Never loose hope

800 32 0
                                    

Us raat wo sirf 2-3 ghantay tak so saki. Phir wo Fajr se pehle tayar ho gayi aur Diplomatic Enclave ki taraf chali gayi, Kyun ke Khadija bar-bar bolti rahi thi.

"Shukar hai tum aa gayi,"

Khadija ne use bahar milte hue kaha. Uski specs ke peechay chhupi aankhon mein pareshani thi. Haya ne black shalwar kameez aur jacket pehni thi. Wo Khadija ki taraf daudte hue aayi

"Ab humein kahan jana hai?"

"Andar... hum shuttle le lenge jo hamein Turkish embassy tak pohanchayega."

Tabhi ek buzurg couple jaldi jaldi shuttle ki taraf chal rahe thay.

"Meri sixth sense keh rahi hai ke ye uncle aur aunty bhi Turkish embassy ki taraf ja rahe hain. Jaldi chalo Haya, humein pehle pandrah mein se hona chahiye."

Usne Haya ka haath pakda aur aage badhi phir uske dimagh mein kuch aya, is liye usne poocha

"Hum apna ID aur passport dikha kar andar ja sakte hain, tum woh saath laya hai na?"

Haya ka dimagh achanak tez ho gaya! Us raat wo itni pareshan thi ke usne passport ka bilkul bhool hi gaya tha...

"Passport... main aaj hi passport lene ja rahi thi. Wo abhi tak tayar nahi tha."

"Haya!!"

Khadija ne usse pareshan hokar dekha.

"Nahi... main maafi chahti hoon... main... Khadija... main sach mein maafi chahti hoon... mujhe passport nahi  milla hai."

Uska sar chakkar khane laga. Usne aise badi ghalati kaise kar di?

"Tumhare paas passport nahi phir tum yahan kyun aayi, huh? Tumhari wajah se meri scholarship bhi ruk sakti hai, tumhe ye samajh aata hai?"

Khadija ka gussa nikal gaya.. aur Haya jo hamesha itni shaan se thi aur uske classfellows ke darmiyan ek misaal thi...wo rone lagi.

"I am sorry Khadija.... mere paas kuch maslay thay... meri zindagi... meri zindagi bohot disturb hai... main.."

usne apni aankhon ke aansu pochte hue kaha.

"Koi baat nahi Khadija, tum pehle chali jao. Main kal phir koshish karungi."

Khadija kuch der ke liye khamosh thi phir usne kaha

"Mujhe apna ID card de do."

"Kya?"

"Mujhe apna ID card de do aur wapas jao aur apna passport office se le lo. Umeed hai ke hum apni ID se entry le sakte hain aur jab hamari baari aaye, tum wapas aa jaogi."

"Magar... magar passport office Pindi mein hai... aur wahan pohnchna aik ghanta lagay ga aur passport office 9 bajay khulay ga , embassy saat bajay khulegi." Usne apne ghadi par pareshan nigahein dali.

"Ye namumkin hai. Main itni jaldi kabhi bhi wapas nahi aa sakti ke main pehle pandrah main se ho sakti hoon."

"Haya! Main ne zindagi mein sirf aik cheez sikhi hai ke koi bhi shakhs tab tak har nahi maan sakta jab tak wo khud haar maan le. Kya tum itni jaldi haar maan'na chahti ho? Yahan, mujhe apna ID card de do, mujhe us uncle aur aunty se pehle pohnchna hai."

Usne Haya ke haath se ID card cheen liya aur shuttle ki taraf bhagi.
Usne apni aankhon se aansu pochay aur apni ghadi par nazar dali. Kya wo apna visa hasil kar payegi? Ya Dolly ki laanat sach ho jayegi aur wo Turkey nahi ja sakti? Kya usay kabhi Jihan Sikander nahi mil payega?
Magar Khadija ne kaha tha, koi bhi shakhs tab tak har nahi maan sakta jab tak wo khud haar maan le, aur phir usne socha, wo itni aasani se haar nahi maan'ne wali.

leaves of jannah  (Jannat ke Pattay)Where stories live. Discover now