Baalveer's tashn

127 11 4
                                    

Baalveer ne chuppi toodi

Baalveer: mujhe yaha kyun laya gaya hai

Jk: aau baith kr baat krte hai

Jk chair pr baithte huwe kehte hai... unke bich ek table tha.. jo abhi khaali tha... baalveer bhi apne pr aagaya... woh chair pr baithta hai woh bhi attitude se... Jalraaj apna gussa daba kr muskuraye

Jalraaj: mere saamne aaj tak kisine ungli tak nhi uthayi aur tumne apna pair utha diya

Baalveer feki hasi muskuraya: kaash kisine ye kaam pehle hi kr diya hota... pr koi nhi mai huna ... ye kaam bhi mai karunga...

Jalraaj gussa dheere dheere badh raha tha...

Jalraaj: tumhe nhi pata mai kon hu aur kya kya krsakta hu... mai tumhe 2 min me khatam kr sakta hu

Baalveer sarcastically: halwa hai kya... 2 min me baalveer ko maarna koi halwa nhi hai...

Jalraaj: bin shaktiyon ke tum kuch nhi kr sakte

Baalveer sarcastically: ye aapki galat fehmi hai... mai bin shaktiyon ke bhi bahut kuch kr sakta hu... maine khudko itna tou kaabil bana hi diya hai

Jalraaj smile sarcastically: har sawaal ka jawab itne ache tareeke se dene ki kabiliyat tumhare maa me bhi hai... lagta hai ussine ne ye sab sikha kr bheja hai

Baalveer get shock: maa

Jalraaj: kya huwa ab kaha gayab hogayi hasi

Baalveer speak in angry: ham hamari baat kr rahe hai tou maa ko bichme mat laayiye

Jalraaj table ke nichese ek wine ki bottle nikalte hai woh bhi shinkai ki sharab jisse baalveer ko kya kisiko bhi nasha hu sakta hai...Jalraaj jhoti muskaan ke saath ek glass me drink Bharte hai aur usse aaram se pite hai..

Baalveer: aap sharab ko haath bhi kaise laga sakte hai.. aap maharaj hai...

Jalraaj: mujhe pata hai... pr zara nazar ghumau tumhe hamare ilawa aur koi bhi dikh raha hai... nhi na... tou

Baalveer: pr aap

Bv ko kuch samjh hi nhi aaraha tha wo kya kare kaise Jawab de... kaise sawaal kare... usne uss bottle ko utha kr side kr diya

Baalveer: mujhe aapse hosh wa aawaaz me Jawab chahiye

Jalraaj get relax and speak: ham koi Jawab nhi dene wale ... ham bas apni baat rakhenge aur tumhe hamari baat manni hi hongi

Baalveer: aur agr na maanu tou

Jalraaj smile: tum jaante hu hamari patni hamse dur kyun rehti hai... hamare zidd aur gusse ki wajah se aur tum hame ghamand dikha rahe hu

Baalveer: aap hai kon mujhe yaha kyun laya gaya hai (usne gusse me pucha)

Jalraaj: woh isliye kyunki ham tumhara vivaah karana chahte hai

Baalveer ye baat jaanta tha isliye usne pucha: kyun... mujhe vivaah krne ka koi shauk nhi hai... aur aap iskeliye mujhpr zor nhi de sakte

Jalraaj: mai kya kya kr sakta hu iska tumhe andaza bhi nhi hai... vivaah tou tumhe krna hi honga woh bhi hamari pasand ki huwi ladki se

Baalveer: mai nhi karunga... aur aapki pasand ki huwi ladki se tou kabhi nhi

Jalraaj: ab koi faida nhi hai... vivaah hu chuka hai... bas dubara krna hai...

Baalveer: acha mazaak hai mai aur vivaah krne ke liye haan kahunga kabhi nhi

Jalraaj: hame mazaak krne ka koi shauk nhi hai...

Jalraaj use magic ek frame open hoti hai jisme Tara aur baalveer ke vivaah ki saari rasme hu rahi thi jisme dono bhi khush dikhay nhi de Rahe the, Baalveer khada hogaya aur uss frame ki aur badha...usme Tara bahut hi khubsurat lag rahi thi... mgr khush nhi thi... uske aankhon me aansoo the mgr uss aansoo ke bond bhi kisi moti ki tarah chamak rahe the... baalveer wahi tou dekhna chata tha usse shak tha maa beti pr mgr ye dekh usse yakeen hogaya... Baalveer ka chehra frame ki taraf tha... pr baalveer ki nazar Tara se nhi hat paa rahi thi... Jalraaj khade hogaye aur uski taraf badhe...

Jalraaj: ab huwa yakeen

Baalveer tabhi hosh me aaya

Baalveer in mind: ye mai kya kr raha tha... nhi baalveer tu uski khubsurati pr bahek nhi sakta... tu baalveer hai tujhe ye ladki kamzor nhi kr sakti...

Jalraaj: ham kuch puch raha hu

Baalveer : ye aapne kyun karwaya... kya zarurat thi

Jalraaj : uss din se kuch din pehle tumne apni hadd paar ki thi... baalveer hone ka galat faida Uthaya tha yaad hai...

Baalveer: maine aaj tak kabhi apne naam ka galat istemaal nhi kiya hai

Jalraaj jhooti hasi muskuraye

Jalraaj: uss din tumhe 22 saal pure huwe the, aur tumhe tou pata hi honga tumhare har naye saal me tumhe nayi shaktiyaan milti hai..

Baalveer speak in frustration

Baalveer: ye sab mujhe pata hai... aap ye kyun bata rahe hai

Jalraaj: kyunki tumhare saare sawaalu ke jawab yaha se hu kr hi guzarte hai... jo tumhe pata hona chahiye

Baalveer look at him in worried.  But he is with normal expression.

Jalraaj: jis din tumhara janam din tha tab tum kaha the

Baalveer think for sometime: shayad rudra lok me... waha ke raja ko meri zarurat thi...

Jalraaj: jab tumhara janam din shuru huwa tab kya huwa

Bv: mera janam din tha isliye mujhe waha hi rukne ka intezaam krwaya gaya tha...

Jalraaj: thik hai tumhe itna tou yaad hai aage kya huwa ham tumhe dikhate hai... ye nazarya Tara bahurani ka hai... jisse hamne ek titli me bhi kaid kr rakha hai... ab sirf tum hi dekh sakte hu waha kya huwa...

Baalveer shock tha woh soch raha tha ke agr ye sach hai tou unhone bhi woh sab dekha honga... uske kaan tamatar ki tarah laal hu rahe the , woh apne forehead pr ungli ghumane laga... Jalraaj ne uske expression se unki soch ko bhaanp liya tha... woh muskura kr khade hogaye aur uski taraf badhte hai... baalveer apni nazre yaha waha ghuma raha tha...

Jalraaj ne uske shoulder pr haath rakhte huwe kaha: kya baat hai... kya soch rahe hu

Unke achanak aise rawayye se baalveer nervous huwa aur usne kaha: kk..kuch nhi...

Jalraaj ne haste huwe kaha: aapko kya lagta hai hamne woh sab dekha honga

Baalveer tou aur nervous huwa.. usne aage kadam badhaya jisse unka haath baalveer ke shoulder se hat gaya

Jalraaj ne haste huwe kaha: aapki jaankaari ke liye bata de ye raaz sirf aap hi dekh sakte hai... kyunki ye aapki niji zindagi hai ... aur aapne socha bhi kaise ham apne hi bete ke kamre me jhankenge... (unhone baithte huwe kaha, pr unhone beta kaha iss baat ka ehsaasdono ko bhi nhi tha)

Baalveer sharam se laal hogaya tha usne haklate huwe kaha: mujhe.. laga ... mera mtlb

Jalraaj: nhi bol paaunge chod du...

....(Kaisa laga chapter)...

Baalveer Aur Veeru Ka Rahasyeजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें