♡
Aai kaash ke koi Nishat ko samajh pata,
Aur uss se pehle uski zaat ko apnaata.Dildaar bhi ek kaum hai yaad rakhna,
Basskar unko aur bewkoof samajhna.Khuda ka diya hua dil kabhi tolta nahi,
Karke neki woh kisi se bolta nahi.Haa aas beshak hai usko teri aahat ki,
Dil jalakar umeed jagaye rakhi hai raahat ki.Magar bhoolna nahin ke woh Nishat hai,
Mitt te hue bhi likhna uski aukaat hai.Lavz chaahe uske hoton ke ho ya kalam ke,
Har kisi ke kaam aa hee jaate hai,
Har Zindagi ko Salaam de hee jaate hai.Hai chaahat aur mohabbat se lipta saugaat,
Joh dil se dil ko bhagayi, hai wahi ♡Dil E Nishat
Joh dil hee dil mein chaagayi, hai wahi ♡Dil E Nishat♪♫•*¨*•.❦.•*¨*•♫♪
आप पढ़ रहे हैं
Dil E Nishat : Ghazal 🎶 Geet 🎼 Sher O Shayari 🎵 (Hindi & Urdu)
Poesia❦ Ashiqui ka ek pal hee naseeb ho, dooorr tu sahi, teri yaadein kareeb ho ❦ ❦ In love, a moment's fate is all I plea, Distant though you may be, Your memories, forever close to me ❦ PRESENTING 'Dil E Nishat' the 'Heart of Joy' ❦ Ghazal (poems) Geet...