A old couple come in a decorated hall holding each other's hands.
Man: Happy anniversary maa baba.
Lady: Happy anniversary maa baba
Couple: Dhanyawad Krish aur Ira.
Another man comes and wishes them.
Man: Happy anniversary mom dad.
Couple: Dhanyawad Rohit.
Another lady comes and wishes them.
Lady: Happy anniversary mummy papa.
Couple: Dhanyawad Divya.
A boy takes the mike.
Boy: Good evening ladies and gentlemen. Sabse pehle aap sabka dhanyawad humare khushiyon mein samhelit hone mein. Aaj humare dadu aur dadi ki 50th wedding anniversary hai. Humare dada dadi retired police officers Amar Vidrohi aur Karishma Singh pure Lucknow ya yu kahoon pure Uttar Pradesh mein prasidh hai specially humare dadi Karishma Singh joh ek samay pe Lucknow ki Lady Singham the dabang daroga hua karti thi. Ab humare dada dadi apni anniversary cake kaatenge.
Amrishma cut the cake and celebrate their anniversary with their beta bahu Krishna Divya, their beti damad Amaira Rohit, their pota poti Deepak Kiara and pota bahu Anika, their naati Amit. Except Deepak Anika everyone gives them gifts.
Karishma: Deepak beta Anika beta tum dono ka gift laye ho humare liye?
Deepak: Aapke liye toh sabse best gift laye hai hum.
Amar: Kya hai woh beta?
Anika: Aap dono pardada pardadi banne wale hai.
Amrishma and the rest of the family are extremely happy hearing this and congratulate the couple.
Amit: Nanu nani aap dono apni love story sunao na.
Kiara: Ha dadi humhe bhi sunna hai aap dono lovebirds ki prem kahani.
Deepak: Ha dadi batao na aap dono ko prem kaise hua? Vivaah kaise hua sab bataye na.
Karishma: Hum dono ki arranged marriage hui thi.
Amar: Anubhav aur hum bachpan ke bestfriends te, humara parivaar bhi family friends te. Humne Karu ko Anubhav ki behen hone ke alawa kabhi kisi aur nazar se nahi dekha, Karu keliye bhi hum sirf Anubhav ke bestfriend te. Karu toh infact humhe Amar bhaiya bulati thi lekin bas naam ke liye kyunki hum uske bhaiya ke bestfriend te. Ek din humari families ne humara aur Karu ka rishta tyah kardiya aur humne bhi ha kardi par sab bohot awkward tha. Jisko aaj tak Karu bhaiya kehti thi sirf naam keliye hi woh uska pati banne wala tha. Humari shaadi hogayi thi sab bohot khush te sivaay hum dono ke, humari awkwardness khatam ho nahi horahi thi. Shaadi ki raat humne awkwardness ko sideline karke ek nayi shuruwat ki.
Flashback
It's Amarishma's suhagrat today. Karishma is sitting on the bed in her bridal lehenga with a ghunghat all nervous. Amar enters the room and sits near her removing her ghunghat, Karishma closes her eyes out of nervousness.Amar: Karishma.
Karishma: Ji.
Amar: I know yeh sab tumhare liye bohot awkward hai humare liye bhi hai, kya hum ek nayi shuruwat kar sakte hai dosti se. I promise jab tak tum comfortable nahi hogi tab tak humare beech pati patni ka koi rishta nahi hoga na hum tumhare pati hone ka koi hakk jatayenge. Friends.
Karishma relaxes a bit and the shakes hand with him.
Karishma: Friends.
Amar: Tum yaha bed pe sojao hum sofe par soyenge.
Karishma: Arey nahi nahi aap takleef kahe lerahe hai patidev, hum jaake sofe pe sote hai.
Amar: Nahi Karishma tum bed pe aaramse sojao hum sofe par theek hai.
Karishma: Ek kaam karte hai hum dono bed pe sote hai.
Amar: Nahi Karishma tumhe uncomfortable feel hoga.
Karishma: Patidev hum aap par vishwas karte hai, humhe pata hai ki aap humare anumati ke bina humhe haath tak nahi lagayenge. Aayiye bed pe sojaye.
Flashback ends
Karishma: Aise hi kuch mahine beet gaye humare vivah ko, hum dono ek dusre se prem karne lage te par confess nahi kiya. Humne himmat juta ke patidev ko propose kiya aur unhone bhi kaha ki woh humse pyaar karte hai. Uss din hum sahi mayno mein pati patni ban gaye aur phir humara rishta aage badha. Vivaah ke do varsh baad humhe pata chala ki hum garvbhati hai, hum bohot khush te aur jaldi se patidev ko iss baaremein bataya.
Flashback
Amar comes to his room, the moment Karishma sees him she immediately hugs him tightly. Amar is worried seeing Karishma's teary eyes.Amar: Karu kya hua tum ro kyun rahi ho? Kuch hua hai kya?
Karishma: Patidev hum...hum...
Amar: Hum kya Karu?
Karishma: Hum garvbhati hai patidev.
Amar: Kya? Nahi nahi tum mazaak kar rahi ho na, aaj April fool hai toh humare saath prank kar rahi ho na tum.
Karishma gets irritated by this, she removes her pregnancy reports and shows it to him where it was saying positive.
Amar(happily): Karu tum sachmein pregnant ho. Hum maa banenge aur tum baba.
Karishma: Ka?
Amar: Matlab hum baba banenge aur tum maa. Hum bohot khush hai aaj, thank you Karu humhe itni badi khushi dene keliye.
He hugs her and kisses her forehead.
Amar: I love you Karu.
Karishma: I love you too patidev.
Amar goes down and kisses on Karishma's stomach.
Amar: Love you baby.
Flashback ends.
Karishma: Tum logon ko ek aur cheez bhi batani hai bacchon. Humari pehli pregnancy mein jab delivery time aaya tha tab humhe labour room mein leke gaye te, patidev bhi humare saath te. Tab pata hai ka hua?
Everyone: Kya hua?
Karishma: Dard ke kaaran hum cheekh rahe te tab patidev humare cheekein sunke behosh hogaye, ward boy unhe bahar leke gaye. Kuch samay baad finally humari delivery hogayi aur humara Krish aaya iss duniya mein.
Everyone laugh hearing about Amar.
Amar: Phir kuch samay baad Ira aayi humari life mein aur humari family complete hogayi. Samay beet ta gaya aur dekho aaj bhi humara pyaar waisa hi hai jaise humare jawaani mein hua karta tha, aur marte dam tak yeh pyaar aisa hi rahega.
Amrishma then share a group hug with their family, everyone are brightly smiling.
Chapter completed.
Hope you'll like it.
Do vote and comment.