Khirki par dallay drapes se guzarti sooraj ki narm kirnoun ke baiz uski neend tooti thi. Usne phone uthaakar time dekha tha. Subha ke 10 bajnay hee walay thay. Wesay toh woh subha saweray uthnay waloun mein se thi, lekin chuttioun mein kabhi kabhi beparwahi ho hee jaya karti thi.
Usne apnay gehre bhooray, kandhay se thora hee neechay, girtay curls ko eik catcher ki madad se eik simtaa, aur brush kartay hee woh neechay chal parri.
Neechay dining table par ronaq si thi, jo keh ussay seeriyaan utartay mehsoos horahi thi. Woh dining room mein ghussi hee thi ke ronaq dekh kar uskay chehray ki muskurahat gehri hui thi.
Karachi mein toh aksarr breakfast ke time sirf woh aur uskay mama baba hua kartay thay. Unki thi hee itni choti si family. Kabhi kabhar Shams aur Raima unko join karletay thay ya apnay haan invite karletay thay lekin uss ke illawa unkay haan kuch khaas nahi hua karta tha.
Usskay barr aks yahan subha subha bhi itni ronaq thi. Uskay dono cousins kisi behas mein uljhay hoye thay, head of the table par bethay Shehryar mamoo dono ko khamosh karanay ki nakaam koshish mein lagaye hoye thay aur Anaya khala muskurahat chupaatay hoye sab ko naashta serve karne mein lagi thein.
Woh hamesha se eik barri family mein rehna chahti thi. Barri se muraad uskay liye darmiyaani, 3 logoun se zayada, thi. Tabhi Inara ke dil mein kuch hua. Khushi ubhri, aur apnaiyat mehsoos hui.
Woh apni makhsoos gehri muskurahat ke saath sab ko salaam karti aagaye barhi. Anaya ne ussay foran gallay lagaya tha aur Shehryar mamoo ne uskay sarr par pyar bharray andaaz mein haath pheira tha. Woh foran aagaye barhi, aur Shanzay ke barabar khaali kursi par beth gayi.
Usne juice ka jug uthaya hee tha ke uski nazar seerioun ki taraf parri thi, aur uski gehri muskurahat pheeki parr gayi thi.
Apnay baaloun ko set karta, kaali jeans aur kaali hoodie mein malboos woh seerioun se neechay utarr raha tha. Usne madham awaaz mein sab ko Salam kiya tha aur sab ne purjosh andaaz mein usko jawab diya tha. Zamrud harri aankhein Inara ki shehad si bhoori aankhoun se takrayein thein aur usskay chehray par chirrchirahat dekhkar woh besaaktha muskuraya. Woh aagaye barha aur Ahad ke barabar wali kursi par jaa betha, jo keh Inara ki kursi ke bilkul saamne thi.
"Juice?" Inara ne apni aankhein dusri jaanib kartay sab se poocha tha. Nazarein jaan boojh kar Zaviyaar ki taraf nahi pherrein thein.
Sab ne naffi mein jawaab diya, siwaye Zaviyaar ke jisne apna glass uthaakar aagaye barhaya tha. "Yes, please."
Inara ne moun banaya aur jug uskay saamne rakhdiya. "Serve yourself."
Zaviyaar ki muskurahat gehri hui aur usne jug uthaatay hoye apnay glass mein juice daala. Usne cheers karne walay andaaz mein Inara ki taraf ishaara kiya, jis ne ussi waqt apna glass eik ghount lene ke liye uthaya tha, aur eik ghount liya.
Inara ne aankhein ghoomayein thein, aur apna glass rakhtay hoye usse zubaan chirrayi thi. Ajeeb aadmi hai.
"Aur murshid, kiya haal hain? Iss baar kaafi dinoun baad chakkar lagaya tumne." Shehryar ne Zaviyaar ki tawajjah Inara se hatakar apni taraf li thi.
YOU ARE READING
Hasrat
RomanceHasrat (حسرت) transl. Wish, Desire "𝘒𝘪𝘺𝘢 𝘮𝘦𝘳𝘪 𝘧𝘦𝘦𝘭𝘪𝘯𝘨𝘴 𝘵𝘶𝘮𝘩𝘢𝘳𝘢𝘺 𝘭𝘪𝘺𝘦 𝘬𝘰𝘪 𝘮𝘢𝘦𝘦𝘯𝘢𝘺 𝘯𝘢𝘩𝘪 𝘳𝘢𝘬𝘩𝘵𝘪?" "𝘕𝘢𝘩𝘪." "𝘑𝘩𝘰𝘰𝘵." Zaviyaar Malik, pachees saal, ka itne saal baad Islamabad ka chakkar lagana sir...