Hai katha sangram ki... Vishwa ke kalyaan ki...
(ノ◕ヮ◕)ノ*:・゚✧💗🩹⌛
"Madhav, aap yaha...? Iss pahar aapka yaha kaise aana hua?" Ek bhaala- dhaari, badi aakhon wale laal tilak lagaye yuvak ne jagat swami se puchha.
"Jesth bhrata Yudhisthir, Mai toh kahi bhi aur kabhi bhi apne priyajano ke paas awashya hii pahunch jaata hoon... Parantu aap yah batlaaiye ki ab vah yuvati thik hai?"
"Ji Keshav, ab vah thik hai, parantu vah naa jaane kya hii bhasha bolti hai... kuchh samjh hii nahi aata...pata nahi kitni hii tod-phor macha chuki hai vaidh-shaala mein..." Ek su-kumar, gadaa-dhaari balishth kumar ne uttar diya.
"Koi baat nahi bhrata Bheem-" Madhav isse aage kuchh keh paate ki usi samay ek larki chillati hui bahar uddhyan mein aati hai aur sabko dekh chup ho jati hai, vahi dusri taraf Kahna jii uss kanya ko dekh mushkuraate hai aur use puchhte hai ki –
" Devi, aap abhi kaisi hai-"
"Mai thik hoon ya nahi tumhe usse kya! Mai puchhti ki tum log ho kaun kyu itta-sara makeup paut rakha hai apne thobre pe?! Koi drama bana rahe ho kya? Koi actor ho?"
"Aa iss tarah Keshav se baat nahi kar sakti dev-" Bheem aage kuchh keh pate ki-
"Chup!! Bilkul chup!" Chahat muh par ungali rakh kar kehti hui aage bolati hai "Matlab kuchh bhi-nahi matlab KUCHH BHI?! Tum kahoge toh ye mor pankh wala Krishna hai haina... aur ye javelin wala pakka tere Jesth honge...Kyu haina!"
"Ek minute, kahi ye koi film ka set toh nahi... kaha hai camera, kaha hai? I'm sorry director ji, maine scene bigad diya... lekin voh aurat andar mere kapde utaar rahi thi na, isliya mai chillayi..."
"Aur haa, mai chahoon toh kisi se bhi, kaise bhi, kabhi bhi, kisi bhi tarah se baat kar sakti hoon aur Ha, please itna bhi character matt ghuso ki bahar nikalna hii mushkil ho jaye, Ha nahi toh!"
Chahat yah Bheem se bolati hai. Aur bheem ji use aise dekh rahe the jaise mano koi pret-aatma ko dekh liya ho... waise hii pret-aatma jo pitamahh ne bachpan mein kahani ke dwara bataya tha.
"Suniye, hum aap se vinamtra ka nivedan karte hai, kripya humein aapko bandhi banane par vivash naa karein. Aur saath hii aisi bhasha ka prayog karein jise hum samjh sake" Sabse chhote Pandava ' Sahdeva' ne Chahat se kaha.
"Tum!! Tameej nahi hai kya, Tumhari BHASHA mein bolu toh... Shishtaachaar nahi hai kya? Ladkiyo se kaise baat karte hah!" Vah
Chahat ne gusse mein kaha...usse laga ki iska uttar kisi ke paas nahi hoga parantu usi waqt ek teekhi naino wala, mastak par vijay garv sa laal tilak sohe, hotho par ana-vyashak si mushkaan pehane...Dhanush ko apne dae hath mein liye, Chahat ko ek takraar bhara uttar dete hue kaha-
"Chhama karein devi, parantu abhi tak aap humare duraachaar se toh parichit hui hii nahi toh aapko kaise gyat ki hum-mein Shishtaachaar hai ya nahi?"
"Aur rahi baat Aapke iss abhadra vavhaar ki toh yah avyash hii janle ki aap abhi Hastinapur ke swarg wasi Maharaaj Pandu ke jesth putra Yudhisthir, Bheem aivm Unke chhote putra Sahdeva se uchi awaaj mein bol rahi thi jo ki ek apraad hai..." Ek aur yuvak ne unhi {Dhaanush-dhaari} ke pichhe se aate hue kaha...
Inn sabhi nok-jhok ke bich Govinda, Meera ke Hari, Arjun ko Geeta-gyan dene wale kab murli bajate aur Radhe-Radhe ka naam pukarte waha se chal gaya kisiko pata hii nahi chala...
---------------------------------------
Kahna ji:
Hridya mein aaj ichha hoti hai aur yadi purn nahi ho pati toh hridya bhavishya ki yojna banata hai ki bhavishya mein ichha purn hogi, aisi kalpana karta rahta hai...kintu Jeevan....
Jeevan na toh bhaviysha mein hai aur na hii ateet mein
jeevan toh iss chhan ka naam hai arthat
Iss chhan ka anubhav hii Jeevan ka Anubhav hai...
🪔⏳💗
Radhey-Radhey...
YOU ARE READING
Shattering the Barrier of Time.
Historical FictionWatch a Modern Girl turn the Mahabharata Upside Down in this Mind-Blowing Historical Fiction! She is ready to break the Time Barrier~ Prepare to be Enchanted! मैं ही त्रेता का राम हूँ | कृष्ण मुझे सब कहते है, मैं द्वापर का घनश्याम हूँ || रुप कभी नार...