Naksh- aaru bache tu kya bol rahi h
Aarohi- Sach bol rahi hu mamu aap sab ne ise sar par chada rakha h par sach jante hue bhi mein ise apne sar par nhi Chad aungi akshu tu apne mumma papa ke baad mere mumma papa ko toh chin hi chuki thi ab dhire dhire tu mere hi parivaar ko chin rahi h.
Naksh/Abhi/Kairav- Aarohi
Aarohi got scared with the loud voice whereas akshu was crying listening all this. She and the other family members can't believe that aarohi never knew the truth she blamed her for something she never knew about.
Naksh- Aarohi tu sach nhi janti. Achaa ye sab chod tu mujhe pehle ye bata tujhe jab sirat ke baare mein pata chala tha toh akshu ne tujhe kuch nhi bataya tha.
Akshu- nahi mamu mene kabhi aaru ko kuch bataya hi nhi kyuki mujhe laga ki mumma ne use sab bata diya hoga. Mujhe koi idea nhi tha ki aaru ko sach nhi pata h.
Aarohi- kon se sach ki baat kar rahe h aap log. Akshu tu ye jaan bujh ke kar rahi h naa taki phir se sabka attention teri taraf ho jaye par mein aisa hone nhi dungi.
Kairav- Aaru bache ye baat jhut h ki akshu mumma papa ki biological daughter nhi h vo h.
Aarohi- nhi bhaiya mujhe khud un aunty ne bataya tha ki akshu mumma papa ki biological daughter nhi h
Naksh- Aaru bache kaun aunty
Aarohi- Sheila naam tha un aunty ka.
Manish- kya vo 3rd grade lady ne bataya tha. Aaru bache tu mere pass aa toh.
Aarohi taking baby step reach manish and sat beside him. Naksh sat at her other side. Manish and naksh hold her hand gently and start stroking it and said very softly.
Naksh- bachaa voh jo sheila aunty h na voh bohot buri lady h. Vo bohot greedy lady h paiso ke liye toh usne apni maa tak ko marva diya taki unka ghar hadap sake.
Manish- haa bache aap se jhut bol kar vo aapko apne trap mein phasa kar aapse paise nikal wana chahti thi. Usne toh naira ko bhi aise hi pareshan kiya tha ki woh tujhe harm karegi agar naira ne use paise nhi diye toh ek do baar toh koshish bhi ki h usne par har baar tujhe naira ya kartik bacha lete the.
Aarohi- par phir agar akshu mumma ki biological daughter hai toh kya main nhi h
Naksh- dekh aaru tujhe mein sab sach bataunga par use pehle tu meri ek baat kaan khol kar dhyan se sun le naira ya hum mein se kisi ne bhi tujhme krishna mein ya akshu or kairav mein kabhi koi difference nhi kiya naira ke liye tum charo uske bache ho jo use maa kehkar bulate h.
Aarohi started crying cause somewhere she came to know the truth.
Manish- beta sheila sirat ki maa thi jo jab voh bohot choti thi tab hi use chod kar kisi aur ke sath bhaag gayi thi par uske ander ka paiso ka lalach kahi gaya nhi usne apne pati ki property hasil karne ke liye apne pati aur ghar hasil karne ke liye apni maa ka murder karwa diya. Sirat ne jab ranveer se shadi ki toh uski property hasil karne ke liye usne naa jane kitne tikdam lagaye. Aur jab voh dono is duniya se chale gaye tujhe naira ki godh mein chod kar toh us aurat ne meri naira ko bhi isi tarah teri dhamki de kar us se paise mangne lagi par voh naira thi humari sherni usne sheil ko jail bhijwa diya.
Naksh- beta voh aurat sirf paiso ki sagi h uske aage use koi aur nhi dikhta.
Aarohi- iska matlab aaj tak jo taane mein akshu ko marti aayi thi vo sab mere liye the . Mumma meri nhi akshu ki mumma thi aur mein use accuse karti rahi jab ki usne toh kuch Kiya hi nhi.
Naksh- acha ye bata sach jaane se tera aur humara rishta tut gaya kya nhi na abhi bhi vaisa hi h dekh naira humesha tujhe dekh kar kehti thi ki bhagwan ne mujhe apne khok mein rakhne ka sobhagya sirf do ka diya par palne ka chaar ise acha aur kya ho sakta h. Aaru sach kuch bhi ho tu is ghar ki sabse choti beti h.
Akshu- Haa aru sheila aunty humari life nhi chalati h hum h uske liye tu sach jaane ne se bhi pehle meri behan thi aur ab bhi mein teri behan hi hu. Tujhe mumma ne pala bada kiya aur sanskar diye h jo hume ek parivaar banata h. Tu janti h na draupadi aur krishna ji ka koi khun ka ristha toh nhi tha phir bhi rakshabandhan ke din ka vachan jab unke hath par kapda bandhkar khoon rukne se roka tha tab unhone jo draupadi ko diya tha uspar manaya jaata h. Tu mujhe bata tujhe jab sach pata chal gaya h toh mumma tere lye mumma nhi h bata.
Aarohi- hain
Akshu- toh phir hum behne h bhale alag alag mumma ne janam zarur diya h par unke sanskar aur vyvhaar ki wajah se hum ek dusre k adhura hisa h .
Aarohi- I am soooo sorry akshu aur aap logo ko bhi. Meri vajah se tu apne mayke ke kabhi pass nhi aa payi.
Naksh- beta we know what you are going through par bache aap humare ho usi tarah jis tarah akshu h. Agar akshu is ghar ki jaan h toh aap shaan ho bache aur krishna is ghar ka samman h. Aur ye ghar apni jaan shaan aur samman ke bina kuch nhi h vaise hi hum aapke bina kuch nhi h.
Kirti- Par Aaru ek baat bata tujhe kabhi unki baato pe shak nhi hua kya. I mean usne ye jhut bola toh tere man mein sawall nhi uthe ki ye jo bhi bol rahi h jhut h .