Note : Hey 🐰dear silent reader's please do vote and comment's it's give me motivation 🤍. Thank you and now enjoy.
_________________________________________Sidharth : Eid Mubarak (with wide smile).
Sidharth is ready in this black kurta pajama sent by his in-laws.(So basically in laws give eidi to their son in law or daughter in law is totally depend on their choice but after nikah this is sidharth first eid so his in laws send give like dress, dry fruits, fruits and other gifts).
Bi jaan : eid mubarak, mashallah kitne khubsurat lag rahe hai sidharth aap.
Arsal : bi jaan usko khudsurat nhi handsome kehte hai ladko ko handsome kehte hai. Wese mein kesa lag raha hu.
Humza : (slap on his head) tumhe bada pata hai, eid mubarak bi jaan.
Ayan : (shout) eid mubarak sab ko.
Bi jaan : are mere baccho ko kisi ki nazar na lage. Sab kitne ache lag rahe hai aao jara jappi pao.
All boys hug her. And take her blessings.
Hania : bi jaan sirf ye ache lag rahe hai?
Bi jaan : are meri jaan sab ache lag rahe aaj aap to sabse zayda khubsurat lag rahi hai.
Jiya/Ayeza : aur hum.
Bi jaan : aao tum saare bhi (hug her all grandchild's)
Sidharth : wese aap bhi qaza dha rahi hai kitne ko ghayal karne ka irada hai.(tease her).
Bi jaan : chup besharm (shy smile).
Hania : sacchi bi jaan aaj aap bohot achi lag rahi hai.
Elder come and wish them.
Sf : chalo namaz ke liye chale bhai.
Sidharth : hanji dad chaliye.
Bi jaan : ashraf aur dj ko bhi lete jaana.
Nadeem : bi jaan wo to eid gah me hi milte hai sidha.
Bi jaan : acha chalo jaldi jaao.
After some time everyone come from eid gah and meet their friends and relatives.Sidharth friends also come. Everyone wish eachother and sit in hall.
Kushal : aunty jaldi se apni wo special kachori khila de aap.
Vikas : ha mujhe sheer khurma khana hai (lick his lips).
Jay : mujhe sharbat pina hai.
Ravi : mein to sab kuch khaunga.
Everyone laugh while their wifes and girlfriends give them deadly glares.
Sidharth : bhukkado kab se nhi khaya.
Ravi : tu chup kar aur hume enjoy karne de.
Sm : ha sidharth chup kar aur khane de unhe bacche kabhi kabhi to aate hai.