chapter 25

1.8K 170 32
                                    

Akshara: (roared) enough miss manjiri. Bohot bol liya aapne aur bohot sunn liya maine. main kuch bol nahin rahi iska ye matlab nahi hain ki aap ke mann mein jo aaye woh bolti chali jaaye

Manjiri: chillao mat akshara. teri wajah se aaj humara parivaar iss halat mein hain. humne humare neil ko kho diya teri wajah se, mere abhi ne bhi apne dono bacche kho diye sirf teri wajah se. pichle 6 saal se akela hain mera beta. 

Akshara: toh woh akela bhi apne khud ke wajah se hain.

Manjiri: ( shouted) akshara himmat kaise Hui tumhari mere bete ke baare mein kuch bhi bolne ki.
Khud toh usse bhulkar aage bad gayi. Yahan tak ki khudki aulad Tak paida kar li. 6 saal se mera beta akela hain sirf teri wajah se akshara. sirf itna hi nahin aarohi bhi tumhari wajah se akeli hain aur toh aur ruhi ko apne pita ka pyaar bhi tumhare wajah se nahin mila. 

( akshara blankly looked at the women she once gave her mumma's place to her. Vatsal noticed the conversation was going wrong way so he messaged someone to come to goenka villa) 

Akshara: ( in mind) i am sorry mumma. maine aapki jagah inhe di bhi kaise. ye meri maa kabhi ho hi nahin sakti.

Manjiri: ab nahin hain na tere pass kuch bhi bolne ke liye. teri wajah se meri abhi ne apne bacche khoye hain akshara

Akshara: ( painfully) woh mere bhi bacche the.  maine unhe apne pet mein rakha tha. mera bhi unse utna hi rishta tha ye kaise bhool sakti hain aap. woh abhimanyu ke akele bacche nahin the.

Maine bhi mere bacchon ko khoya tha. Lekin aap sab ko mera dard kabhi samajh hi nahin aaya. Toh tab kaise aata.
Neil se mera bhi rishta tha. Woh Mera bhi kuch lagta tha. Mera devar, Mera chota bhai tha woh.

Manjiri: (shouting) neil ka naam bhi mat Lena apne muh se. Teri wajah se uski Jaan gayi. Na tu concert jaati aur na hi

Akshara: (shouting back) maine kuch nahi kiya. Kuch bhi nahi. Hum hospital Gaye the na ki koi concert. Mere pet mein dard ho raha tha isiliye gaye the hum. Maine abhimanyu ko tabbhi calls kiye the lekin usne phone nahin uthaya.

( Turning towards shefali she spoke in tired yet pleading voice)

Shefali bhabhi aapne sach kyun nahin bataya ye toh main nahin janti. Lekin aapke sach na batane ki wajah se bohot kuch barbaad ho gaya.

Parth: please tum shefali ko beech mein kyun laa Rahi ho akshara. Tumhari wajah se humne humara neil khoya hai.

Shefali: parth please tum toh kuch bolo hi mat. Akshara I'm really sorry. Maine sabko batane ki koshish ki thi ki tum hospital gayi ho kyunki tumhe cramps feel ho rahe the. Lekin Chachi ki tabiyat itni jyada kharab thi ki main

Akshara: kitna aasan hota hai na sorry keh Dena bhabhi. Aapka ek sorry kya sab kuch theek kar sakta hai? Nahin na. Humesha aab sab ne har cheez ke liye mujhpar blame kiya.

Bachpan mein bhi aaru ne har ilzaam mujhpar lagaya tabhi aap sab ne kuch nahi kiya. Aur toh aur mujhe hi mere Ghar se dur bhej diya.

Manish: beta hume laga ki tu badi hai tu samajh jaayegi. Aur uss waqt agar tu yahan rehti toh tujhe bhi takleef hoti.

Akshara: main badi thi. Seriously bade papa. Maine bhi mere mumma papa ko khoya tha woh bhi 2 baar. Aur main aaru se sirf 2 saal badi thi. Aur aapne ek 12 saal ki bacchi ko akele bhej diya. Kyun mujhe hi kyun bheja aapne.

( Wiping her tears harshly) aaru ko bhi toh bhej sakte the na aap. Lekin nahin aapne nahin bheja. Phir jab Mann huya toh wapas bulaya aur phirse kairav bhaiya ne jaane ke liye bol diya.

( Krish, Krishna, ruhaan, vatsal glared angryily at kairav but he just kept his head down in shame. )

Arre befakoof thi main ki Aarohi ke liye apni harr cheez sacrifice kar di. Galat fehmi Aarohi ki thi ki Abhimanyu ne uske liye rishta laya lekin apna pyaar sacrifice kise karna pada mujhe.
Aag se Abhimanyu ko maine bachaya tha lekin uska bhi credit kisne liya Aarohi ne.

Aur aap kya keh rahi thi manjiri aunty ki Maine neil ki jaan li. Maine usse mana Kiya tha ki hum police ka wait karte hai. Lekin woh bahar Gaya kyunki usne kahan ki hum khud parents banne waale hai aur kisi bhi bacche ko aise nahin chod sakte.
Aur achanak se neil aapka beta ho gaya. Jab aapne uska sach chupaya tab nahin laga aapko ki aapke bete ko kitne takleef huyi hogi. Apne Ghar mein rehkar bhi usse woh darja aapne kabhi nahin milne diya. Pita ke hote huye bhi aapne usse unke pyaar se vanchit kiya.

Aur toh aur woh DNA tests ke reports Aarohi ne neil ko diye the lekin aap sab ne ghussa kiss par nikala akshu par. Kyunki woh toh hai hi sabki punching bag nahi.

( All looked towards Aarohi stunned )

Abhimanyu ki toh aadat hai har cheez main bas ghussa karna. Aur uss din usne meri ek nahin Sunni. Di....vorce papers phek diye mujh par. Usne bhi mujhpar hi blame lagaya. Uske baad bhi jab Maine usse call Kiya toh usne nahin uthaya. Usne ye kahan mujhse ki usse na mujhse matlab Hain aur na hi bacche se.
MAIN JIYU YA MARU USSE KOI FARAK NAHIN PADTA.  Yaad hai ya phir bhul gaye.

Manjiri: jhoot mat bolo akshara.

Akshara: (shouting) main koi jhoot nahin bol rahi huin. Maine kayi baar usse calls kiye. Tadap rahi thi main usse baat karne ke liye usse batane ke kiye ki humara baby Jin...
( And suddenly she realised what was she going to speak. She stopped her )

Main tumse aur aap sab se ek sawaal puchna chahti huin.
Agar uss din neil ka jagah main marr gayi hoti toh, kya usse bhi divorce de dete tum abhimanyu. Usse bhi Ghar se dhakke marke nikal dete ya phir usse bhi saare rishte khatam kar dete.

( She looked around to see all silent. Abhimanyu was just numb)

( Chuckling) mujhe Mera jawab mil gaya. Nahin karte aap mein koi aisa kuch bhi. Kyunki woh toh aapka apna tha na aur main toh kisi aur ki beti Huin. Aap sab ne mujhe kabhi apna mana hi nahi.

Arre aap sab toh phir bhi theek hai. Mere apne Ghar waale hi mujhe baat baat par ghar se jaane ko keh dete hai. Aap sab ko yaad bhi tha inn 6 saalon mein ki akshara naam ki aapki koi poti hai bhi. Nahin na kyunki Aarohi ne apna sab khoya woh dukhi thi.

Toh Mera kya. Kya maine kuch bhi nahi khoya tha. Mujhe bhi mere parivaar ke care ki jarurat thi. Lekin aap sabne humesha mujhe dur bhej diya.

Aur kairav bhaiya. Naraz Haina mujhse ki main aapke pass kyun nahi aayi. Arre kyun aati aapke pass. Kya wajah di hai aapne kabhi ki main aap ke saath kuch bhi share kar saku aap mein confide ho saku. Aapka kya bharosa keh dete wapas ki Aarohi nahin chahti tu yahan rahe toh tu chali ja. Issiliye iss baar main khud hi chali gayi.

Taaki aap mein se koi bhi dobara ye na kahe ki maine aapki Aarohi ki khushiyaan cheen li.

Akshara goenka toh ussi din marr chuki thi jiss din iss aadmi ne mujhpar sirat maa ko maarna ka ilzaam lagaya tha.

Thudd

( After hearing what akshara said, Krish angryily went and slapped abhimanyu so tightly that he fell on ground)

Picking him up by his collar he again punched him

Krish: how dare you abhimanyu birla. How dare you say this.

Meera: Krish chodiye shaant ho jaayiye.

Manjiri: abhi beta

Krish: jitni takleef meri behen ko huyi hai na aab utni hi takleef main tujhe aur tere iss parivaar ko dunga ye KRISH NAKSH SINGHANIA ka waada hai.

( He left his collar with jerk)

Akshara: aap sabne na tab mujhe samjha aur na hi abb samjhte hai.

( She gave last look to everyone and left from there. All were standing silently. They were too stunned to speak anything. Kairav was the worse. Goenkas realised that they failed to protect their kaira's princess. )

( Abhimanyu suddenly jerked back from his thoughts and ran behind akshara)

Xxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxx

Sooo finally wrote this chapter. Took too long to write without getting any motivation from the show.

Hope you guys liked. Stay tuned for more.

Lots of love,
Author🤍


Abhira ka Abhir Where stories live. Discover now