Part 22

366 33 28
                                    

Birla ladies were shocked listening the truth. They came inside hurriedly. Manjiri went to Aarohi, "Aarohi tumne kya kaha abhi? Abhir... Abhir mere Abhi ka beta hai? Bolo na!" Aarohi looked at Akshara. She nodded. "Haa maa, Abhir Akshara aur Abhimanyu ka beta hai." Manjiri looked at Akshara then at Goenkas. "Itna bada sach aapne chupake rakha Maaji? Itna bada dhoka?" Suhasini said, "Nahi Manjiri, humne koi bhi sach nahi chupaya hai. Hume bhi ye sach kalhi pata chala hai." Aarohi said, "Haa maa, Abhir ka sach hum sabko kalhi pata chala." Abhimanyu also came there hurriedly. (Abhinav is not there please note this)

Manjiri said, "Kyu Akshara kyu??" Abhimanyu went near her to stop. "Maa..." She looked at him, "Abhi... beta wo Abhir..." He nodded. "Mujhe kyu nahi bataya beta? Itni badi baat mujhse kyu chupayi?" He said, "Maa hum abhi ghar chalte hai please. Ghar jakar baat karte hai." She looked at Akshara angrily and liked the show did drama. (Abhinav is not there please note this)

Abhimanyu tried to calm her but she didn't stop. "In sabme ek insaan aur hai." All members looked at her confusingly. She said with fully raged, "Iska pati Mr. Abhinav Sharma." She looked here and there. "Kaha hai wo?" She called him loudly, "Abhinav Sharma"

"Me yaha hu." They turned to the voice. He and Kairav was stood at doorside. Manjiri went and dragged him to Akshara. "In sab me tum bhi barabar ke hissedar ho Abhinav! Tum bhi Akshara jaise iss paap me hissedar ho!"

"Bass!!!" Abhinav yelled loudly. "Bass Manjiri ji. Itni derse aap meri patni par ilzam laga rahi ho, bahot hua. Ab me ek shabd nahi sununga." All looked at him shockingly. They knew Abhinav as even tempered, sober and peace loving person. Even Nilamma didn't know this version of him. She knew that he is possessive about Akshara and Abhir, he respects her like anything but this furious Abhinav they all saw for the first time. He held Akshara's hand with determine. Abhimanyu threw draggers seeing their joined hands. He angrily said, "Mr. Sharma aap meri maase aise nahi baat kar sakte."

Abhinav said, "Akshara meri patni hai aur unse koi beizzatise baat kare ye me bhi bardasht nahi kar sakta Mr. Birla! Aapni maa se kahiyega ki wo shanti se baat kare!"

Abhimanyu looked at Manjiri pleadingly. She said, "Shanti se baat usse ki jati hai jo baat ko samjhe, usse nahi jo har bar bhagke chala jaye."

This is enough for Akshara. She said loudly, "Me bhagi nahi thi... mujhe nikala gaya tha. Aapke bete ne mujhe divorce deke chhod diya tha." Tears came from her eyes. Abhinav held her hand tightly giving her support. "Neel ke maut ke saath maine bhi apne bachhonko kho diya tha, lekin aap sabne mujhe hi doshi thehraya. Mujhe Neel ka, apne bachhonka murderer kaha gaya. Itna sab hone ke bad bhi jab mujhe pata chala ki mera ek bachha jinda hai to sabse pehle mere jubaan par aapke bete ka nam hi aaya tha. Me janti thi ki bachhe pe mere saath saath Abhimanyu ka bhi barabar ka hak hai, isliye maine usse phone bhi kiya tha lekin puchiye apne betese usne kya kiya!"

Manjiri looked at him. He lowered his gaze. "Ab neeche sar karke khade ho, tum to bataoge nahi, me hi batati hu. Usne nahi suna. Me bar bar kehti rahi meri baat suno, meri baat suno par usne meri ek baat tak nahi suni. Fir maine usse letter bhi likha tha lekin usne uska bhi koi jawab nahi diya. Maine usse mail bhi kiya tha par uspe bhi koi jawab nahi diya."

Mahima looked at Manjiri and said, "Letter... haa ek letter gharme aaya tha Abhimanyu ke namka par Manjiri ne usse bina pura padhe hi phad diya tha." Abhimanyu looked at her questioningly. "Wo... wo maine isliye phada kyunki me nahi chahti thi ki Akshara ki parchayi bhi mere bete par pade. Uske wajahse pehlehi mere betene itna kuch saha hai, isliye maine bina kuch padhe wo letter phad diya."

Abhinav said, "Meri patni ki parchayi bhi na pade ye aap chahti ho to aap kis hakse unke bete pe hak jata rahi hai?"

Manjiri said, "Abhir Akshara ka akeli ka beta nahi hai, wo Abhimanyu ka bhi beta hai. Jitna hak Akshara ka uspe hai utnahi hak Abhimanyu ka bhi hai."

AKSHNAV story Dil ka RishtaWhere stories live. Discover now