He was kissing her roughly pouring all his frustration, anger, sadness, fear.. she let him do that. After kissing her for 15 minutes he left her lips but held her by her hair in his fist.
D : aah sunny kya kar raha hai? (Screamed in pain)
R dangerously : aisi baatein dubara maat karna..
She was looking at him only. His eyes were red in anger. She slowly kept her right hand on his left cheek and wiped his sweat and tears. He leaned to her touch. He closed his eyes. His held on her hair loosened. He was now caressing her hair.
R muttered : Sorry 😞
D softly : for what?
R slowly : aise impulsive behave karne ke liye.
D : mujhe pyar karne ke liye tujhe sorry bolne ki zaroorat nahi hai.
R : yeh pyar nahi tha. Yeh darr tha tujhe khone ka, mera gussa tha jo maine tujhpe nikala, mera frustration tha jo maine tujhpe nikala. Jo ki mujhe nahi karna chahiye.
D : tera haq hai Sunny. Aur tera darr bhi toh isiliye hai na kyunki tujhe pyar hai. Aur gussa bhi hum unhise hote hai jinse pyar karte hai haina?
R : still I am sorry..
D : sorry mujhe nahi Bunny ko bol.
R : nahi kabhi nahi.. galat wo hai.. main nahi..
She cupped his face.
D : kya ho gaya mere Sunny ko?
R : pata nahi yaar.. aisa lag raha hai main kahi na kahi fail ho gaya tum logo ko protect karne mein.. zimmedari toh le li par nibhaya nahi.. nahi toh Bunny ko chupke se yeh sab marne ki zaroorat nahi padti.. maine kiya hi kya hai family ke liye? Har time unse dur hi toh tha.. business, profit in sab ke chakkar mein maine apni family ko diya hi kya hai? Toh kaise karta Bunny mujhpe bharosa.. usko bhi yehi laga hoga ke main sabko chorke Chala jaunga.. 🥺
D : aisa kuch nahi hai Sunny!! Tu zyada soch raha hai..
R : wo mujhse baat bhi to kar sakta tha na? Usko mujhse zyada Omi pe bharosa tha. 🥺
D : toh tujhe iss baat se problem hai ki Veer Omi pe bharosa karta hai?
R : aisa nahi hai Laddoo.. main tujhe kaise samjhau..
D : mujhe samjhane ki zaroorat nahi hai.. tu samajh.. agar tu Veer ki jagah hota toh tu kya karta? Tu hum logo ko khatre mein dalta? Nahi na?
R : kabhi nahi..
D : phir? Kahi tujhe iss baat ka toh bura nahi lag raha ki tere bhai ne tujhse kuch share nahi Kiya aur Omi ko share kiya.. don't tell me you are getting jealous! Like seriously? Sunny? Tu Omi se jealous ho raha hai?
R : shut up Laddoo.. aisa kuch nahi hai.. I'm serious right now aur tujhe mazak sujh raha hai? I am feeling like a loser.
D : ayee khabardar agar mere husband ko loser kaha toh.. tu loser nahi hai samjha? Tune humesha protect kiya hai hume.. tujhe nahi pata tha kaun kaha se hum pe hamla karne wala hoga. Tune sab kuch sochke hume protection diya hai. Agar tujhe pata hota kaun hamla karne wala hai yoh I'm sure tu usse bhi nahi chorta. Aur rahi baat Veer ki toh usko pata tha yeh sab wo janta tha kaun kya karne wala hai isliye wo rok paya.. agar yehi baat tujhe pata hoti toh tu rok leta I know that. Apne aapko guilt trip pe maat dal. Dekh tu apne tarike se protect kiya aur Veer apne tarike se.. tum dono alag insan ho toh tumhare kuch bhi karne ka tareeka bhi alag hi honge na Sunny?
R chuckled : tune meri mood aise chutki bajake thik kar di..
D : aab jo tu niche karke aya hai usse sudhar..
YOU ARE READING
JeevanSangini ✅
FanfictionThis story is about two people who already hold a relation but destiny made them life partners. They became husband wife from devar bhabhi. This is typical India serial theme. But I wanted this type of story for TejRan. So here I am.