Chapter 5

18 3 15
                                    

Siya cried on Raghav’s shoulder.

R~jaan, ab itne bhi aansu mat bahao, itna achha kahan raha hoon main? Kahan laayak hoon in aansuo’n ke? Kahan deserve karta hoon main tumhara pyaar? Main toh tumhari nafrat ke bhi laayak nahi

S~jo ke main kabhi kar he nahi paai. Pyaar bhi us se hua na, jo jeete jee kabhi mera apna na ho saka. Tumhari baato’n se ziada tumhare actions ne hurt kiya hai mujhe, dil ki chotein bhi mili jo bohat der se bhari, shareer ki chotein toh phir bhi bhar jaati hain na. Kiun mujh se dil laga kar mera dil tora humesha? Kiun bhulana chaha tumhe humesha aur tumhe bhula he na paai? Humesha mujhe kiun apna pyaar tumhe prove karna para? Kiun baat baat par mujh se kasmein khilwaate thay? Mazaak bana diya mere pyaar ka tum ne, humesha saath ho kar bhi saath nahi hotay thay tum. Aur ab saath ho bhi kab? Jab jaane walay ho? Kiun Raghav? Ruk jao na, mat jao na chhor kar? Main mar jaun gi.

 Aur ab saath ho bhi kab? Jab jaane walay ho? Kiun Raghav? Ruk jao na, mat jao na chhor kar? Main mar jaun gi

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

He released the hug and palmed her mouth.

R~chup. Aise nahi kehte jaan. Ab toh koi tumhe chot nahi pohnchaye ga na? (she cried) Chot pohncha bhi di, toh marham koi nahi lagaye ga, (she cried more and hid her face in his neck leaning closer to him) mujhe toh yaad karne wala nahi koi tumhare siwa, ek baat kahoon tum se? (she lifted her head and looked at him) mujhe yaad rakhna humesha, apni yaado’n mein saja kar rakhna, rakho gi na? (she nodded? Main jaan chuka hoon ke mujhe sab se ziada tum ne pyaar kiya, sab chhor gaye mujhe lekin tum saath rahi humesha, lekin ab mujhe jaana ho ga Siya. Humara saath yaheen tak tha.

S~meri khaatir bhi nahi ruko gay? Tum toh mujh se bohat pyaar kartay ho na? Mujhe jaan keh kar bulaate ho na? Mere liye toh ruk jao

R~ab tak tumhare liye he ruka tha. Aur hai he kaun mera tumhare siwa? Maa bachpan mein he chhor ke chali gayi mujhe, jab sab se ziada zaroorat thi un ki, jis ke pallu ko maine apni dunia maana, us ne mujh se meri dunia chheen li, sirf apni beti se pyaar kiya, mujh se nahi. Kabhi khud se murr ke bhi nahi dekha. I understand ke mere papa rakshas thay, domestic violence kartay thay, lekin maine kya kiya tha? Paida kar ke chhor diya. Us aadmi ne mujhe ye sikha diya ke apni patni ko apne control mein rakhna. Un ki wajah se maine tumhari zindagi narak bana di.

 Un ki wajah se maine tumhari zindagi narak bana di

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.
Tera Mera Hai Pyar Amar (complete)Where stories live. Discover now