FRIENDS THEN?

711 47 8
                                    

Last day of shoot~

Jiya: Abhi tum uth rahe ho yaa Mai akeli chali jaun hmm?

Yaar shoot ka last day hai bas Aaj ke liye adjust karlo phir jitna Sona hai so jaana okay (throwing pillow on his face)

Abhi: jiyaaa sone do naa please yaar kal kitna late pack up hua tha aur aaj itni jaldi bula liya hai

Jiya: thik hai phir tum sote raho Mai chali

Abhi woke up immediately: aree ruko ruko ruko tum toh bura Maan gyi yaar

Mazak kar Raha tha yaar, ruko Mai turant fresh hokar aata hoon

Jiya: hmmm

Abhi: waise ek baat batao, tum ye sab kaise kar leti ho?

Jiya: matlab ? Kya kaise kar leti hoon?

Abhi: aree matlab itni jaldi uth jaana ready ho jaana ye sab....

Jiya: ohh, kya Karu ab to aadat si ho gyi hai mujhe

She chuckled and left

After some time~

Jiya: hmmm aur kuch baaki reh gya hai to wo bhi karlo

Abhi: matlab ?

Jiya: nai matlab agar tumhe shopping karni ho yaa kya pata tumhara kuch chut gya ho yaa tumhe pictures Leni ho haina ...ek min kahi tumhe phirse bhukh to nhi lag gyi naa ?

Abhi: shut up! Yaar tum mera mazak bana Rahi ho

Jiya whispered: lo bhai joker bol raha hai mera mazak mat udao...

Abhi: kuch kaha tumne?

Jiya: nahi, bilkul nhi maine to kuch bhi nhi kaha

Accha wo sab chodo aur chalo hame late ho raha hai

Abhi: hmmm

Both left~

They reached the shooting location

Aniket: woahh woahh... Aaj kya baat hai Suraj aur Chand ek saath?

Abhi whispered: hmm hmm tu kyu grahan laga raha hai

Aniket: tumne kuch kaha kya

Abhi: nhi , maine kaha... kya bataun aaj mai subah utha dekha jiya soyi Hui hai phir maine use uthaya par wo uthne ka naam hi nhi le Rahi thi keh Rahi thi yaar jiya aur sone do naa

Aniket: jiya ??

Abhi: ohh I mean yaar abhi sone do naa aisa kaha tha

Aniket sarcastically: acchaaa... aur Phir ? Phir kya hua?

Abhi dramatically: phir.... Phir kya maine use jabarjasti uthaya bola nhi jiya aaj shoot ka last day hai Aaj hum late nhi ho sakte to phir usne kaha kaise kar lete ho abhi ye sab

Phir maine kaha ye Babu Rao ka style ae

He laughed ~ and turned he saw Jiya behind him

Jiya: Babu Rao ke bacch-- I mean Abhishek ke bacche tujhe to Main

Abhi like a kiddo: yaar jiya are you threatening me?

Jiya: abhi tak to nhi par haa agar phir aisi bakwas fictional story banai naa to kaan ke niche ek zor ka thappad lagaungi samjhe?

Abhi came closer to jiya and he whispered in her ears: thappad se dar nhi lagta madam pyaar se lagta hai and he ran

Jiya: you...

Aniket aisa kuch nhi hua tha thik hai ye jhut bol raha hai

Aniket: are mujhe pata hai mujhe laga hi tha ki kuch to jhol hai

Tashan e ishq!Where stories live. Discover now