06.

111 4 0
                                    

"Sameer

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

"Sameer."

Apna naam sunnay par Sameer chaunk kar apnay saakht mein se bahar aaya aur murrkay dekha. Chashmoun ke peechay uski aankhein zamrud si harri aankhoun se takrayein thein. Zaviyaar foran aagaye barh kar Sameer ke saamne aur table ki dosri taraf maujood chair par bethgaya.

Woh dono lunch hour ke douraan eik restaurant mein milay thay. Rush peak par tha, aur unkay ird gird tamaam tables par bethay log business aur apnay apnay offices ki baatein karrahay thay jisse woh dono mutmayeen thay keh unkay beech honay wali baatoun par kisi ke kaan nahi tikkay hosaktay. Aur agar koi lagakar betha bhi hoga toh iss shorr ke baiz ussay kuch khaas sunayi nahi dega.

"Thank you tum itne short notice par aye. Mujhay aj hee pata chala ke Alam Malik kisi kaam se shehr se bahar gaye hain." Zaviyaar ne baat ka aghaaz kiya.

"Unka achanak hee plan banna tha. Yeh lein jo aapnay mangwaya tha." Sameer ne bhoori rang ki file uski taraf barhayi.

"Original?" Zaviyaar ne file khol kar tafteeshi andaaz mein andar maujood documents ko dekha.

"Mujhay Sir par ajkal shaq horaha hai. Woh baar baar lawyers ko consult karne ke liye phone karrahay hain, aur harr baar koi alag loophole talaash karne ki koshish karrahay hain. Mujhay lagraha hai woh documents mein kuch change karwanay ki zaroor koshish kareinge."

"Haan, mujhay Usama Shah, hamaray lawyer, ne bataya. Mene ussay kaha tha ke mujhsay raabta karay jab bhi Alam Malik ussay contact karne ki koshish karein."

"Unki himmat aur isteqlaal ne mujhay hairat kardiya hai, Zaviyaar. Sir kabhi kisi baat ke liye itni mehnat nahi kartay. Agar koi cheez unkay muttabiq nahi jaarahi hoti toh woh rukawat ko hatana asaan samjhte hain."

"Paisa hai hee aesi cheez, Sameer. Achay achoun ko achay se burra aur burray se acha banadeti hai. Alam Malik bhi kuch alag nahi. Woh jaantay hain ke agar woh kuch ghalat kareinge toh har eik rupay se haath dho betheinge. After all, woh ghar jis ke woh malik bannay bethay hain aur yeh jaidaad unki thori hai."

Sameer ki aankhein hairat mein phattein. "Unki nahi hai?"

Zaviyaar ke chehray par eik tanziya aur karwahat bharri muskurahat ubhri. "Dada abbu ko kabhi Alam Malik par yaqeen hee nahi tha. Alam Malik ko lagta tha ke waris paida karne se Dada Abbu khush hokar jaidaad unkay naam kardeinge. Jab wakeel ko bulaya gaya, toh Dada abbu ne alag hee chaal challi. Property ka hissa apnay betay ko dene ke bijaye unhounne apni bahu ko dena behtar samjha."

"Bahu? Yaani ke—,"

"Meri ammi ko. Arfeen Khawar ko."

"Lekin unki toh—I mean," Sameer ne madham awaaz mein bola magar phir foran hee chup hogaya.

Zaviyaar ki aankhoun mein maujood chamak ghayab hui, aur foran hee eik ajeeb sa andhera chaya. Khaufnaak, dard se bharra andhera. Aankhoun ke saamne eik manzar kisi film roll ki tarah chamka.

HasratWhere stories live. Discover now