This part solely focuses on Kareena.
Mahila Police Thana
Only Kareena and Amar are present in the thana. Cheetosh have gone for traffic duty while Deewan ji is sent to do some investigation regarding a case. Karishma goes to Haseena's cabin to get a file signed when she sees Amareena talking to each other while laughing which makes her extremely jealous.Haseena: Sachmein Amar Vidrohi humhe aapka sense of humour bohot accha laga, accha hua humne aapse dosti kardi. Itne kam time mein aap humare acche dost ban gaye hai.
Amar: Dhanyawad Haseena ji mujhe bhi bohot khushi hui aap jaise sundar aur buddhiman aurat se dosti karke.
Karishma: Ama bhakk yeh ka hogaye hai Hasu ko, kaise has haske batyairahi hai Amar sir se. Hasi humri dost hoke iss Amar Vidrohi se kahe impress horahi hai. Accha hua sirf hum hai yaha, agar bhaiya yaha hote toh iss sasure Amar Vidrohi ka ram ram satya kardete. Waise humra bhi mann kar raha hai ki iss Amar Vidrohi ka rocket banake isko uda dene ka, dekho toh kaise humre Hasu se flirt kar raha hai. Iss sasure ko yeh nahi pata ki Hasu vivahit hai, bhabhi sirf aur sirf humre bhaiya ki hai. ( Thinks all this in mind while glaring at Amareena.)
Haseena: Amar Vidrohi kripya karke aap humhe Haseena ji na bulake kewal Haseena Malik bulaye woh hi uchit hoga.( In mind: Anubhav ke alawa hum aise kisi aur ko humhe Haseena ji bulane nahi desakte kyunki woh hakk sirf Anubhav ka hai. )
Amar: Oh sorry Haseena Malik main aapko dubara uss naam se nahi bulaunga jab tak aap na chahe tab tak.
Just then Haseena notices Karishma standing at the cabin door staring at them.
Haseena: Arey Karishma Singh aap waha kyun khadi hai andar aaye.
Karishma: Ji maddam sir.
Amar: Karishma ji aap kab aayi?
Karishma: Amar sir behtar hoga agar aap humko Karishma Singh hi bulaye Karishma ji ki tarah. ( In mind: Karishma ji sirf Hasu ke muh se accha lagta hai humko, Hasu ke alawa hum kisi aur ko Karishma ji nahi bulane desakte humhe. Saying this she remembers their initial days after joining mpt when Haseena sometimes used to address her as Karishma ji instead of Karishma Singh and how she used to like it.) Aur hum tab aaye te jab aap maddam sir ke saath has haske batyairahe te. ( Says the second sentence sarcastically which goes unnoticed by Amareena. )
Amar: Kya kar rahe te, mujhe aapke shabdh ka matalab samajh nahi aaya.
Haseena: Batyaine ka matlab hai baatein karna.
Amar: Oh accha. ( Pata nahi inn dono ko kya problem hai agar main inhe inke pure naam ki jagah ji kehke bulaye, khair dono dost ek jaise hai. ) Waise aap bohot acche se jaanti hai Karishma Singh ko, manna padega kaafi gehri dosti hai aapki.
Haseena: Woh toh hai, hum Karishma Singh ko picchle teen saalon se jaante hai, hum dono ke rishte ne bohot saare utaar chadaav dekhe hai jisne humari dosti ko aur bhi zyada gehra aur majboot banadiya. ( Says while admiring Karishma which makes her smile.)
YOU ARE READING
Maddam Sir OS Book
FanfictionThis book will contain one shots based on the episodes of maddam sir. Any suggestions for this book are most welcome.