MPT members get ready and come down for the function, they haven't met Savi till now.
Their look
Vinu and Santu comes there.
Karishma: Ama Santu tum toh ekdam kamaal lag rahi ho, aaj tumko aise pehli baar dekha hai.
Santu: Thank you maddam. Aap sab isse miliye, yeh hai mere dada. Vinu dada Cheete se toh aap mil hi chuke hai ab inse miliye, yeh hai mere seniors. Anubhav sir, Haseena maddam aur Karishma maddam.
Vinu: Namaskar.
Kareenav: Pranam.
Bajirao comes there.
Bajirao: Arey aap sab bohot acche lag rahe hai. Aap logo ko koi pareshani toh nahi hui na.
Haseena: Ji nahi.
Bajirao: Kuch bhi chahiye ho toh mereko bejijak kehna.
Santu: Bhaoji tai kuthe aahe?
Bajirao: Tu aajubajula kuthetari aahe.(calls out to her) Savi Savi kuthe aahe tu?
Savi comes from behind MPT members hence they are unable to see her face.
Savi: Kai zala Baji? Kaiko itna chila rahe te. Mereko kitna kaam hai.
Santu goes and hugs her, Savi is shocked seeing her.
Savi: Siya tu? Tunhe toh mereko bola tha ki tu sakharpuda mein nahi aap aayegi. Accha yeh sab chod, kaisi hai tu?
Santu: Main theek hoon, tum kaisi ho?
Savi: Ekdam mast.
Bajirao: Savi tum inse milo, yeh sab Siya ke seniors hai Lucknow mein aur uss drug peddler ke case keliye bhi yahich team aayi hai.
Savi turns towards them and greets them.
Savi: Namaskar.
MPT: Pranam.
Just then they see each other's faces. Kareenav are shocked seeing the same girl who they encountered in the market. Savi too is stunned recognising Kareenav.
Savi: Aap log?
Vinayak: Kai zala Savi, tu jaanti hai inhe?
Savi: Ha yeh log mereko kal bazaar mein mile te. Aise aakhein phad phadke dekh rahe te mereko jaise pata nahi konsa bhoot dekh liya ho.. Aur pata nahi kaiko Santu Santu ka jhaap kar rahe te.
Santu: Ab main samjhi, tai inhone pakka aapko Santu yaani ki main samajh liya hoga. Santu mera nickname hai.
Finally the confusion gets cleared.
Savi: Hello main Savi Rane Sia ki judwa badi behen.
Karishma: Aapse milke bahut prasanna hue hum sab. Sach kahe toh jab humne aapko kal uss ladke ko marte hue dekha toh humhe bahut achha laga.
Haseena: Savi ji waise aapse ek baat kahu, pata nahi kyun aapka naam suna suna sa lag raha hai.
Bajirao: Woh isliye Inspector Haseena kyunki yeh sirf SP Bajirao Rane ki biwi Savi Rane nahi balki IAS Savi Chavan bhi hai, Pune ki DM.
Anubhav: Arey ha aap toh wahi IAS officer hai na jisne undercover jaake itne bade black money ke racket ko expose kiya tha.
Savi: Ha woh mai hi thi.
Karishma: Accha Savi ji aapka naam Chavan kahe hai?
Savi: Shaadi se pehle mera naam Savi Virat Chavan tha isliye official name abhi bhi Chavan hi hai.
Anubhav: Aap Shaheed IPS officer DCP Virat Chavan ki beti hai?
Savi: Ji.
Haseena: Matlab Santu bhi unki hi beti hai. Lekin humhe ek baat samajh nahi aayi, Santu ka naam Sharma aur aapka Chavan kyun hai?
Santu: Maddam sir main bhi asal mein Chavan hi hoon. Mera naam Sia Chavan hai baadmein Santosh Sharma hogaya. Meri aai ne mujhe mamaji joh abhi mere papa hai unhe dediya kyunki unki koi beti nahi thi.
Savi: Chaliye sab abhi sakharpuda ki vidhi shuru hogi.
Everyone gathers in the hall where the ceremony will take place.
Savi: Aaj aap sab yaha aaye uske liye thank you. Aaj meri nanand ka sakharpuda hai aur issi khushi mein maine kuch kalakaaron ko bulaya hai gondhal keliye taaki humari swara aur uske hone wale pati ko aai bhavani ka aashirwad mile.
The artists start their dance.
Later the sakharpuda ceremony is completed.
Chapter completed.
Hope you'll like it.
Do vote and comment.
YOU ARE READING
Maddam Sir OS Book
FanfictionThis book will contain one shots based on the episodes of maddam sir. Any suggestions for this book are most welcome.