Tere zindagi mein jahan ki saari khushiyaan chahu
Tere haq ka jo bane, rab se usse zyada mangu
Qayanaat se qayamat ho jaye toh
Tere hisse ki tanao mujhe, aur tere liye sukoon mangu
Tere khushiyon mein mujhe sukoon milta hai
Isse zyada rab se aur kya he mangu
Magar tere zindagi mein shaamil hona mere bas ka nahi
Haan, tune sahi suna
Ke tere zindagi mein shaamil hona mere bas ka nahi
Agar tere sukoon ki wajah banna, mere haq mein nahi
Mai mangu toh rab se ye dua mangu
Tere zindagi mein khushiyaan beshumaar mangu
Chahe iski wajah koi aur he kyun na ho
Tere haq ka jo bhi bane, rab se usse zyada mangu!
©Augustine D'rozario
YOU ARE READING
Agar Main Shayar Hota
Poetry"Agar Main Shayar Hota" is a collection of short hindi poems/shaayari. These are my thoughts that i have penned down over time. i hope you will like it. Vote, share and follow me for more. Thank you! Note: All of the content are original by the aut...