Kashish stares Sujal in utter shock.
"Magar... magar Piyush ne to kabhi...",
Kashish trails off, unable to find words to put her feelings in front of Sujal.
Sujal smiles sarcastically,
"Piyush ne kabhi nahi bataya na tumko ke main 'bhi' tumse pyar karta tha?",
he emphasizes on 'bhi'.
Kashish turns to look towards Sujal, speechless.
"Piyush aisa nahi tha Kashish. Wo humesha meri khushiyon ka dhyan rakhta tha. Magar baat jab tumhari aayi to maano wo Piyush kahin kho hi gaya jisey main jaanta tha.",
says Sujal, knitting his brows.
"Uski meethi-meethi baaton mein ghuley zeher ko main dheere-dheere pehchchanne laga.",
says Sujal, spitting venom through his each word.
"Uska wo dil jis mein apne iss dost ke liye sirf pyar aur apnapan tha; uss mein nafrat aur zeher ghulne lagi jabse usey tumse pyar hua.",
says Sujal.
"Tumhe yaad hai Kashish maine ek baar tumhe office mein kaha tha ke tum aajkal kuch zyada hi ghulne-milne lagi ho Piyush se?",
reminds Sujal.
Kashish's brows relax as she remembers.
"Tab shayad tum mera ishaara samjh nahi payi Kashish. Tumhe laga ke main bewajah possessive ho raha hoon. Jabki main bewajah kabhi kuch nahi kehta Kashish. Main chahta tha ke tum iss baat par ghaur karo ke Piyush kis tarah tumhare nazdeek aane ki koshish kar raha hai, ye jaante hue bhi ke main tumse pyar karta hoon aur tum mujhse!",
says Sujal, out of anger.
"Agar.... agar aisa tha to tumne mujhe khulkar kyun nahi bataya Sujal tab?",
complains Kashish.
Sujal turns to look at her in anger and shouts out of frustration,
"Kyunki main aisa hi hoon Kashish! Pehle bhi aisa hi tha aur ab bhi aisa hi hoon! Har baat main tumhe samjhaun...",
shaking his head, glaring her, he says,
"Ye meri fitrat nahi!"
Kashish's heart skips a beat hearing that.
"Agar main tumhare bina kuch kahey tumhari har baat samjh jaata hoon, to tum mere tumhe ishaare dene par bhi meri baat kyun nahi samjh paayi Kashish?",
asks Sujal, shouting.
Kashish's eyes well up, feeling guilty.
"Main jab-jab tumhe apni nazron ke saamne Piyush ke kareeb paata, mujhe tab-tab tumpar hairangi hoti.",
says Sujal, his each word uttered slowly.
"Mumma kehti theen meri aankhein mere dil ka haal bayan kar deti hain. Mujhe kuch bolne ki zaroorat nahi.",
he says, sadly, remembering Veena.
"Mumma ke baad agar kisiko khudse zyada chaaha hai maine to wo tum theen Kashish.",
YOU ARE READING
HONGEY JUDAA NAA HUM
ParanormaalAn amalgamation of characters of Kahiin to Hoga; Left Right Left; Reporters; Haq Se and Coldd Lassi Aur Chicken Masala. P.S. This is not based on the concept of identical twins or identical strangers. Kindly focus on characters and not on their look...