02.

53 4 19
                                    

flashbacks in bold italic

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

flashbacks in bold italic

Harra.

Uss ki nazaroun k saamne sab harra khatakraha tha. Shayad takraanay ke baiz uskay dimagh jagah se hilgaya tha.

Uski nazarein pehlay kamray k paar banni harri deewar pe khatki, phir eik narm harri shirt jiska acha khaasa hissa uski muthi mein zabt tha. Ussne foran se muthi kholi aur kapray ko chorra.

Hichkichatay hoye usne apni aankhein bilakhir apnay saviour ki aankhoun se milanay k liye uthayein aur woh chaunk gayi thi. Zamrud si harri aankhein. Jaani pehchaani si. Behadd gehri, chamakti aur mas-hoor kun.

Aesi aankhoun ka sirf eik hee maalik tha. Zaviyaar Malik. Jiske naam se hee usse chirr thi.

"Well well well, if it isn't the princess herself." Zaviyaar ne shararat bharri muskurahat k saath kaha tha. "Bohat acha personal welcome kiya hai apnay mera, hamesha ki tarah."

"Ahad ka wohi manhoos dost aagaya!" 14 saala Inara ne paani ka pipe uskay saamne se hatatay hoye chilaya tha. Sarr se paer tak bheega hua 16 saala Zaviyaar usse ghussay mein badalti hairat bharri aankhoun se ghoor raha tha. Inara ne foran pipe girraya, aur andar bhaagi.

"Iss Devil ko kisne bulaya yaar!" 16 saala Inara ne chirrne walay andaaz mein ghar ka darwaza 18 saala Zaviyaar ke moun par band kartay hoye zorr se chilatay poocha. Zaviyaar jisne hi bolne ke liye moun khola hee tha, wesay ka wesay shock mein kharra darwazay ko takta raha. Yeh kiya hua?

"Bannta bhi hai. Tum jaisoun ka isteqbaal khasoosi hee hona chahiye." Inara ne ussay tanz maara tha aur phir aankhein pherrein thein. "Ab agar tumhara hero complex satisfy hogaya ho toh mujhay chorroge?"

14 saala Inara khamoshi se garden mein tehl rahi thi. Shaam ka waqt tha aur ghar mein koi tha nahi. Kaan mein headphones lagaye thay tabhi ussay mehsoos hee nahi hua ke koi uskay peechay aa kharra hua tha. Woh murri hee thi ke uspar paani se bharri eik baalti ulat di gayi thi. Woh shock se nikal hee nahi saki thi ke uski nazarein saamne kharray shaks par parrein. 16 saala Zaviyaar chehray par fatehaana muskurahat aur aankhoun mein shararat liye ussay dekh raha tha.

"Revenge is best served cold, Princess."

"Gladly." Zaviyaar ne itna sa hee kaha tha aur aglay hee lamhay usne apna haath Inara ki qamar se hataya tha, jiske baiz woh zameen par zorr se jaa bethi thi.

"Manhoos!" Inara foran hee uth kharri hui jaisay hee Zaviyaar bhi seedha kharra hua. Uskay chehray par eik fatehana muskurahat si thi. Inara se woh yeh lafz apnay liye apni zindagi mein itni baar sunn chuka tha ke ab usse iss lafz se apnaiyat si mehsoos hoti thi.

Apnay lambay kadd aur Shanzay ki heels ke pehnnay ke bawajood woh Zaviyaar k aankhoun k level tak hee pohanch paayi thi.

"Look who finally decided to show up!" Unkay peechay se kisi ne tanziya andaaz mein kaha tha. Dono awaaz ki taraf murray, aur wahan seenay par haath bandhay Shanzay kharri thi. "Zaviyaar Malik."

HasratWhere stories live. Discover now