part 4

36 3 0
                                    

Zainab aap ne ghar se nikalti h aur dekhti h ki zaid aur shaziya aye they kyuki unka Ghar shift ho chuka tha zainab dekhti h aur aap ne ghar mein Jake aapni ammi se bol ti hai ki Ammi suno na meri dost shaziya yaha Ghar ley li h mein jaoo kya Miln...

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Zainab aap ne ghar se nikalti h aur dekhti h ki zaid aur shaziya aye they kyuki unka Ghar shift ho chuka tha zainab dekhti h aur aap ne ghar mein Jake aapni ammi se bol ti hai ki
Ammi suno na meri dost shaziya yaha Ghar ley li h mein jaoo kya Milne ussey
Zainab ko uski ammi kehti chali Jana ruk jaoo abhi appi bhi chali jayegi aur kuch mitthai vagra ley Jana acha nhi lagta aysey Jana to zainab kehti thik hai appi ko bolo jaldi kare vaise appi kar kya rhi hai . Unki ammi kehti h namaz padh rhi h sabr karo zainab aapne kamre mein chup chap chali jati hai .
Kuch der baad Rumi ati h aur kehti h ammi kon aya h to uski ammi kehti h ki zainab ki dost h shaziya shyd naam h vhi to vaha uss se Milne Jane bol rhi thi .

Rumi zainab ko awwaz deti h aur kehti chalogi nhi tumhari dost ke Ghar vaha se ake mujhe abhi assignment bhi karna h .
Zainab a rhi hu appi . Zainab aur Rumi shaziya ke ghar chaley jaye hai.

Rumi zainab ko kehti h zainuu phele tum chalo tumhari dost hai zainab kehti h thik hai aapi .
Zainab ghar ke andar jati h aur shaziya ko bulati h kehti shaziii , shaziya nicche atti hai aur zainab ko dekh kar bhut khush hoti hai aur kehti aoo ghar mein shaziya , zaid aur uske abbu hi ghar mein rhte hai kyuki Sherry apne dost ke sath bhar Gaya hota hai.
Rumi ko shazii ke abbu kehte h beta baitho Rumi kehti h jii uncle shukriyaa.
Shaziya aur zainab ek dusre se baat karne mein busy ho jatey hai .
Rumi se Uncle(shaziya ke abbu) kehte hai beta kaha ghar hai tumhara Rumi kehti h uncle yhi pass wala ghar mera aap ke ghar se connect hai vaise uncle yeh kuch sweets laii thi ammi ne diya h uncle kehte h arey beta iski kya zarurat thi Rumi uncle ko jawab deti h aur kehti h uncle yeh hamara farz hai . Uncle kehte hai ki arey Rasheed Zara kuch khane ke liye laoo . Shaziya tum jaoo leke aoo appi aur apni dost ke liye shaziya uthi hai aur kitchen mein chali jati hai .
Zaid aap se room se nicche ata hai aur aap ne Nana ke pass Jake unhe dheere se puchta hai ki nanu jii yeh appi kon h to usko uske nanu kehte h ki yeh tumhari appi hai samjhe jaoo appi se salam karo zaid Rumi ke pass Jake ussey salam karta h aur Rumi ussey aap ne pass baitha to hai aur kehti h ki jab tum bore hua karo mere ghar apni khala ke sath a Jaya karo thik h zaid kehta hai thik h appi a Jaya karunga . Rumi kehti h uncle aab chalti hu time ho Gaya hai . Thik hai beta chalo aur atti rhna thik h . Thik hai uncle . Chaloge zaid mere sath mere ghar Rumi zaid se bolti hai aur zaid kehta h thik fhir shaziya aapne abbu se kehti h ki abbu mein bhi ja rhi hu akele kya karungi . Uske abbu kehte h ki thik h jaoo Sherry ayega to usse bhej dungi tumhe lene ke liye .

Sherry shaam ke 7 baje aap ne ghar ata hai aur aapne abbu se puchta h kaha Gaye zaid aur shaziii . Uske abbu kehte h ki voh shazii ki koii dost thi Jo yehi Jo ghar h pass mein vhi rhti h . Jaoo unhe ley aoo . Sherry kehta h arey abbu mein unhe nhi janta mein kya jaoo to uske abbu usse kehte h to kya mein jaoyunga . Jaoo aur unlog ko leke aoo samjhey Sherry kehta h acha abbu ja rha hu .

Sherry uske Ghar jata h aur awaaz deta h ki shaziya a jaoo utne hi der mein Rumi darwaza kholne ke liye ati h aur Sherry ko dekh kar bilkul ussi jagah freeze hi jati h aur Sherry bhi usse dekhta tha rh jata hai .

Sherry uske Ghar jata h aur awaaz deta h ki shaziya a jaoo utne hi der mein Rumi darwaza kholne ke liye ati h aur Sherry ko dekh kar bilkul ussi jagah freeze hi jati h aur Sherry bhi usse dekhta tha rh jata hai

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Dono ek dusre ko dekhte hi rhe jatey hai mano voh khi aur hi kho Gaye h fhir Rumi ki ammi awaaz deti hai aur puchti h ki kon hai beta . Rumi Sherry se puchti h ki tum yaha kyu aye ho mere ghar khi mera peccha to nhi kar rhe ho . Sherry kehta h nhi shaziiya h kya Rumi kehti hai Haan hai shaziiya tum kya lagte hi shaziya ke Haan, mein shaziya ka bhai hu . Rumi aapne Maan hi Maan mein sochti h arey baap re yeh hai shaziiya ka bhai . Rumi apni ammi ko kehti h ki shaziya ke bhai aye hai Rumi ki ammi kehti h ki bulao usse ghar mein. Sherry chalo mein ammi bula rhi h Sherry kehta hai thik hai .
Sherry ghar mein jata hai aur salam karta hai Rumi ki ammi kehti h baitho beta hai . Ji aunty .
Aur batao beta zaid ke kya lagtey ho aunty uska Mamu hu mein . Rumi kitchen mein jati h aur kehti h ki Issey hi shaziiya ka bhai hona tha pata nhi Allah tala kya chahte h .
Rumi ko uski ammi awaaz deti h kehti h khaha reh gyi ho bajji jaldi aoo .
Rumi kitchen se khane ke liye lati hai aur Jane lagti hai Rumi ki ammi kehti h baitho khaha ja rhi ho . Sherry se uski ammi puchti h ki beta tumhara NAAM kya hai . Ji aunty mera naam shehryar hai .
mashallah bhut hi pyara naam hai .
Jii aunty shukriyaa vaise aap zaid aur shaziii ko bula do abbu intezaar kar rhe hai .
Ji beta Rumi jaoo zainab ke kamre se bula ke laoo .
Jii ammi bulati hu .

Rumi , zainab ke kamre mein jati hai aur kehti h ki shazii aur zaid chalo tumhari bhai aey hai tumhe lene ke liye .
Vaise shazii sach sach batao tumhara Bhai h Sherry h .
Haan appi kyu kuch kaam tha .
Nhi beta chalo jaoo tumharey bhai ko late ho rha hai .
Byee zainab kal milte h .
Zainab , shazii ki kehti h ki suno tum raat ko 9 baje ke baad terrace per ana na hamari terrace wese bhi connected h hum bhut sarii baat karnege .
Rumi kehti hai ki tum log ki baat nhi khatam hogi na abhi jaoo jab raat hogi tab ana thik hai.
Byee guyzzz .
Sherry , Rumi ki ammi ko kehta h aunty chalo aab mein chalta hu .
Beta atey rhna mere ghar thik hai .
Jii aunty.
Sherry ghar se nikalte h aur sochta h ki pata nhi kyu uske samne mein kuch keh hi nhi pata uske samne Mera Sara attitude khi ghum jata hai.

Pyaar Ki Anokhi Kahaniya Where stories live. Discover now