7.

4.5K 329 29
                                    

Next morning,

Armaan got ready and came out and saw abhira still sleeping, he sighed.

he went to her,

armaan : abhira...abhira utho please..

abhira : sone do na khadusmaan, 2 minute.

armaan : ek minute bhi nahi, utho dekho 11 baje ka appointment hai humara aur 9.30 yehi baj gaye hai utho no bahana.

abhira : nahi mera mann nahi hai tum chale jao mere badle.

he looked at her in disbelief.

armaan : abhira main pregnant nahi hu utho, thik hai.

he picked her in his arms..

abhira : ahh, utaaro mujhe khadusmaan, itna hi shock hai body banane ka toh gym jao na mujhe kyu utha rahe ho.

armaan : sachme bhaari ho gayi ho.

her eyes got shot open.

abhira : oh hello tumhare kehne ka matlab kya hai main moti hu, main moti nahi hu tum strong nahi ho samjhe, abhi se yeh haal hai aage kya hoga, dekha baby tumhare papa se tumhara paper weight bhi uthaya nahi jaa raha hai.

she was blabbering and they reached bathroom.

armaan : chup..aur jaldi se bina kisi nakhro ke ready ho jao, bahar wait kar raha hu.

she pouted, he kept her down and left the bathroom.

abhira : khadus, maha khadus, akdu.

armaan : mera naamkaran baad mein kar lena abhi jaldi ready ho jao.

she quickly closed the door, he chuckled.

--------------------------------------

Armaan came down,

armaan : good morning everyone.

vidya : good morning, abhira kaha hai..??

armaan : aapki laadli ko uthane ke liye dhol manjire bajane padte hai aur jabse pregnant hui hai tabse toh itne nakhre karti hai uthne mein kya batau.

manisha : abhi se itna pareshan ho gaya nau mahine kya hoga tera.

armaan : hoga kya chachi sa, abhira madam ke nakhre uthane ke alawa aur koi option hai kya mere pass.

manisha : kuch time baad ek aur aa jayega jiske nakhre uthane padenge tujhe.

he smiled.

he saw variety of dishes on the dining table,

armaan : maa yeh sab kya hai?

vidya : yeh sab abhira ke liye hai usse pasand hai na.

armaan : par maa isme kitna oil ghee hoga abhira ko abhi yeh nahi khana chahiye.

everyone smiled.

armaan : ab aap log hass kyu rahe hai.

kajal : kyuki harr pita ko apne aane wale bacche aur apni biwi ki fikar hoti hai, harr chiz usse galat hi nazar aati hai.

armaan : aisa nahi hai par...

dadi sa : armaan yeh saara shudh ghee mein banwaya gaya hai aur bilkul healthy hai tension mat lo.

he nodded.

abhira came there.

abhira : good morning.

she sat on the table ignoring armaan.

abhira : maa itna sabkuch...

vidya : haa sab tere liye hai lekin usse pehle yeh doodh pee lo.

abhira : maa doodh kyu..I hate milk.

armaan : abhira koi bahane nahi piyo.

abhira : haa taaki doodh pee kar main aur moti ho jau aur tum phir se mujhe moti keh sako.

krish : haww bhaiya aapne bhabhi ko moti kaha...

aryan : very bad..

armaan : tum log chup karo, abhira seriously woh mazak tha.

abhira : koi mazak nahi tha main jaanti hu tumne mujhe jaan bhujkar bola aur sabki daant na sunni pade isiliye aisa bol rahe ho, dekha maa aapke bete ne mujhe moti bola, abhi se yeh haal hai aage kya hoga.

vidya : armaan khabardar meri beti ko aisa waisa kuch bhi bola toh, abhira chalo beta doodh pee lo ab...

she nodded and drank it making weird faces, everyone giggled.

vidya came to armaan,

armaan : pata nahi kya ho gaya hai baat baat par chidh jaati hai...

vidya : beta woh pregnant hai, iss waqt aisa hota hai choti choti baatein badi lagne lagti hai, tumhare kehne ka matlab woh nahi hoga par aisa ho jaata hai kyuki pregnancy mein ladkiyan apne weight ko lekar pareshan ho jaati hai, zarurat hai toh pyar se pesh aane ki aur sabar rakhne ki.

he nodded.

They had their breakfast and left for hospital.

------------------------------------------

Armaan and Abhira arrived at the hospital for Abhira's first checkup.

Nervous butterflies fluttered in her stomach as she clutched onto Armaan's sleeve, seeking comfort in his presence. He looked at her lovingly and whispered,

armaan : Relax, Abhira, main hu na.

assuring her that he would be there every step of the way. she managed a small smile, grateful for his support.

Entering the doctor's cabin, they were greeted warmly by the physician.

doctor : Good morning, Mr. and Mrs. Poddar.

the doctor said with a gentle smile, putting them at ease.

Abhira and Armaan exchanged smiles, their bond growing stronger in the anticipation of seeing their little one for the first time.

As the doctor prepared for the ultrasound, Abhira lay down on the examination table, her nerves palpable. The nurse covered her with a soft duvet, creating a sense of warmth and security around her. Abhira reached out for Armaan's hand, holding onto it tightly as if seeking strength and reassurance.

The ultrasound procedure began, the room filled with the soft hum of the machine. Abhira's heart raced as she waited anxiously for the first glimpse of their unborn child. Armaan squeezed her hand gently, his eyes never leaving the screen displaying the precious life growing inside her.

And then, in a moment that seemed to suspend time itself, the room filled with the most beautiful sound - the rhythmic, gentle thumping of their baby's heartbeat. It was a symphony of life, a melody of hope and love that resonated deep within their souls.

Tears welled up in their eyes, shimmering with joy and wonder. For in that fleeting moment, as they listened to the heartbeat of their unborn child, the world seemed to fade away, leaving only the profound connection between the three of them.

armaan : Thank you abhira, aaj se pehle itna sukoon kabhi mehsoos nahi hua.

abhira : mujhe bhi.

armaan : ab toh khush ho na humara baby bilkul safe hai.

she nodded.

Doctor : everything is fine, just take care of your health and proper diet.

they nodded...!!!!!

Mistake or loveWhere stories live. Discover now