Aadhi raat ka waqt, aur apartment ke chaaroun konoun mein wohi mamool ke muttabiq khamoshi.
Phone binna awaaz k vibrate horaha tha aur musalsal uspar eik hee naam jal raha tha. Phone band karne ki sehlayat ko usne dhoondne ki betahasha koshish ki thi, lekin apnay aapko woh kamray mein dhallay andheray mein ahista ahista khota jaaraha tha. Phone bajta gaya aur phir bilakhir band hogaya.
Eik makhsoos shaks ke khayal se apnay aap ko door rakhne ki koshish mein woh apnay aap ko kis tarah sambhal raha tha, yeh ussay khud bhi nahi pata tha. Uskay paas bas andhera phelta jaaraha tha. Kamray mein bhi, aur dil o dimagh mein bhi.
Usne phone ki taraf nazar zaroor daali thi, lekin neend ki kammi se aankhoun mein ubharti nammi ki wajah se kuch khaas nazar nahi aaya. Najaanay phone karne walay ko kiya betaabi thi usse baat karne ki keh peechlay aath (8) minute mein usse koi tera (13) missed calls aachuki thein. Eik hee naam.
Dar haqeeqat yeh thi k woh khud abhi kisi se baat karne k mood mein nahi tha. Abhi kiya, woh pichlay kayi dinoun se kisi se baat karne ke mood mein nahi tha. Kitni missed calls, kitne unread chats. Khoya khoya sa, woh kaafi uljha hua tha.
Shayad apni hee feelings ko samjhtay waqt log aesay hee hojatay hain. Usse iss khayal se chirr hui thi. Usse kab se apni feelings ki parwah honay lagi thi. Shayad yeh uska hee karam tha jisse woh na chahtay hoye bhi chahnay laga tha. Kiya uska dil waqqai itna khud garz tha?
Chhat ko taktay taktay itna waqt guzar gaya ke sooraj tullo hogaya. Doosra din shuru hoye bhi waqt hogaya tha aur ab taqreeban dupehar ka waqt sarr par tha.
Bistar par bejaan parray rehne se woh ukhta gaya tha. Tabhi apnay dimagh ko masroof rakhne k liye woh boxing gloves pehn kar apnay kamray mein latkay punching bag ko pichlay daerh (1.5) ghantay se maar raha tha. Apna ghussa nikaal raha tha. Woh ghussa, jo kisi par kiya aata, usse apnay aap par aaraha tha.
Idiot.
Duffer.
Screw up.
Darpok.
Nalaiq.
Worthless.Aese tehqeer alfaaz uskay dimagh mein goonj rahay thay. Aankhoun k saamne laal chamak raha tha. Gehra surkh. Ghussa itna tha k bas. Badan thakan se chakna choor hogaya tha, asaab chilarahay thay aur kapray paseenay se bheeg chukay tha. Woh nahi ruka, na hee woh alfaaz.
Jab azla jawab dene lagaye toh woh rukka, majboori ke baiz. Haath uthnay se inkaar karrahay thay aur pair ussay mazeed ussay uthaye rakhnay se. Usne apnay daant se kheench kar apnay gloves ki dorriyan kholein aur gloves baari baari utaarkay woh larkharatay hoye washroom ki taraf barha.
YOU ARE READING
Hasrat
RomanceHasrat (حسرت) transl. Wish, Desire "𝘒𝘪𝘺𝘢 𝘮𝘦𝘳𝘪 𝘧𝘦𝘦𝘭𝘪𝘯𝘨𝘴 𝘵𝘶𝘮𝘩𝘢𝘳𝘢𝘺 𝘭𝘪𝘺𝘦 𝘬𝘰𝘪 𝘮𝘢𝘦𝘦𝘯𝘢𝘺 𝘯𝘢𝘩𝘪 𝘳𝘢𝘬𝘩𝘵𝘪?" "𝘕𝘢𝘩𝘪." "𝘑𝘩𝘰𝘰𝘵." Zaviyaar Malik, pachees saal, ka itne saal baad Islamabad ka chakkar lagana sir...