"Waah! kitna swadist bhojan hai" Bheemsen ne apne pet ko shehlate hue kaha. "Tum aur lo, lo ye pakwaan kha kar dekho... bahut swadist hai, rajya ke sabse gunwan rasoi maharaaj ne banaya hai ise" Bheemsen ne bade, khaste aur ghee mein tale hue raj-kachori ki thaal ko Chahat ke saamne badhaya.
"Ji, bas- ab aur nahi khaya jaata-"
"Bas itni hii bhook thi? Tumhare samay mein sahi bhojan nahi milta kya?" Nakul ne chawal ka niwala khate hue puchha.
"Aisa hii kuchh samjhe, mere samay yani Kalyug mein, saag-sabji mein bhi keet-nashak jaisi hanikarak rashayn ka prayog hota hai... taki vah aasani se har varg ke manushy ko prapt ho sake... parantu-"
"Parantu kya Chahat?" Sahadev ne tatkaal hii prashna puchh liya... parantu sabhi log toh yah dekh stabdh ho gaye ki abhi tak jise kisine bhi naam se nahi pukaara (Krishna ne bhi) use Sahadev bade mridul vani mein ek nish-paap se bachhe ki tarah pukaar raha hai, maano jaise Chahat ka naam pukaarane se koi sahad si mithai... mil rahi ho...
"Kya? sab aise kyu dekh rahe hai?" Sahadeva ne sabhi ki taraf dekha.
"Kuchh nahi, bas-" Nakul kuchh keh paate ki, " Tum aage bolo putri..." Mata Kunti sab sambhal leti hai.
" Ji, kuchh nahi bs yuhi, waha itne swachh vatavaran mein jeevan nahi bitaayaa toh ho sakta hai ki sharir par iska prabhav ho" Iske sath hii vah bhojan kar chuki hoti hai, parantu vahi baithi rehti hai kyuki Bheemsen abhi bhi bhojan kar rahe hote hai.
----------
" Dusri pratiyogita ka samay ho chuka hai" Dushyala ne sabhi se kaha aur apne ghun-guru utha laati hai aur pehane lagti hai...
" Pehle Raaj-kumari aap..."
Sangeet ke taal aur sur se pure kaksh mein gunjne lage usi ke sath raajkumari ke paav bhi taal se taal mila rahe the... yaha Chahat jaanati thi ki vah yah pratiyogita haar jayegi kyuki use shaastreey nrity nahi aate the, use toh bas logo ki shaadiyon mein naach sake itna hi dance aata tha.
*Taaliyon ki aawaaj*
"Dushyala! tum ne bahut achha kiya, tumhi hi vijay hogi" Duryodhan ne apni muchho ko taav dete hue kaha.
YOU ARE READING
Shattering the Barrier of Time.
Historical FictionWatch a Modern Girl turn the Mahabharata Upside Down in this Mind-Blowing Historical Fiction! She is ready to break the Time Barrier~ Prepare to be Enchanted! मैं ही त्रेता का राम हूँ | कृष्ण मुझे सब कहते है, मैं द्वापर का घनश्याम हूँ || रुप कभी नार...