"Duggu! beta thora aur khale, le ek aur paratha khale"
"Nahi maa mujhe nahi khana ab bas pet hii bhar gaya, mujhe form submit ke liye jana hai naki kisi bhooki jhopari mein"
"Arey meri bitiya rani ho gayi taiyaar?! dekhu toh- arey waah kitni sundar lag rahi hai lekin mere se kam hii sundar hai abhi bhi..."
"Ha papa kyu nahi aap toh 43 saal ke toh ho hii nahi... abhi bas kal hi hue the 16 baras ke..."
Ek ladki khilkhila kar hasti hai aur apni se 6 saal chhoti behan ke gale lag maata-pita ke aashirward leke nikal padti hai apne AIIMS ke hostel ka form bharne, abhi 17 saal ki hi hai aur 1st attempt mein hi clear ho gaya NEET inse, ab ye jaa rahi hai apni manjil ki aur...
----------------------------------------------------------
"Madhav aaj aap itne khush kyu hai?" Ek yuvati peele pat mein udhyan mein baithi mor ko sehlati apne giridhar se prashan puchhati hai.
"Baat toh khush hone ki hi hai sakhi, koi vyakati vishesh jo aa rahe hai..."
"Kon Madhav? kon hai voh vyakati vishesh jisne Sansar ke swami ko muskurane par vivash kar diya"? Voh stree vyakulta se wapas prashan karti hai parantu iss baar Kanhiya sirf mand-mand mushkurate hai aur apni bansi nikal hotho pr rakh, netro ko madhurta se band kar bansi bajate hai, jaise ve swam kahi vibhor ho gaya hai, Vah stree samajh jaati hai ki Madhav koi chamatkar rachne wale hai...phir voh bhi apni akhhon ko band kar bansi ki madhurta mein vileen ho jati hai...
-----------------------------
Prem se bolo~~
Radhe-Radhe~~
YOU ARE READING
Shattering the Barrier of Time.
Historical FictionWatch a Modern Girl turn the Mahabharata Upside Down in this Mind-Blowing Historical Fiction! She is ready to break the Time Barrier~ Prepare to be Enchanted! मैं ही त्रेता का राम हूँ | कृष्ण मुझे सब कहते है, मैं द्वापर का घनश्याम हूँ || रुप कभी नार...