Jinnah Super ki dukanein raat ke andheray ko roshniyaan de rahi thi. Peelay roshniyon ne lambi seedhi sadak ko chamakne diya jahan ek taraf gariyon ke liye parking ka jagah tha. Dusri taraf ek chhota sa book stall tha jo k in dino band tha .
Yeh Jinnah Super tha aur ab woh lambi sadak par chamakti hui roshniyon ke neeche chal rahi thi.
Uske haath uske black jacket ke jeb mein thay, aur usky lamba baal uske kandhon par slid ho rahe thay, uska sar jhuka hua tha aur woh chup chaap chal rahi thi...uske parents ki awaaz uske kaanon mein goonj rahi thi.
Jihan Sikander kaun the? Uski mohabbat, cousin , shohar....wo shakhs jise usne apni poori zindagi ke liye khwab dekha tha, kaise woh use aasani se chhod deti? Kya maan aur baap ko pata nahi agar khwab apne hi haathon se tootein, toh ungliyan bhi chot khaengi...toh phir woh khud ko kaise chot pahuncha sakti? Agar Sabeen phuphu aur Jihan ke liye woh ek laayiq rishta nahi thi toh phir kaise woh un rishtay ko woh bina unhe moqa dena tootne deti? Yeh makhan ki tarah asaani se nahi hona tha jisse ek baal ko hata diya jaye. Yeh toh kaanton mein phasay kapde ki tarah tha. Agar zor se alag kiya jata toh kapda phat jata. Aur agar kaanton ko nikalne ki koshish ki jati toh ungliyan chot khaengi....magar kaun janta ke shayad is kaanton wale paudhe mein phool khil sakte hain....lal gulab....hari patte....rang birange aur khushaal khwabon ke.
YOU ARE READING
leaves of jannah (Jannat ke Pattay)
FanfictionThis book is originally written by Nimra Ahmad Khan in Urdu. I'm going to translate this book in Roman Urdu