"Aap jaante hain nah Papa,meri gudiya teen maheene ki ho gayi hain. Mamma ki choti shehzadi. Aur Papa aapki.....Papa,aap ise kis naam se bulatein? Konse PJs sikhatein? Iske pyaar mein apni beti ko attention deni bandh kar dete? Iske liye ek cute si besuri lori gaake ise sula dete? Kyon aap mujhe kabhi nahin dekh paye,ab meri maahi ko bhi. Mamma bhi nahin dekh payi iseh.
Kyon Papa. Why? Why is life so unfair?Meri saari khushiyan poori hokar bhi adhoori hain papa. Kyonki aap kabhi unka hissa reh hi nahin payein. Ab tohh extra adhoori reh jayengi,kyonki ab tohh mamma bhi nahin hain..Meri bachchi ko kabhi uske amazing Nanu Nani ka pyaar nahin mil payega papa! Aisah mere saath hi kyon?
I'm sorry main thodha emotional ho gayi. Aisah nahin hain papa,I'm not a complaint box,aap poochiye mamma se. Sach mein. Main bohot pyaari girl rahin hoon. Sorry,main fir apni hi taareefeinn karne lag gayin. VVS(Very very sorry). Mamma se keh deejeeyega papa ki aapki beti ko ab khud mamma banne ke baad,aaj pehli baar unka 'jab tu maa banegi' vala filmy dialogue yaad aa raha hain.
Ab ehsaas ho raha hai ki aap dono ko bhaiya ko aur mamma ko mujhe ek chuthki mein bada hote huye dekh kaise laga hoga. Mann tohh karta hai ki itni hi choti rahein yeh. Nanhi si ke iske chote chote haath mere haathon mein tham jayein.Jab chahoon apne baahon me jhoola jhula doon ise, iske nanhe se dil ki dhadkan sun paoon apne seene se laga ke. Jab se yeh huyi hain nah papa,mujhe aisah lagne laga hain ki aap mere bohoth kareeb hain. Aap jaante hain papa,yeh ab nah baaton pe response dene lagi hai,achche se smile dene lagi hai. Bilkul aapke jaisi smile hai iski aur iski chotu nose bhi. Mamma ko bolna jealous nah ho,iski awaaz bohoth meethi hain,bilkul unki tarah. Haan,aankhein mere armaan jaisi hain, woh aankhe jinme doob ke mujhe duniya ki koi parwahh nahin hoti,jinki chamak hi meri dhadkan hain.
Aapko pata hain papa,goenkas meri bachchi ke naamkaran mein aaye the,par main unhein ispe koi haq nahi jatane doongi. Kabhi nahin. Mujhe pata hain main thodi harsh ho rahin hoon papa,par main apni sabse keemti amaanat ko un logon ke saaye mein bhi nahin aane dena chahati jinhone meri mamma ke saath hamesha bura hi kiya hain. Inki vajah se mamma kabhi khush nahin reh paayin papa,bachpan se. Par mamma ki beti apni khushiyaan inko khud se nahin cheenne degi. Never ever. Maahi aur armaan mein jaan basti hai meri,meri zindagi hain yeh dono. Inhein khona main afford nahin kar sakti papa,kabhi nahin. Jee nahi paoongi inke bina ek pal bhi.
Yeh sab chodhiye papa,aapko pata hain armaan ke I mean mere family wale isseh kitna pyaar karte hain? Aap bohoth khush ho jayenge jaan ke.
Dadisa hain nah,haan wahi dragonsa jinki mai aapse roz complaint karti thi,woh ise sar aankhon par baitha ke rakhti hain. Laadli hain yeh unki,bina iska chehra dekhe apni subah hi chay tak haath nahin lagati hain woh. Aur Madhav Papa hain nah,mere Dad,achcha aap tohh mile huye hain nah unse- woh toh isko bigaad denge aap dekhna. Aap jaante hain,Dad ne nah mujhe in 6 saals mein bohoth pyaar diya hain,bilkul apni beti ki tarah. Woh mere best friend hain,mere partner in crime,Khadusmaan jal ke JJ (jealous jackal) ho jata hain aqsar. Vidya maa hain nah,she seems to be Maahi's favourite loree singer,hamesha sula deti hain Maa use. Bestie,yaane Chachisa and Chachasa have a private laughter club with Maahi,hasti hi rehti hain un dono ke saath. Krish,Kiara,Aryan, Charu ki tohh favourite hain yeh madame,roz gifts le aate hain iske liye. Poora ek kamra bana diya hain dadisa ne tohh saare gifts ke liye. Rohit aur Roohi ne abhi se iseh maasi aur chachu bolne ki training deni shuru kar di hain,lekin main confident hoon ki sabse pehle apne papa ka naam legi yeh. Mera khadusmaan nah bestest papa hain best husband hone ke saath saath. Woh nah-"
Suddenly,Abhira heard a knock on the door and she hid Akshnav's photograph behind her pillow.
"Aa jaiye"
"Haww,apne pati se itne tameez se kaise baat kar sakti ho tum?Tumhein kuch ho gaya hain kya Abhira?"Armaan asked while he faked checking her temperature,placing his palm on her forehead.
"Pata hota ke tum ho tohh reply tak nahin deti main.Huh!"
"Sasumaa-sasurji se baat kar rahin thi nah. Lao photo,mujhe bhi unsein kuch kehna hain" Armaan squeezed Abhira's palm to which she slowly removed the photograph behind the pillow and handed it to him.
"Akshara ma'am,oh sorry,mamma and Papaji thankyou apni is nautanki beti ko is duniya mein laane ke liye,ise itna achcha insaan banane ke liye. Akshara ma'am,aapne iski shaadi mujhse karwake ise nahin mujhe bachaya,meri zindagi sawar gayin iske aane se. Jaan hain ye meri,iseh hamesha khush rakhoonga mai. Iski zyadah chinta math keejeeyega. Waiseh yeh meri taareefein sirf aap hi dono ke saamne karti hain shayad,kyon Ms Sharma? Mamma & Papaji,agar main best papa hoon tohh yeh bhi best mamma hain,isiliye main tohh chahoonga Maahi mamma pehle bole. Aur aap donon ise honsla deejeeye,ki yeh iss insecurity ko kabhi feel nahin kare ki isse iske khadusmaan aur princess door ho jayenge,aisah kabhi nahin hoga. Duniya ki kisi shakti mein yeh taqat nahin hain ki do dilo ko unki dhadkan se door kar payein"
Armaan gently brushed his nose with Abhira's and passed an assuring smile to her with moist eyes,telling her that none of them would ever leave her. Not in this lifetime,not in the next.
I know that it is a very random chapter!! I didn't know what else to write.
Thank you,happy reading🏵️
YOU ARE READING
Ishq Hua~Ms Sharma & Poddar Sahab🐢
FanfictionWitness how AbhiMaan navigate their way through parenthood,love & relationships,how their bond strengthens as time passes and how Abhira gets to experience all the familial love she craved for-all these years Moments that may not make their way to...