Evening,
Everyone gathered in living room.
Dadi: Ali bete or Pooja bete ki sagai or shadi ki tayaria kesi chal rahi he.
Huda: are dadi ji hamare usool or panjaban ki shadi ki tayaria bohot ache se chal rahi he.
Dadi: lekin itne kam time me kese hoga sab kuchh. Sirf 3 din bache he or uske bad sagai he fir uske do din bad siddha shadi ki tayaria.
Alekh: dadi ji ap fikar mat kijie sab kuchh time pe ho jaega ham itne sare log he na. or adhe se jyada kaam to shuru ho bhi chukka he.
Naina: or vese bhi dadi abhi ke halat ke hisab se ham bohot sare logo ko nahi bula sakte isi lie Pooja and Ali ki family or unke kuchh najdiki rishtedar hi hoge or baki ham sb or kuchh hamare friends and seniors hi hoge.
Dadi: thik he fir bataie kya kya kaam ho gaya he or kya baki he taki ham bhi ap sab ki help kar sake.
Sherry: dadi sabke kapdo ki zimmedari meri or Shalini bhabahi ki thi to sab ke engagement ke kapde ready he sirf apke baki he kyuki ap nahi the.
Shalini: or rahi bat shadi ke kapdo ki to hamare dulha dulhan ke kapde alag se ready ho rahe he or ham sab ke bhi almost ready he function ke agle din mil jaege.
Sherry: jewelry or baki sab chiso ki shopping ka time nahi mila he isi lie mene hamare family jewelry designer ko bol dia he sab ke kapdo ke hisab se vo apne ap sab ready kar lege.
Naina: sare function ki catering ka kaam bhi Rajveer ne Shekhawat hotel ke chef se bol ke ready kar lia he. sare guest ko invitation dene ka kaam Ali or Pooja ke parents sambhal rahe he or hamare dosto or senior ko hamne invitation de dia he.
Huda: music or decoration ki tayaria bhi function ke according agle din se suru ho jaegi mene or Udi ne mil ke vo sab final kar lia he.
Pooja: ab bas ek hi kaam he jo baki reh gaya he.
Dadi: kya baki he hame bataie shayad ham apki help kar sake.
Ali: dadi ji vo ham shadi dono tarike se kar rahe he to iske lie pandit ji or molvi ji chahie bas vo nahi hua he.
Dadi: jo kaam ap sab ko sabse pehle karna chahie vo to hua hi nahi lekin thik he ap sab uski fikar mat kijie vo sab or sari vidhi ka saman vo sab bhi ham dekh lege bas hame bata dijie kon kon se function hoge.
Pooja: pehle din mehndi he to pura din usme hi nikal jaega. fir dusre din subah me haldi or rat ko sangeet he. or tisre din subah shadi or rat ko nikah he.
Naina: vese bhi kal sham tak maa baba bhi a jaege to dadi apko maa in sab me apki help bhi kar dege.
Dadi: or sare guest ke rehne ka intezam kese kia he.
Udi: Ali or Pooja ke parents yaha hamare sath ghar pe rahege or baki sab guest Shekhawat hotel me rahege.
Shalini: so finaly sab chis apne apne time pe ache se chal rahi he to fikar karne ki jarurat nahi he bas enjoy karo sab.
Dadi: chalie fir abhi to hamare jane ka time ho raha he hame ready bhi hona he.
Naina: kaha ja rahe ho dadi.
Dadi: Naveen ke sath date pe jana he to bas ham chale ready hone kitne time bad ham kisi ke sath date pe ja rahe he to ache se ready to hona padega na.
Huda: are vahhh dadi ji kya bat he, ap to chha gayi.
Rummy: (excitedly) manna padega Naveen sir ko. Bohot kuchh sikhne ko milega unse.
Shalini: ha ha kyu nai, esi sab chise to vo bohot ache se sikhayega.
YOU ARE READING
TOGETHER FOREVER
FanfictionA story that was left incomplete. The story is not about only love but it's also about friendship, respect, country devotion, betrayal, forgiveness, pain of separation. A story about our super six when they meet their favorite person. A story where...