puri family saath chahiye.
Akshara: okay baba ab jao bhi.
Ruhaan: ( side hugging her) tu chahti hai ki main tere saath aau shaam ko?