7

699 120 42
                                    

"Mera naam mishti doi nahi shehnaaz haiii... shehnaaz Roy...." She said getting irritated and he started laughing.

"Main Toh Tujhe Mishti doi hi bolne wala hun... kya pata Teri Aag ugalti zubaan thodi meethi ho jaaye"

"Phir toh mujhe aapko chasni bulaana chahiye kyunki aapke jitni kadwi toh nahi haii meri zubaan isliye meethe ki zarurat aapko jayada hai"

"Achha main kadwa hu ? Khake dekhi haii tu mereko ?" He asked making her sit on the bed. She closed her eyes and said "aapko khake dekhu itna kharab taste nahi hai mera"

"Aeee tu mereko insult kar rahi hai ?"

"Haan toh aur kya karu main mendhak jaise tarr tarr karti hu na toh wahi kar rahi hu tarrrr tarr tarr"

"Areyyy bappa kya ladki hai yeh ? Mazak mein bola tha maine... mazak ka kon bura maanta hai baba ?"

"Toh main aapko mazak mein mendhak bolu toh aap ladoo batwayenge? Nahi na... bura lagega na ?"

"Achha theek haii..  chhod bhool jaa"

"Sorry boliye"

"Aeee abh yeh jayada ho raha haii... Sidharth Agnihotri kabhi kisi ko sorry nahi bolta.."

"Toh woh raha darwaza... jaate Time band karte jaana"

"Tu mereko mere hi Kamre se nikalne ko bol rahi hai ?"

"Abhi thodi der pehle toh aapne kaha ki yeh kamra mera hai... toh jaaiye"

"Heyyy bhgawaan kya ghamad haii iss ladki ka" He mummered to himself and then said "chal sorry hu main" while moving his fingers in his hair.

"Kya bola? Phirse boliye maine suna nahi"

"Sorry" he said glaring her.

"Ek Baar phirse please... please... please"

"Abh tera jayada ho raha hai bola na ek baar sorry"

"Uriii baba... ghamandi aarth, akduon ke badshah, tanashah ne mujhe sorry bola ? Yeh chamatkaar kaise ho gya ?"

"Ho gya ? Chidha liya mujhe ? Abh yeh le pakad teri dawai... konsi Kab leni hai sab likha hai uss par "

"Thank you... aap iske paise baad mein le lijiyega"

"Maine maanga kya terese ?" He asked glaring her.

"Aap Hamesha Aese gusse Mein Kyu rehte hain? Maana aapke sath Bura Hua hoga.... Shayad Kisi Ne aapko Dhokha Diya Hoga lekin Muskurana Kyu Chhoda ? Areee muskurane se toh bade se Bada Dard Bhi Dur ho jata hai lekin aapki naak par toh hamesha gussa baitha rehta hai... muskurane per Koi tax Nahin Lagta" shehnaaz said and he looked at her. He placed his hand on the back of her neck and entangled his fingers in her hair and fist them up. He pulled her face closer fisting her hair and touched his forehead with hers and said " Tune Ek Baar meri jaan bachai hai isiliye Itna narmi se pesh aa raha hun..... mujhe majbur Mat Kar ki woh Banu Jo Asal mein hun... Mujhe Teri salah ki jarurat Nahin Hai.... Main gusse mein hun.... Nafrat mein hun.... Dard Mein Hun.... Main Jo hun mujhe mere haal per Chhod De.... Mujhe Chhed mat Varna...."

Bepanah ishq ❤️Where stories live. Discover now