●5●

133 14 96
                                    

"Jis bebakee ke saath Meher mere har sawaal par sawaal uthati thi, ye baat kab mere dil ko chhu gayi mujhe pata hi nahi chala.",

smiles Naushad, remembering.

Sujal and Rajveer look towards each other and arch their respective brow.

"Socha usse takrana chhorh dunga. Usey aata dekh apna rasta badal loonga. Magar kambakht dil ko ye bhi manzoor na hua.",

smiles Naushad, cascading his eyes.

"Uski soch se meri soch ka takrana mujhe kab bhaane laga kya pata.",

says Naushad.

"Apni soch se badhkar uski soch ka khayal rakhna kab shuru kar diya, iss baat ka ilm bhi mujhe nahi hua.",

Naushad shakes his head in slow pace, smiling still.

"Jisey shuru se interns ke saamne ek strict look rakhne ki aadat thi, wo Naushad ab interns aur baki doctors ke saath aate-jaate hansi-mazak karne laga.",

Naushad laughs a little.

Rajveer and Sujal feel happy for Naushad.

"Dost bann gayi wo meri. Dost!",

smiles Naushad.

"Aur main uske saath-saath apne saare doctors aur interns ka dost bann gaya.",

he smiles further.

"Baki subke saath dosti karna phir bhi aasan tha magar Meher ke saath boss se dosti ka safar mushkil raha.",

says Naushad, then raising both of his brows, smiling, sighing, he continues,

"Pehli mulakat mein hi humari soch mein madbhed.",

Naushad shakes his head, smiling.

"Kabhi socha nahi tha tab ke ye ladki ek din meri raaton ki neend chura legi.",

blushes Naushad.

Sujal and Rajveer raise their respective brows, smiling wide.

"Agle hi din usse apne hospital mein mere room ke bahar baitha paaya, interview dene ke liye notes revise kar rahi thi.",

remembers Naushad, laughing a little.

"Mera guroor uske saamne tab tootne laga jab interview mein usne mujhe ye samjha diya ke ek doctor ko doctor hi rehna chahiye, judge bankar faisla sunane ka haq nahi hai usey. Khaskar tab jab humein kisi ki zindagi ki puri kahani na maloom ho.",

says Naushad, smiling.

"Lalkarti thi wo mujhe apni baaton se. Aur mujhpar uska junoon dheere-dheere sawaar hota ja raha tha."

"Ek din taye kiya ke pyar ka izhaar agar nahi kar pa raha to koi baat nahi magar kam se kam dost to bankar rahunga uska."

Laughing a little he adds,

"Waise bhi suna hai ke pyar ki shuruat dosti se hoti hai."

Rajveer and Sujal nod their respective heads smiling.

Taking a deep breath, he says,

"Bus tabse apni dosti nibha rahe hain hum unse.",

HONGEY JUDAA NAA HUMWhere stories live. Discover now