"waise hum doono ki baat adhuri reh gayi thi" Karishma says with a casual tone..
Haseena gives a confused look, & Karishma says with a low tone- woh mai bye kiu nahi bolti!
Haseena says with got it expression- oh, haan, yaad aaya!
Karishma asked with a low tone- tum bhool gayi thi!
Haseena says with soft tone- bhooli nahi thi, lekin kaam ki wajah se dhayn nahi raha!
Karishma says with an innocent tone- oh, I see!
Haseena asked with soft tone- aapne abhi tak baataya nahi, ke aisi kya baat hai, jise aap kisi ko bhi bye nahi bolti!
Karishma is surprised with a smile & says- itne jaldi train pakad li!
Haseena says with smile- pakadni padh rahi hai, agar nahi pakdi toh hum doono ko pakad lege log!
Karishma says with a soft smile- right, & she sighs..
Haseena stared at Karishma for a moment & asked- baat karne ke liye ready ho!
Karishma asked with surprise tone- mujhe aisa kiu feel ho raha hai, ke mai ek psychiatrist ke paas baithi hun!
Haseena smoothly smile & says- umm, mai mere batch ki akeli ladki thi orphanage mei, kisine bhi adopt nahi kiya mujhe, toh mere ghar hi orphanage ban gaya, aur mai badi hone ke naate, saare chote bacchon ki didi ban gayi, ek khud ke andar na humein ek sawal khaane lagta hai, jab koi humein adopt nahi karta hai, ke itni buri thi mai, ke mere khud ke maa baap ne mujhe orphanage mei bhej diya, ke ab mujhe koi adopt bhi nahi kar raha hai, aur yeh sawal sirf mere mann mei nahi, unn saare bacchon ke mann mei aata hai, jo adopt nahi hota hai, toh mai uss saare daur se gujar chuki thi, aur kuch aise bacche the, woh uss daur se gujar rahe the, toh maine mother se request ki aur ek psychiatrist ko assist karne lagi, aur tum bhi mujhe aise lagi, ke tum bahot kuch chupati ho, aapne hindi naa aane ki wajah ke piche, balki aisa hai, ke tumhe hindi bahot acchse aati hai, bas tum usse khud se adopt nahi karna chahti ho!
Karishma quickly irrupts with a soft tone- adopt ka meaning same hai!
Haseena says with a polite tone- two meaning hai, khud ke andar chiz ko basna aur other meaning is, homeless person ko family dena!
Karishma shook her head in an understanding way, & Haseena asked- toh ab tum baata sakti ho!
Karishma rests her back & says with a soft tone- baat choti si hai, lekin usska impact bada hua mujhpar, maa papa ka accident hone se pehle, unnko last bye bola tha, aur saath mei unnhone promise kiya tha, ke next time woh mujhe unnke saath lekar jaayege, woh last bye tha mera, aur tab se mere mann mei darr sa baith gaya hai, ke mai agar kisi ko bye boloungi toh uss insan ko phir se, & she stops in mid!
Haseena stare at Karishma & says- jaisa tum soch rahi ho, aisa kuch bhi nahi hoga, phir se, aur tumhare bye bolne se, woh hua bhi nahi hai, khud ko aise dosh dena, yeh acchi baat nahi hai, agar tumhare mom dad uss accident se bacch jate toh, woh bhi yahi bolte!
Karishma asked with a pouted tone- tum mere dadi ki carbon copy ho kya, waha singh villa se copy karke yaha par past kiya hai!
Haseena gives confused looked, & Karishma says- meri dadi bhi aisa kuch bolti hai..
Haseena says with a soft tone- but she is right as well..
Karishma shrugged off her shoulder, & Haseena said with a casual tone- tumhe pata hai, jab mujhe waise feel hota tha, toh mujhe kaisa lagta tha!
Karishma flicks her eyebrows & says- kaisa!
Haseena says with soft tone- jab bhi mere batch ke bacche adopt hote the, tab mujhe bas woh saare khayal toh aate the, lekin usske saath ek chiz mann mei aati thi, ke bas ek baar, mujhe uss insan se milna hai, jisne mujhe janam diya, aur usse jarur yeh baat puchni hai, ke kiu mujhe janam diya aur kis liye mujhe adoption ke liye diya, agar zimmedaari nahi leni toh jis waqt mere baare mei pata chala, uss waqt maar kiu nahi daala!
Karishma says with soft tone- shuuu! Aisa nahi bolte hai! shayad uss waqt unnki koi na koi aapni wajah rahi hogi, iss liye unnhone acche intension se tumhe adoption center mei diya hoga, ab kisi ko bhi tumhari acchai nahi dikha hogi, ussmei unnki koi galati nahi hai..
Haseena says with soft tone- toh yahi baat, tum kiu nahi sochti, ke jo kuch bhi hua, ussmei tumhari galati nahi thi, shayad tumhe woh zinda rehkar protect nahi kar paate, issliye bhagwan ne unnhe super power dene ke liye unnke paas rakh liya, because woh tumhe waise protect kare!
Karishma rested her back on a chair & thought for a moment & said- you are right, lekin mere mann mei agar darr baith hoga toh!
Haseena says with a soft smile- ek baar try toh karo, bye bolkar!
Karishma sighs with an upset layer- nahi hoga mujhse!
Haseena says with a soft tone- accha ek kaam karte hai, kal mai office jaaungi, toh tum mujhe bye bol dena!
Karishma shook her in negative way, & says- nahi, nahi, itni bhi badi mujhe mushkil haath mei nahi leni hai..
Haseena says with a polite tone- mushkil alag, aur tumhe risk bolna hai!
Karishma says with a smile- haan, wahi, & at the same time Haseena's cell rings..
Haseena quickly says- I need to pick up this call, Karishma only nodded yes..
Karishma gets up from the chair, & takes a seat on the couch, Haseena says on call- toh aaj ki kahani ka naam hai, the lonely princess..
Karishma smirked & held the cushion near her chest & started to hear with a smile..
Haseena made her call, & her eyes caught Karishma who was sleeping on the couch in a sitting position but her neck was lying inappropriately way, & Haseena says with whispering tone- yeh phir se aise soo gayi, kal bhi aur aaj bhi, lekin aaj jaise sooyi hai, waise rahi toh, pakka kal neck ko haath lagkar chalegi, & she goes near to Karishma, & try to correct her neck..
Karishma opens her eyes, & looks Haseena near to her, & says- kya hua!
Haseena quickly backed herself, & saying with a guilty tone- I am so sorry, mujhe tumhari nind kharab nahi karni thi, lekin tum jis tarah se soo rahi thi, uss hisab se agar poori raat sooti rahi toh neck mei sprain aata aur..
Karishma says with a soft tone- relax, calm down, ek hi saas mei mat bola karo, nahi toh sprain aane se pehle mujhe tumhe hospital mei dalna hoga!
Haseena close her eye for moment & says- maate galat hindi mat bolo, nahi aata hai, toh usse mere liye hi sahi blank chod do, mai samjh jaaungi!
Karishma shook her head in an understanding way, & Haseena said with a calm tone- thik se soo jaao, agar nind naa aaye toh bata dena!
Karishma shook her head & said- good night!
Haseena faintly smiles & says- good night!
100+ votes & maximum comments about new parts, nice, awesome please next part soon, nahi chalega, proper comments de do aur votes bhi
thank you
YOU ARE READING
KarEena FF: The Contract..
FanfictionTwo casually meet through the dating app, & decided to do contact for their own reasons..