Funny moments

789 113 28
                                    

In evening...

Bondita opened her eyes....she saw herself cuddled with him...

She smiled....then her eyes went on the clock....it was 7.30....!!

She pushed him so hard that he opened his eyes in a jerk....

Ani : kya kiya maine ab...??

Bon : sorry sorry patibabu woh galti se ho gaya....

Ani : par hua kya....

Bon : 7.30 baj gaye hai....hum itni der se so rahe the......sandhya aarti ka samay chala gaya aur main ab tak yehi hu.....

Ani : bondita relax ho jaata hai kabhi kabhi....ab der ho hi gayi hai toh aa jao....

He pulled her....she pinched him....

Ani : ahh..!!!

Bon : kya patibabu aapko kuch samajh nahi aata na....ab uthiye....main jaa rahi hu par khabardar soye toh....kaka sasur ji ko phone kar dijiye aur phir kuch kaam bhi kar lijiye ga....yaha ghumne nahi aaye hai hum....

Ani : haa thik hai na....(murmured) kaka ki kami mehsus nahi hogi...

Bon : kya...!!!

Ani : nahi kuch nahi tum jao main phone kar dunga....

She left the room....

Anirudh called trilochan...!!!

Kaka : hello...!!!

Ani : kaka.....

Kaka : anirudh...jai dugga maa...!!!!

Ani : jai dugga maa kaka.....kya kar rahe hai....??

Kaka : kya karenge baithe hai apne kamre mein akele....bahu hoti thi toh akela nahi lagta tha....par ab toh....

Ani : kaka som batuk baba maa sab hai na aapke saath....

Kaka : sabke apne apne kaam hote hai anirudh....som aur batuk ko padhai se fursat nahi milti....tere baap ko kaam se fursat nahi milti.... aur sampurna ka tum jaante hi ho....

Ani : kaka unhe apni galtiyon ka ehsaas hai aur kai baar woh humse maafi maang chuki hai baba ne bhi unhe apni patni swikar liya hai aur hum tino ne bhi unhe ek maa ka darja diya hai....aap kyu nahi swikar lete....main jaanta hu kaka unhe dekh kar aapko shubra maa ki yaad aati hai hume bhi aati hai mujhe toh sabse zyada....par jo sacchai hai usse swikar karne mein hi bhalai hai....kaka ek baar unhe apnakar dekhiye.... shayad aapko bondita ki kami mehsus nahi hogi....

Kaka : koshish karenge....khair bahu kaha hai...??

Ani : woh sandhya aarti ki taiyari kar rahi hai....

Kaka : aaj itni der bahu ko kabhi der nahi hoti....

Ani : haa kaka woh subah college gaye the admission ke liye phir court gaye the toh lautne mein dopeher ho gayi....thak gaye the toh so gaye toh neend hi abhi khuli....

Kaka : thak toh jayegi na waha humari bahu ko sab akele karna padta hoga....

Ani : itna bhi atyachari nahi hu main kaka.... aapki bahu ka acche se khayal rakhta hu....aap hi jisne mujhe uski zindagi ka sabse bada dushman bana diya hai....kabhi kabhi main sochta hu ki bondita ko mere khilaf bhadkane wale bhi aap hi honge....

Kaka : agar humne aisa kiya hota na toh aaj bahu tere sath nahi hoti.... waise tum dono ke beech sab thik hai na ab....

Ani : haa kaka yaha aane ka maqsad saakar hota nazar aa raha hai....

Kaka : matlab...??

He narrated everything....

Kaka : kya sachme....hume toh yakin hi nahi ho raha hai...

Ani : yakin toh mujhe bhi nahi ho raha hai kaka par sach hai...

Kaka : matlab bahu ne tujhe maaf kar diya hai....

Ani : nahi kaka....yeh sach hai ki bondita ne humare rishte ko ek mauka diya hai par maaf nahi kiya ab tak.....aur main usse waqt dunga....aakhir ek ummid toh mili ki ek din sab theek ho jayega....

Kaka : aasha karte hai din jaldi aaye....

Ani : hmm...accha kaka main rakhta hu baad mein baat karte hai....dawai samay par lete rehna....

Kaka : haa...jai dugga maa....

Ani : jai dugga maa....!!!!

He hung up the call....

He went to the kitchen....

He saw her jumping on the stool.... suddenly she misbalanced but he caught her.....

Ani : kya kar rahi ho bondita yeh kaisi laparwahi hai.....aise kon uchalta hai table par....abhi ghir jaati toh.... bondita agar tum aisi laparwahi karogi na toh main tumhara kitchen mein aana bandh karwa dunga.....abhi main tha toh sambhal liya akeli hoti toh....

She kept her hand on his mouth....

Bon : bass...itni si baat par itna bhadak rahe hai....aur yeh table isse ghirti na toh meri ungli ko bhi nahi lagti.....bacchi hu kya main....woh bass yeh dabba nikalna tha pata nahi kisne itna upar rakh diya....yeh pakka aapka kaam hai....ab kuch bolenge....

He asked her to remove her hand....she did it....

Ani : woh haa maine rakh diya tha....main utar deta hu....

Bon : dhyan se utarna aata hai usme....

He nodded.....!!!

He tried to remove it....he took it but got misbalanced and flour fell on him colouring him white....

Bondita gets shocked.....

He closed his eyes fearing her anger but to his surprise she laughed loudly.....

Ani : hasna bandh karo bondita....!!!!

Bon : yeh kya haal bana liya aapne....pura ka pura atta ghira diya....ab aapki luchiyan banau main.....(laughed)

Ani : pati ki nahi padi par atte ki padi hai....

Bon : arey....sabse pehle toh galti aapki thi ki aapne dabba itna upar rakha aur thik se bandh bhi nahi kiya.....ab atta aap pe ghira usme meri kya galti hai....waise bade handsome lag rahe hai barrister Babu....woh ke naam yaad aa raha hai haa....woh hota hai na safed bhalu.... bilkul cute....

She laughed......

Ani : main safed bhalu...??

She nodded....

Ani : accha.....

He picked up the container and threw the remaining flour on her shocking her.....

Bon : yeh kya kiya aapne....??

Ani : ab lag rahi ho na safed bhalu ki patni....!!!!

He laughed....!!!!

Bon : yeh kya kiya aapne maine subah hi baal dhoye the....ek toh atta barbad hua upar se yeh....

Ani : accha accha shaant jo jao..... pehle apna huliya thik kar lete hai tab tak main shyam ko keh kar yeh sab saaf karwa deta hu aur atta bhi mangwa leta hu....

She nodded...!!!

They went to their room....!!!

Healing my love 💕Where stories live. Discover now