Ananya,his wife, is not born naturally instead she was made in LAB..The thought itself so absurd that it causes a sick churning feeling in his stomach . Suddenly he can actually feel what Ananya could had felt after knowing his true identity.
"Ananya aap tak kaise pahuchi?" He asked.
"Hume laga tha ki waha sirf researcher aur scientist the per hum galat the wo pura ek base tha , properly protected with armed men aur bhi alag alag profession ke log. Sare logo ke kapde aur aawaz same thi .Isliye identities pehchana mushkil tha."
"Jab Hum waha pahuche uss waqt uss bachhi ko uss liquid apparatus se nikal diya gya tha aur usse aaise hi ek metal plate ke uper rakh diya gya wo thick liquid uske sarir per jagah jagah chipka hua tha waha ka temperature bhi kam tha aur wo ro rahi thi per un logo usse aaise hi chhor diya .Wo bahut hi marmik drishya tha per hum dono kuch nhi kar sakte the. halaki un me se ek ne uss bachhi ko le kar chinta jatayi thi per bakiyo ne uske baat per dhyan nhi diya aur ye keh ke tal diya ki ye koi asli bachhi nhi hai."
"Thore time tak sab shant tha aur unke plan ke according sab chalne wala tha , Lekin isse pehle ki koi kuch kar pata un me se ek ne uss bachhi ko chura kar waha se bhaag gya "
"Hum dono uske pichhe Gaye aur humare pichche uske apne saathi the. Kuch dur pe jaa ke humne usse pakad liya.Wo bahut dara hua tha aur baar ek hi baat keh rha tha 'Mai ye bachhi nhi dunga . Tum log isse mar daloge.' Humne usse samjhane ki koshish ki hum un me se nahi hai per wo nahi mana .Issi bich uske asli saathi aa gye aur jhadap hone lagi . Hum dono bina soche samjhe uss anjaan insaan ke liye ladne lage aur usme mere soulmate ki maut ho gayi.Per uski maut ne hume waha se bachne ka mauka diya"
"Hum dono hi uss bachhi ke saath waha se bhaag Gaye.Ananya jinhe apna samjhti hai wo wahi insaan tha" Devaki clarified." Do teen din mai unke saath Rahi thi jaha maine khud ko unki patni bataya tha .Jiske wajah se jab unki maut Hui to unke pariwar ne mujhe unki patni samjha.. Unke saath rehne ke dauran mujhe Deepti ki maut ki khabar mili . Mujhe samjh me aa gya tha udaka ki political condition bahut buri hai aaise me mai kisi pe nhi kar sakti thi .. Dharti per uss bachhi ko safe rakhne ke liye mere pass koi aur tarika nhi tha . Isaliye Mai iss pariwar ka hissa banke unke saath chali gayi. Uss pariwar ka orthodox soch mere liye faydemand hi tha. Bahari duniya se mera connection cut gya tha jiske wajah se Ananya ko bada karna aasan tha.
"Pehle to Ananya ko bhi utni azadi nhi thi per wo ladki dab kar rehne walo me se nhi thi .Maine socha tha bada ho kar koi normal sa desk job karegi ya shaadi ke baad wo bhi na kare. Jitna Ghar me rahegi utna logo nazro se dur rahegi .Uski udasi dekh kar dukh hota tha per uski suraksha se badh kar to kuch bhi nhi tha .
"Kaha mai usse khatro se bachana chahti thi aur kaha usne apne liye aaisa kaam chun .Uske jazbe me kabhi garv hota hai to kabhi uske zid pe gussa aata hai . " Devaki speaks . Her words are followed by silence. After a while Balveer speaks.
"Aap udaka ki hai to zahir si baat hai ki apko pta hai humare mate humare liye kitne jaruri hai .To aapko Ananya ke birthmark ka importance bhi pta hoga. Aur Jaisa ki mere pass information hai uss birth mark ka prediction mere janm se pehle hua tha . Aap Maa ki dost thi to aapko ye birth mark pta hoga ?" Balveer raised his doubts and Devaki nodded .
"To aap Ananya ki shaadi Ray se kaise hone de Rahi thi?" Balveer asked sternly looking at her.
"Hume btaya gya tha ki Ray hi Balveer hai. Hume bas itna pta tha ki Ananya Balveer ki jivansangni hai . Balveer kaun hai hum nhi jante the .Jis din Ray ka rishta Ananya ke liye aaya tha ussi din Humare pass shashwan se sandesh aaya tha Jisme Ray ki tasveer thi . "
"Shaswan se ? Shaswan se koi aapko jhuta sandesh kyu bhejega" Balveer asked . May be message was not from Shaswan but has come in its name to misguide Devaki.It can be one of the layers of conspiracy.
"Aap ke pass iss waqt wo message hai?" Balveer asked ..
"Shaswan se related kisi bhi chiz ho hum ghar se akela nhi chor sakte the ." Devaki speaks and forwarded a capsule like thing towards Balveer.
As soon as he holds it ,it opens revealing a metallic sheet under it .Balveer eyes gets wide looking at that sheet .
"Ye to shaswan ka official letter sheet hai jise keval wahi log use kar sakte jo mere inner circle me hai .Yani ki Bhairav aur sharmila ji".He thinks taking out the letter ." Kisi aur ka isse hath lagana possible nhi hai .Iska matlab iss conspiracy me koi mera apna bhi hai . Kis pe shak Karu aur kisper yakin. Kuch samajh nhi aa raha".
"Ray ke bhagne ke baad aap Ananya aur meri shaadi ke liye kaise taiyar ho gayi . Aapke nazar me to Ray Balveer tha.". Said Balveer.
"Pehle to nhi per jab Ananya mujhse baar baar kehne lagi ki usse Ray ke saath bahut uncomfortable lagta hai. Wo iss shaadi ke liye taiyar nhi hai mujhe shak hone laga. Kyuki Aap soulmate se pyar na kar paao lekin phir aap uske saath uncomfortable nhi hote .Halaki Mai apne shak ko nazarandaz kar rahi thi kyuki mujhe shaswan se aaye information per yakin tha .Lekin Ray aue Ananya ke engagement ke baad mujhe Sharmila ka message mila .Usne mujhe btaya ki aap Balveer hai . Ray nhi. Mujhe samjh nhi aa raha tha ki Mai kya Karu kaise sab roku per usne kaha ki mujhe chinta karne ki jarurat nhi hai kyunki aap khud sab sambhal rahe hai" Said Devaki.
"Agar Sharmila Ji ne sahi information Devaki Maa ko di hai to wo conspiracy me samil nhi ho sakti. " Balveer thinks ."Iska ek hi matlab nikalta hai , BHAIRAV. " He closes his fist tightly crumbling metal sheet into a ball
So how was the chapter?
YOU ARE READING
TRUTH- AN ILLUSION
FanfictionIt is a general thinking that what we saw is truth. But what is truth? If we see a Rose of red colour ,then it is of every colour except red.But if we say that ,rose which looks like red ,is of yellow colour then it seems to be a lie.As our eyes can...