"Arey time-Arthart samay kitna ho gaya?" Chahat ne ek dam se hassi rokte hue puchha...
"Sany-kaal ho raha hai abhi...parantu kyu?" Nakul ne Chahat se puchha...
"Mujhe sham ki aarti karni hoti hai apne aaradhya ki...isliye"
"Kon-se aaradhya?" Iss baar Bheema ne usse pranshan kiya aur uttar paya ki-
"Hai koi...aap jaan jayenge...-"
"Thik hai toh iss taraf hai mandir-" Chahat ne sahdeva ko bolne hii nahi diya aur aage kaha
"Mujhe ek shilaa chahiye..."
"Lekin kis liye? Aap mandir mein kisi bhi devi-devta ki puja kar sakti hai..." Jesth bhrata ne uttar diya
"Nahi...mai murti mein, prakarti mein ishwar ko dhundhati hoon..." Isi bich Madhav kab mushkura kar waha se chale jate hai... kisi ko kya hii malum...siwaye Chahat ke
-----------------------------------------
Vah shilaa ko ek vriksh ke niche rakh, usko jal se dho-kar, patte, phool aur dher sare prem aur bhakti ka bhog laga kar...deep jalaa kar aarati-geet gaati hai...
राधे कृष्ण की ज्योति अलोकिक,
तीनों लोक में छाये रही है।
भक्ति विवश एक प्रेम पुजारिन,
फिर भी दीप जलाये रही है।
कृष्ण को गोकुल से राधे को...
कृष्ण को गोकुल से राधे को,
बरसाने से बुलाय रही है।दोनों करो स्वीकार कृपा कर,
जोगन आरती गाये रही है।
दोनों करो स्वीकार कृपा कर,
जोगन आरती गाये रही है।
भोर भये ते सांज ढ़ले तक,
सेवा कौन इतनेम म्हारो।
स्नान कराये वो वस्त्र ओढ़ाए वो,
भोग लगाए वो लागत प्यारो।
कबते निहारत आपकी ओर...
कबते निहारत आपकी ओर,
की आप हमारी और निहारो।
राधे कृष्ण हमारे धाम को,
जानी वृन्दावन धाम पधारो।
राधे कृष्ण हमारे धाम को,
जानी वृन्दावन धाम पधारो।Aarati-geet sun kar sab ho jate hai madhosh...aur bhakti vibhor ho kar sandhya aarati karte hai...annt mein Chahat sabhi ko aarati deti hai aur puja kar sabhi waha se chale jaate hai...
------------------------------------------
Arjuna
"Kis soch-vichaar mein dube ho parth?"
"Kuchh nahi Madhav, bas Subh-raatri kehne ko aaya tha..." Arjun kuchh sankoch mein bole
"Thik hai...jab vartaa-laap karlo apne mann se tab apne mitra ko bhi bata dena, kyu haina?" Mor-pankh dhaari nakhare se mushkurake Arjun se masti karne lage...
"Kya...Vasudeva...Aapko bhi gyaat hai aur mai bhi jaanta hoon ki kise kon-si mansa sataa rahi hai, Kon hai vah stree? Chahat? Kaha se aayi hai? Kyu aayi hai? aur agar aayi hai toh..." Arjuna aage kehte-kehte chup ho gaye
"Toh...? Kya parth? Aage bhi toh bolo kuchh apne vaakya ko purn karo...ya khud duvidha mein ho ki vakya ke annt mein kya hai...hmmm?"
"... Madhav, Aaj ke liye bahut shahn kar liya...ab nindra aa rahi hai, Subh-raatri" Itna hi kah kar Voh waha se chala gyaa apne shayan-kakcha mein idhar Giridhar bhi apne netra band kar komalta se mushkura kar Radhey-Radhey pukar, jhule par hii let gaye sayad Apni purn roop se bhet kar rahe the ya sayad Maiya Yashoda ki yaad mein mushkura rahe the...ab yah bhed toh keval ek hii vyakti bata sakta hai...vah bhi swam Kahna jii.
-------------------------------------------
Bheema
"Aha! aaj toh bhojan bahut hii swadist tha...maa, parantu mujhe thori bhook aur lagi hai..." Bheema ne apni maata Kunti se kaha aur pet par haath pher ishara bhi kiya... Maata Kunti bhi apne putra ko dekh samjh gayi ki aaj usne nayi yuvati ke karn bhojan purn roop se nahi khaya tha isliye vah savako se pehle hii bhojan mangwa kar rakh wa chuki thi unhone apne putra se kaha...
"Jao Bheem, tumahare kaksh mein bhojan rakhwa chuki hoon...jaakar bhojan karlo...thik hai,hmm?" Maata Kunti ne kuchh hass kar aur kuchh laad se kaha...Usi samay ek daasi aakar unhe batati hai ki bahar vah yuvati khadi hai jiska aaj upchaar chal raha tha... Maata Kunti ne use andar aane ki anumati dedi aur kaha ki...
"Jao, use andar bhej do aur bheem tum jao abhi..."
"Ji maate..."
YOU ARE READING
Shattering the Barrier of Time.
Ficción históricaWatch a Modern Girl turn the Mahabharata Upside Down in this Mind-Blowing Historical Fiction! She is ready to break the Time Barrier~ Prepare to be Enchanted! मैं ही त्रेता का राम हूँ | कृष्ण मुझे सब कहते है, मैं द्वापर का घनश्याम हूँ || रुप कभी नार...